PDA

View Full Version : ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai


ROSE
10-26-2011, 06:27 PM
silsila jurrat e izhaar tak, aa pohncha hai
ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai

sham ab iskay siwa aur bhala kya ho gi
ab to saya meri deevar tak aa pohncha hai

usko taabeer Khuda janay milegi k nahee'n
khaab to deeda e baidaar tak aa pohncha hai

aur barh jayegi arzaani e baazar k abb
biknay wala hii kharidar tak aa pohncha hai

tu bata dai k ab tera irada kya hai?
ishq mera teray maiyyaar tak aa pohncha hai

ab beher taur koi faisla karna ho ga
mass'ala abb meray pindar tak aa pohncha hai

sar jhukana teri aadat bhi nahee'n hai AKHTAR
aur hath uska bhi talwaar tak aa pohncha hai

SHAYAN
10-27-2011, 01:45 PM
V Nice

ROSE
11-20-2011, 10:01 AM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.