Miss Habib
11-21-2011, 01:36 PM
Patthar mujhey sharminda e guftar na kardey
Uncha meri aawaz ko deewar na kardey
Majboor e sukhan karta hai kyun mjhuko zamana
Lehja merey jazbaat ka izhaar na kardey
Zanjeer samajh kar mujhey torha to hai too-ney
Abb tujhko pareesha’n meri jhankar na kar dey
Mai khudd ko mita kar tera shahkaar bana hoo’n
Neelam mujhey tu sar e bazar na kar dey
Chalta hoo’n to parhte hain qadam merey hawa par
Darta hoo’n hawa chalney sey inkaar na kar dey
Harr sans naye zakhm lagati hai MUZAFFAR
Tukrey mery ik roz ye talwar na karr dey