Haadi
10-17-2011, 07:52 PM
Ham jugnu thay, ham titli thay,
Ham rang birange panchi thay,
Kuch mah-o-sal ki jannat me,
MAA! ham dono b sanjhi thay,
Main chota sa ik bacha tha,
Teri ungli tham k chlta tha,
Tu door nazr se hoti thi,
Main ansu ansu rota tha,
Ik khawbon ka roshan basta,
Tu roz mujhe pehnati thi,
Jab darta tha main raton ko,
Too apne sath sulati thi,
MAA! tune kitne barson tak,
Is phool ko seencha hathon se,
Jeevan k gehre bhaidon ko,
Main samjha teri baton se,
Main tere hath k takiye pr,
Ab bi raat ko sota hun,
MAA! Main chota sa ik bacha,
Teri yaad me ab bi rota hun...!
Ham rang birange panchi thay,
Kuch mah-o-sal ki jannat me,
MAA! ham dono b sanjhi thay,
Main chota sa ik bacha tha,
Teri ungli tham k chlta tha,
Tu door nazr se hoti thi,
Main ansu ansu rota tha,
Ik khawbon ka roshan basta,
Tu roz mujhe pehnati thi,
Jab darta tha main raton ko,
Too apne sath sulati thi,
MAA! tune kitne barson tak,
Is phool ko seencha hathon se,
Jeevan k gehre bhaidon ko,
Main samjha teri baton se,
Main tere hath k takiye pr,
Ab bi raat ko sota hun,
MAA! Main chota sa ik bacha,
Teri yaad me ab bi rota hun...!