Log in

View Full Version : Khamoosh Mohabbat


M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:17 AM
=== Kahin Aisa Na Ho Jaey (Nazm) ===

Mujhe Maloom Hai
Tum Meray Baray Main Bhout Sanjeeda Rehti Ho
Agar Mujh Ko Zara Sa Bhi Ghum Pohanchay Tu
Zamanay Bhar Say Zeyada Dukh
Tumharay Dil Ko Hota Hai
Muhje Koi Khushi Mil Jaey Tu
Misal-E-Baharan Jhoom Uthti Ho
Magar Jaan-E-Tamana , Rahat-E-Jaan
Meri Tum Say Eik Guzarish Hai
(Tawaqo Hai Tum Is Ka Bura Har Giz Na Mano Gi )
Khudara Apnay Jazboon
Aur Apni Sari Sochon Ko
Meray Har Ghum Say
Meri Fikar Say Azad Kar Dalo
Kahin Na Ho Kay !
Meri Is Gehri Mohabbat Main
Kahin Khud Ko Na Tum Kho Doh
Aur Apnay App Ko Janaan
Meray Ghum Main Dabo Do Tum
Kahin Aisa Na Ho Jaey ?
Kahin Aisa Na Ho Jaey ?

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:17 AM
=== Happy Birth Day ===

Eik Din Guzra
Do Din Betay
Aur Phir Sara Hafta
Mujh Ko Us Ka Phone Na Aya
Eik Gehri Tashwesh Ki Lehrin
Meray Maan Sagar Pay Ubrihin
Mainay Socha !
Pehlay Tu Woh
Din Bhar Mujh Ko
Phone Pay Phone Karti Thi
Akhir Aisi Keya Baat Hoi ?
Keya Woh Mujh Ko Bhool Gaey Hai ?
Nahi .... Nahi Yeh Na Mumkin Hai !!
Phone Tu Main Bhi Kar Sakta Tha ?
Likin Mujh Par Pabandi Thi
Kyon Kay Phone Pay
Us Ki Marzi Chalti Thi
Sirf Us Ki Marzi
Aur Phir
Poray Haftay Baad Jab Us Ka Phone Aya
Randhi Hoi Awaz Main Boli
"Jaey ... Huh Jaey Hum App Say Baat Nahi Kartay
App Wafa Say Na Waqif Hain
App Kay Pass Tu Lafz Hi Lafz Hain
Lafz Jin Kain Rooh Nahi Hai
App Khandar Hain , Weerana Hain
App Ko Parwa Nahi Kisi Kay Jazboon Ki "
Main Heeran Tha !!
Akhir Muhj Say Aisi Keya Galti Hoi Hai
Woh Ghum Ki Tasweer Bani Hai
Apnay Jurm Ki Noyiat Jab Pochi Tu
Woh Phoot Kar Roei
Aur Phir Rotay Rotay Uss Ny
Mujh Ko Mera Jurum Bataya
Tarap Kar Boli
" Hafta Pehaly
Jis Din Meri Salgirah Thi
Mainay Nay App Ko Phone Keya Tha
App Say Us Din
Har Mozooh Par Baat Hoi Thi
Likhin App Ko Yaaad Nahi Tha !!
Eik Zara Sa " Wish" Karna Bhi Yaad Nahi Tha !! "
Yeh Sun Kar Bey Sakta Mainay
Apnay Sir Ko Patka
Khud Ko Kosa
Pechlay Saal Bhi Yeho Howa Tha
Yani Pechlay Saal Bhi Us Ki Salgirah Main Bhool Gaya Tha
" Duhray Qatal " Ka Mujrim Tha Main
Kehtay Hain Kay
Pas-E-Manzar Kay Aksar Manzar
Jeevan Ka Hisa Hotay Hain
Mujh Par Bachpan Tu Utra Tha
Likhin Salgirah Ki Khushyan ?
Main Inn Say Waqif Hi Kab Tha ?
Aisay Mubarak Lamhay Meray Bacpan Main Agar Ai Hotay
"Wish" Karnay Ki Aadat Mujh Main Rasik Hoti
Bachpan Sagar Ki Yeh Lehrin
Mujh Main Thatin Marti Rehtin ?
Tahum Mainay
Idhar Udhar Ki Batin Kar Kay
Ussay Manaya
Aur Iss Say Yeh Ehad Leya Kay
Is Ki Salgirah Kay Din Ko
Aglay Saal Nahi Bholon Ga
Kabhi Na Ab Yeh Jurum Karon Ga !!

