PDA

View Full Version : Na Waqar-e-Dost hai Na Majaal-e-Dushmani


M A H i
10-18-2011, 10:17 PM
Aye taghayur e zamana
yeh ajeeb dil lagi hai


Aye taghayur e zamana ,
yeh ajeeb dil lagi hai
na waqar e dosti hai,
na majaal e dushmani hai

Yehi zulmatain chhaini
jo tere surkh aanchalon mein
in hi zulmaton se shayad
mere ghar mein roshni hai

Mere saath tum bhi chalna ,
mere saath tum bhi aana
zara gham k raston mein ,
bari taiz tairgy hai

Gham e zindagi kahan hai,
abhi wehshaton se fursat
tere naaz utha hi lain gay,
abhi zindagi pari hai

Tere khush gaisu'on mein
meri aarzu hai pinhaan
tere shokh bazu'on mein
meri dastaan rachi hai

Jisse apna yaar kehna
usse chorna bhanwar mein
yeh hadees e dilbaran hai,
yeh kamal dilbari hai

Woh guzar gaya hai Saghar
koi qaafla chaman se
kahin aag jal rahi hai ,
kahin raakh so gayee hai

Owi
10-18-2011, 10:50 PM
Zaberdast Intaykhaab Haii

M A H i
10-18-2011, 11:09 PM
Thanks for liking

PRINCE SHAAN
10-19-2011, 08:11 AM
Aye taghayur e zamana ,
yeh ajeeb dil lagi hai
na waqar e dosti hai,
na majaal e dushmani hai

BAHUT KHOOB....NICE SHARING

M A H i
10-19-2011, 09:55 PM
Thanks for liking

Rania
10-22-2011, 05:42 AM
بہت پیاری شرینگ ہے

Miss Habib
10-22-2011, 08:54 AM
bohat zabardst mahi

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
10-22-2011, 09:27 AM
~nice
Sharing~
and keep sharing*

M A H i
10-22-2011, 10:44 PM
Thanks All

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.