M A H i
10-22-2011, 10:20 PM
http://img804.imageshack.us/img804/4527/sadboyemogirlspicturesz.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/804/sadboyemogirlspicturesz.jpg/)
Ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi
Warna in taar'un bhari raaton mein kia hota nahi
Ji mein ata hai ulat dein un k chehrey se naqaab
Hosla kartey hain lakin hosla hota nahi
Shama jis ki abro pe jaan de de jhoom kar
Woh patanga jal to jata hai Fana hota nahi
Ab to muddat se rah o rasm e nazara band hai
Ab to unka toor par b saamna hota nahi
Har shanawar ko nahi milta talatum se kharaaj
Har safeeney ka muhafiz Na-khuda hota nahi
Har bhikaari pa nahi sakta muqaam e khawajgi
Har kis'o'nakis ko Tera ghum ata hota nahi
Haye yeh begaangi apni nahi mujh ko khabar
Haye yeh aalam k tu dil se juda hota nahi
Baar ha dekha hai Sagar rahguzaar-e-Ishq mein
Karwaan k saath aksar reh-numa hota nahi