ROSE
10-22-2011, 04:11 PM
tujhe dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
na haram ka mujh ko khayal tha na sanam kaday ka gumaan raha
teri chashm-e naaz ka maikada mujhe be-nyaz sa kar gya
na sha'oor-e kon-o makaan raha na khayal-e sod-o zyan raha
karrhay waqt mein jo main ghir gaya teri yaad hi bani mojza
shab-hijr mein bhi aye jaan-e jan teri qurbaton ka samaa raha
mujhe zindagi say bhi pyar tha mujhe ishq say bhi theen aqeedatein
go bohat katthin thay ye raaste tera sath tha main rawaan raha