ROSE
11-14-2011, 03:19 PM
sakoon mahal hai Amjad wafa ke rastay main
kabhi charagh jalay hain hawa ke rastay main
najaney ab ke baras khaitiyoon pe kya guzray
kai pahaar kharay hain hawa ke rastay main
qadam qadam pe qadam larkhraaye jatay hain
buto'n ke dhair lagay hain Khuda ke rastay main
diaar-e-ahle mohabbat main kis nay di aawaz
hazar saaz bajay hain sada ke rastay main
siwaye dard-e-mohabbat, bajuz ghubar-e-safar
koi rafiq na paya wafa ke rastay main