*NRB*
10-15-2011, 11:51 PM
yaadon ka karwan ab subha shaam hai
aaj humne dilse likha koi paigham hai
ae moj-e-hawa jaa ke unko suna dena
ke unke aane ka ker rakha intezam hai
tohin-e-wafa hogi ager kisi aur ka haath thama
dilse hum unke pyaar ka kerte itteraam hai
yeh shayari tou bas unke daamse hain
lafzon mein jo hai beyaan unke pyar ka jaam hai
ab iss dil mei koi kaise reh sakta hai SHEHZADI
jab unka hi mehfil-e-dil meiN qayaam hai .
mere aur usske sitare ek se hain
humare sochne kuch to tareeke ek se hain
samander beech me hai dooriyon ka
magar dono kinaare ek se hain
nagar uska alag hai iss nagar se
magar dil mein nazaare ek se hain
savere shaam ka milna nahi hai
magar dil ke sahare ek se hain
hai boli aur zubaan bilkul alag si
na jaane kyun ishaare ek se hain ..
Dil-E-Geharaayi mein daba raaz hai mohabbat
Jaise seep mein chupa moti khaas hai mohabbat
Ankahe jazbaaton ki zubaan hai mohabbat
Dil ko bana de saaz wo awaaz hai mohabbat
Ek qissa, ek kahani jo muztarib kar de
Phir bhi qaayam rahe paaye'daar hai mohabbat
Hole se aake dabe paanv jo dastak de jaaye
Aise gudgudaate ehsaas ka aaghaaz hai mohabbat
Tutte taare ko dekh jo Ehsaas-E-Dil hota hai
Wo dua, wo aarzoo, wo muraad hai mahabbat
Kisi ko bana ke khwaab nazron mein basa lena
Ik sadi ik muqammal baab hai mahabbat.
Hazar amawas ke baad raushan jo ho,
Haan hilaal ki wo khushnuma raat hai mahabbat..!.!.!