PDA

View Full Version : Hath Ke Lakeere Gazle,mazme,shair


komal fatima
10-28-2011, 06:56 PM
Humare Haath Khaali Hain.....
Muqadder Se Uljhi An'gint Lakrrein Hain.....
Lakeeron Mein Kahani Hai.....
Humarei Zindagani Hai.....
Mager Phir Bhi Ye Lagta Hai, Humare Haath Khali Hain.....
Kahin Maazi Numayaa'n Hai, Kahin Asbaab Dikhte Hain.....
Jo Hum Ab Jhailte Hain Wo Sabhi Halaat Dikhte Hain.....
Jo Pal Ab Tak Nhi Aye, Wo Sab In Mein Samaye Hain.....
Mager Sab Kuch Posheeda Hai, Sabhi Adwaar Mubhim Hain.....
Humare Aane Wale Pal, Humare Haath Mein Gum Hain.....
Mager Phir Bhi Ye Lagta Hai.....
Humare Haath Khaali Hain.....
Mein Pehro'n Apni Haath Ki Lakeerien Takti Rehti Hoon.....
Mager Apni Hatheli Pe Nahi Dikhti Mujhe Harghiz.....
Wo Ek Saa'at Jo Khizaa'n Rut Ko Bahaaro'n Mein Badalti Ho.....
Wo Ek Lamha Jo Sadiyon Ki Thakan Ko Maat De Jaye.....
Wo Ek Rasta Jo Pal Bhar Mein Manzil Ko Pohoch Jaye.....
Meri Takmeel Ker Jaye.....
Mein Pehro'n Takti Rehti Hoon, Ulajhti In Lakeeron Ko.....
Mager Ab Tak Nahi Milti.....
Wo Ek Saa'at Jis Pe Wasal Ka Peghaam Likha Ho.....
Wo Ek Raikha Jis Pe Tera Mera Naam Likha Ho..

Razii
10-28-2011, 09:12 PM
Nice poem Komal :) Actually first half is very good; end pe mujhe kuch laga rawani kuch kam ho gayi hai, but overall very nice poem :)

CaReLeSs
10-30-2011, 02:12 PM
NIce,,,

SHAYAN
10-30-2011, 03:00 PM
Zaberdast
Buht Achi Wording Ha

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.