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:17 AM
=== Koi Gila ===

Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki "Fahad"
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Ga

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:18 AM
=== Kia Meri Dua Ab Tak Na Mukamil Hai ?? ===

Abb To Sirf
Umeeden Hi Reh Gai Hain
Kyoun K Shayd Dua’Een...
Apna Asar Kho Bethi Hain
Dua'oon Ki Qabooliyat Se...
Mera Yaqeen Dagmagata Ja Raha Hai
Suna Tha
Dua To Qismat Badal Deti Hai
Kia Tou Meri Qismat Main Nahin
Ya
Kia Meri Dua Ab Tak Na Mukamil Hai??

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:18 AM
=== Jab Hum Na Hongay ===

Jab Hum Na Hon Gay
Too Kia Ho Ga
Yeh Hi Din Yeh Hi Ratain Hon Gee
Janazay Ko Humaray Kandha Deney Kay Bad
Yeh Hi Khoshian Yeh Hi Baratain Hon Gi
Bhol Jaoo Gai Kay Hum Bhi Thay Kabhi Fehrist-E-Yaran Main
Humarey Bad Yeh Hi Dost
Yeh Hi Hansi Ki Batain Hon Gi
Kisi Ney Such Hi Kaha Hai
Murnay Walay Kay Sath Koi Nahi Mara Karta
Humaray Bad Yeh Hi Log
Aur Un Ki Tarkee Ki Nayee Batain Hon Gee
Jab Hum Na Hon Gay

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:18 AM
=== Lut Gaya Hai Mera Ghar ===

Lut Gaya Hai Mera Ghar-O-Aangen Tamaam
Rahber The Jo, Nikle Woh Rhazen Tamaam

Yeh Bhi Teri Muhabbat Ka Silah Hai Ke
Ter Bater Hai Lahoo Se Perahan Tamaam

Woh Kiya Baat Nikli Meri Zubban Se
Ranjish-E-Khatir Hai Mujh Se Chman Tamaam

Kis Ke Gunah, Kis Ne Jhele Hain
Kis Aag Main Jalta Hai Mera Watan Tamaam

Jinhen Samjah Dost,Jin Par Takiya Kiya
Waqat Aane Par Nike Mere Dushman Tamaam

Yeh Be Zamana Musaferat Main Aaya "Fahad"
Hazar Tukroon Se Huwa Mera Kafan Tamaam

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:18 AM
== Un Kahi Batien ===

Janay
Kitni Mushkil Baat Thi
Jo Main Tum Say
Yeh Na Keh Saka
Kay Tum Hi Tu Ho
Jis Say Meray Dil Ko Qarar Hay
Kay Tum Hi Ho
Jis Say Meri Zindagi Men Bahar Hay
Kay Tum Hi Ho
Jis Ki Baatain
Meray Chehray Pay
Qaus-E-Qazah Sameet Ti Hain
Kay Tum Hi Ho
Jis Ki Maujoodgi
Meri Zindagi Men
Rang Bikhayr Ti Hay
Kay Tum Hi Ho
Sirf Tum Hi Tu Ho
Jis Ki Judai
Meri Aankhon Ko Ghanton Bhigaoy Dayti Hay

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:18 AM
=== Kis Qadar Siyaah Hain Din ===

Kis Qadar Siyaah Hain Din
Aur Safed Raaten Hain
Maut Ki Khamoshy Mein
Zindagy Ki Baaten Hain
Waqt Ruk Gya Hai Aur
Chaand Taaray Chaltay Hain
Bujh Gya Hai Yeh Sooraj
Jissm Saaray Jaltay Hain
Dekhtay Hain Haath Aur Paer
Aankh Sochty Hai Ab
Lub Silay Huay Hain Aur
Soch Bolty Hai Ab
Saaanss Ab Dharakty Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hai
Jissm Hai Mera Laikin
Koi Aur Rehta Hai
Dard Hain Meray Laikin
Koi Aur Sehta Hai
Dushmani Hai Yaaron Say
Bolty Hain Tasweeren
Raaz Saary Dunya Kay
Kholty Hain Tasweeren
Khaar Mein Hai Khushbu Aur
Phool Khoon Rulaatay Hain
Daen Sakoon Angaaray
Hontt Ab Jalaatay Hain
Raastay Bhi Seedhay Hain
Manzilen Bhi Aassaan Hain
Na Koi Musaafir Hai
Naa Hi Koi Saamaan Hai
Khaawhishen Nahin Hain Aur
Naa Hi Hai Koi Maqsood
Jissm-O-Rooh Ka Rishta
Ab Kahin Nahin Mojood

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:18 AM
==== Ishq ===

Ishq Bhi Aadam Say Ab Baizar Hay
Ishq Bina Zindagi Baikaar Hay
Ishq Hi Say Zindagi Hay Rang Barang
Ishq Hi Say Zindagi Main Khaar-O-Sang
Ishq Hi Say Zindagi Moojood Hay
Ishq Hi Say Aadami Mehzooz Hay
Ishq Hi Say Hay Asal Sooz-E-Hayat
Ishq Hi Say Zindagi-E-Kaienaat

