Log in

View Full Version : Hath Uthayey Hain Mager Lab Pay Dua Koee Nahi


ROSE
10-17-2011, 12:34 PM
Hath Uthayey Hain Mager Lab Pay Dua Koee Nahi
.................................................. ..............................

1)
Hath Uthayey Hain Mager Lab Pay Dua Koee Nahi
Ke Ebadat Bhi Tu Wo Jis Ke Jaza Koee Nahi

2)
Yah Bhi Waqt Aana Tha , Ab Tu Goosh Pur Awaz Hai
Or Meray Brabt Dil Main Sada Koee Nahi

3)
Aa Kay Ab Tasleem Kar Lain Tu Nahi Tu Main Sahi
Koon Manay Ga Kah Ham Main Bay Wafa Koee Nahi

4)
Waqt Nay Wo Khaak Uraee Hai Kah Dil Kay Dasht Say
Qaflay Guzartay Hain Pher Bhi Naqsh -e- Pa Koee Nahi

5)
Khud Ko Yoon Mahsoor Kar Betha Hoon Apni Zaat Main
Manzilain Charoon Taraf Hain Rasta Koee Nahi

6)
Kesay Rastoon Say Chalay Or Kis Jaga Ponhchay Faraz
Ya Hajoom -e- Dostaan Tha Sath Ya Koee Nahi

Miss Habib
10-17-2011, 01:12 PM
Aa Kay Ab Tasleem Kar Lain Tu Nahi Tu Main Sahi
Koon Manay Ga Kah Ham Main Bay Wafa Koee Nahi

Khud Ko Yoon Mahsoor Kar Betha Hoon Apni Zaat Main
Manzilain Charoon Taraf Hain Rasta Koee Nahi

bohat hi zabrdst rose

A L i
10-17-2011, 01:32 PM
bahut ala ghazal

ROSE
10-17-2011, 03:41 PM
Thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.