View Full Version : My Collection
sana khan
10-10-2014, 02:54 AM
http://www.MeraForum.Com/imagehosting/11038543703f82fd4c.jpg (http://www.MeraForum.Com/vbimghost.php?do=displayimg&imgid=144)
Miss Habib
08-05-2015, 11:32 AM
Gumsum hua awaz ka drya tha wo aik shakhs
Pathar bhi nahi ab wo sitara tha jo aik shakhs
Shyd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehron ko bare ghaur se parhta tha wo aik shakhs
Sehra ki tarah dair se pyasa tha wo shyd
Badal ki tarah toot k barsa tha wo aik shakhs
Aey taiz hawa koi khabar uss k janoon ki
Tanha safar-e-shauq per nikla tha jo aik shakhs
Ab akhri sitron mein kahin naam hai uss ka
Ahbab ki fehrist mein pehla tha jo aik shakhs
Hathon mein chupaye hue phirta hai kai zakham
Sheshay k khilonon se baihalta tha jo aik shakhs
Murr murr k usse dekhna chahein meri ankhein
Kuch door mujhe chorne aya tha jo aik shakhs
Har zehan mein kuch naqash-e-wafa chor gaya hai
Kehne ko bhare shehar mein tanha tha jo aik shakhs
Munkar hai wohi ab meri pehchan ka Mohsin
Aksar mujhe khat khoon se likhta tha jo aik shakhs
Miss Habib
08-13-2015, 08:53 AM
Suno
Tum ne kabhi sahil pe bikhri rait dekhi hai?
Sumandar sath behta hai
Magar
Uss k muqadar mein hamesha pyas rehte hai
Suno
Tum ne kabhi sehra mein jalte pairr dekhe hain ?
Sabhi ko chaon dete hain
Magar
Inko silay mein dhoop milti hai
Suno
Tum ne kabhi shakhon se bicharte phool dekhe hain?
Wo khushboo bant dete hain bikhar jane talak
Lekin
Hawa ka sath dete hain
Suno
Tum ne kabhi mele mein bajte dhol dekhe hain?
Ajab hai almiya inka bohat hi shor karte hain
Magar
Ander se khali hain
Yahi mera fasaana hai
Bus itni si paheli hai
Yahi meri kahani hai
Yahi meri kahani hai
http://www.loverofsadness.net/LOS/images/gallery/main/3b/969_2423b3c1a5600294fa89f6632ea2afb9.jpg
Rania
08-22-2015, 08:29 AM
Very nice sharing
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.