ROSE
10-26-2011, 06:42 PM
Na yaqee'n wajood pey kar ke, na rida e yaas men aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho, main usi libaas men aaon ga
Mujhey raygaa'n na talash ker, main safar men tha, main safar men hoon
Kabhi noor e harf ki raah sey, dil e khud'shanaas men aaon ga
Tu hey ajnabi meri zaat sey, kabhi pooch kerb ki raat sey
Main nehaa'n hoon maoj e faraat sey,main nazar to pyaas men aaon ga
Mujhey doosron sey talab na ker, mujhey khud sey mang key dekhna
Main barang e aks e gohar numa, kaf e iltamaas men aaon ga
Meri justjo ney jo dam lia, meray bekaraa'n ney kaha mujhey
Ke main aagahi sey hoon mawara, na had e hawaas men aaon ga
Mujhey ab tu shok sey bhool ja, ye naz kam to nahi ke main
Teri chahto'n ki kitab key, kisi iqtabaas men aaon ga
Kabhi mujh ko MOHSIN, naey dinon ki, tapash men dhonday ga, wo kahin
Kabhi yad us ko, gaey dinon key, safar ki baas men, aaon ga