Miss Habib
11-21-2011, 01:01 PM
Chhoota jo tera haath to hum toot k roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot k roye,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
Paai jo ye soghaat to hum toot k roye,
Imkaan na tha door talak tajdeed_e_talluq ka,
Dekhe jo ye halaat to hum toot k roye,
Anjaan thay hum ab tak dard ki soorat se,
Hoi jo mulaqaat tou hum toot k roye,
Jeeti thi sada hum ne her baazi tere saath,
Tanha jo sahi maat tou hum toot k roye,
Logon ne bohat poocha sabab weraani_e_dil ka,
Jub ho na saki baat to hum toot k roye,
Thi dhoop bohat taiz her simt judaai ki,
Barsi jo na barsaat to hum toot k roye,
Zad main tha khizaaon ki ab k dil_e_barbaad,
Bichhrre jo shajr-pat tou hum toot k roye,
Din bhar to rahe chup k duniya ki nazar thi,
Bheegi jo siyah raat tou hum toot k roye,
Samjha tha sada tujh ko apna he koi hissa,
Tukrron main bati zaat to hum toot k roye,
Hum kerte rahe aaj talak us chaand ki khwahish,
Yaad aai jo auqaat to hum toot k roye...!!!