Kahin Khaar-O-Sang, Kahin Taroon Say Ishq
Kahin Gull-O-Lalla, Sabza Zaroon Say Ishq
Kahin Husn-E-Deedah Nazaroon Say Ishq
Kahin Shoor-E-Mehshar Main Gharoon Say Ishq

Kahin Ishq Say Sehra Main Baarish Hoee
Kahin Ishq Say Soochoon Main Khaarish Hoee
Kahin Ishq Say Aankhoon Say Aansoo Giray
Kahin Ishq Samandar Say Darya Milay

Ishiq Kia Hay, Ek Gham-E-Baydoosh Hay
Bulbuloon Ka Naghma-E-Khamoosh Hay

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:19 AM
==== Apney Dil Sey ====

Aey Dil-E-Tabah Too
Khawahishon Key Raston Per
Kya Falah Paey Ga
Is Jahan Key Hangamey
Too Samajh Na Paey Ga
Aisey Main Mitt Hee Jaey Ga....

Barf Kee Chitaano Main
Ishq Kee Tapish Kahan
Munjamid Hawao Main
Parwaz Ka Hasil Kahan
Woh Shakhs Teek Kehta Hay
Jahan Main Jitney Dil Dukaaey Ga
Utna Sakoon Paey Ga
Per Too Yeh Bhee Ker Na Paey Ga.....

Teree Is Dasht Nawardee Main
Jo Aik Sarab Aaya Hay
Jub Paas Us Key Jaey Ga
To Kuch Bhee Too Na Paey Ga
Pir Too Usey Bulaey Ga
Aur Yeh Bhee Ker Na Paey Ga
Aey Dil-E-Tabah Too
Khawahishon Key Raston Per
Kya Falah Paey Ga....

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:19 AM
=== Tumhari Chaahatein=====

Tumhari Chaahatein Bhi Ajeeb Hein Tumhaari Tarah
Kabhi Baadal Barkha
Kabhi Putt Jhar
Kabhi Dhoop
Kabhi Chaa'on
Tumhari Chaahatein Bhi Ajeeb Hein

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:19 AM
==== To Tum Yaad Aa'yeen ===

To Tum Yaad Aa'yeen
Chameli Ki Khushboo, Jo Khirki Se Aa'yee
Saath Apne Boondein Tarashho Ki Layee
Hawa Bheegi Mittti Se Mil Mil Ke Aa'yee
To Tum Yaad Aa'yeen

Ufaq Ne Jo Kandil Apni Jalayee
Sitaron Ne Bazm-E-Charaghan Sajayee
Hawa'on Ne Ghazalein Jo Rumani Gaayein
To Tum Yaad Aa'yeen

Kisi Ne Kisi Ke Jo Dil Ko Dukhaya
Apna Bana Karke Daaman Chhuraya
Kisi Ne Kisi Se Jo Ki Bewafayee
To Tum Yaad Aa'yeen
Mausam Ki Tarah Rang Badalti Hui

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:19 AM
==== A Love Forever ====

I Think About How We Are
And How Our Love Is So Far
And Im So Happy To Be W/ You!
Even If You Are Far Away

You Tell Me What To Say...
If Im Scared Or Happy
You Help Me To Feel What I
Feel...
When Im Tired, Sad, Happy, Or
Lost!

I Get Lost W/Out You
I Get Sad W/Out You
I Get Tired W/Out You
But I Will Never Love W/Out
You!

I Need You To Help Me Love...
To Love You Forever...
Cause I Never Want To Leave
You Again!
Cause I Love You....Whenever
And Ever!

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:19 AM
=== Main Tum Ko Chahta Hun ===

Mein Tum Ko Chahta Hun, Tum Say Ab Bhi Pyar Karta Hun
Magar Kehnay Ki Shayad Mujh Mein Himmat Ab Nahin Hai

Bahot Si Bandishain Paish-E-Nazar Aisi Bhi Hain Janan
Keh Jin Ko Tornay Ki Mujh Mein Himmat Ab Nahin Hai

Badi Mushkil Se Mein Nay Iss Makan Ko Ghar Banaya Tha
Gharon Ko Tornay Ki Mujh Mein Himmat Ab Nahin Hai

Nai Hain Manzillain Ab To Naye Hain Raastay Har Soo
Palat Kar Dekhnay Ki Mujh Mein Himmat Ab Nahin Hai

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:19 AM
=== Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do ===

Merey Mohsinon Merey Doston Mujhey Zindagi Ki Dua Na Do
Main To Pyar Ke Qaabil Nahin Mujhey Dil Mein Itnee Jagah Na Do

Mujhey Shauq-E-Zeest Na Rahaa Mujhey Zindagi Ne Diya Hai Kya
Main Muroon Yeh Mujh Ko Haque To Hai, Main Jiyun Yeh Mujh Ko Sazaa Na Do

Woh Baney Thay Merey Jo Humsafar Wohi Chal Diye Mujhey Chor Ker
Main Jahan Se Aaya Hoon Ghamzada, Mujhey Phir Waheen Se Sadaa Na Do

Is Zindagi Ki Shaam Ka, Mujhey Dar Tha Is Anjaam Ka
Mujhey Aik Ansoo Ki Tarah Kaheen Aankh Se Tum Giraa Na Do

"Fahad" Is Dayaar Mein Ik Saya-E- Diwaar Main
Main Jo So Gayaa Hoon Chain Se Mujhey Neend Se Phir Jaga Na Do

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:20 AM
==== Ajnabi ====

Ajnabi Si Raahon Ka
Ajnabi Musafir Aik
Mujh Say Pooch Betha Hai
Raasta Bata Do Gay?

Ajnabi Si Rahon Kay
Ajnabi Musafir Sunn
Rasta Koi Bhi Ho
Wasta Koi Bhi Ho
Manzilein Nahin Miltein
Manzilein To Dhoka Hain
Manzilein Jo Mil Jaain
Justaju Nahin Rehti
Zindagi Ko Jeenay Ki
Aarzoo Nahin Rehti

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:20 AM
=== Lazzat-E-Zakhm ====

Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Tujh Se Chhupa Bhi Na Sakoon
Dard Is Darja Barha Hai Ke Bata Bhi Na Sakoon

Aaj Rukhsat Hua Jaata Hoon Bas Itna Kah Ke
Main Gaya Waqt Nahin Hoon Ke Phir Aa Bhi Na Sakoon

Tohfa-E-Ishq Jo Zakhmon Ka Diya Hai Tu Ne
Yeh Tere Harf Hain Jin Ko Main Mita Bhi Na Sakoon

Woh Tere Khat Tujhe Waapis Main Karoonga Jin Ko
Khud To Parhta Nahin Auron Ko Suna Bhi Na Sakoon

Teri Furqat Mein Yehi Haal Hua Hai Apna
Khud Sambhal Bhi Na Sakoon Tujh Ko Bhula Bhi Na Sakoon

Yeh Gham-E-Dil Jo Zamane Se Mila Hai Mujh Ko
Zeest Ka Baar Hai Aisa Ke Utha Bhi Na Sakoon

Zikr Kyon Karte Ho Be Wajh Tum Unka Hum Se
Door Itna Hai Ke Paas Usko Bula Bhi Na Sakoon

Aaj Maikhane Mein Mil Jaayen Jo Mujh Ko Ghalib
Zahid-E-Khushk Nahin Hoon Ke Pila Bhi Na Sakoon

Jalte Rahne Do Yeh Deepak Jo Ba Shakl-E-Fahad
Ek Akela Hi Bacha Hai Ke Bujha Bhi Na Sakoon

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:20 AM
=== Shikwah ====


Kuch Tu Keh Jattey
Mujhey Say Milnay Aye Thay Jaab Akhree Baar

Meri Sansien, Meri Rooh
Mera Chain, Meri Zindagee Ki Asodgee
Shayad Kuch Kam Ho Jati Thakan

Meri Ankhien Shayad Tera Chehra Perh Bhi Letien
Lakin Apni Nazroon Ko
Kiun Naa Ghustakh Kiya Tum Nay?
Kiun Qufl Dal Diye Hontton Pay Apnay?
Kiun Naa Mujhey Berbad Kiya?
Kiun Naa Chora Mujhye Ruswaee Kay Liyay?
Kiun Woo Sabb Naa Keh Diya?
Jis Kay Liye Mienay Khud Koo Kayee Baar Tayyar Kiya

Jaab Jaa Hi Rahey Thay
Tu Kiun Muray Thay Wapis
Apni Nazroon Say Pulkoon Kaa Perda Kiun Outhaa Liya Thaa?
Kiun Woo Sabb Jaan Liya Thaa Main Nay
Joo Naa Keh Sakay Kabhi Teray Labb
Kiun Main Nay Woh Sabb Dekh Liya
Unn Ankhoon Ki Surkhion Mein
"Jin Mein Khonay Kaa Malal Thaa Or Bicharnay Kaa Ghum"
Kiun Woh Sabb Jaan Liya Main Nay?

Kuch Tu Keh Jaatay
Mujh Say Milnay Aaye Thay Jabb Aakhree Baar



Kiyay Thay Ham Nay Jo Waaday Wafa Tum Bhi Na Kar Paain
Mujhay Bhi Itni Fursat Aur Himmat Ab Nahin Hai

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:20 AM
=== Badaltay Rishtay =====


Is Roz Badaltay Dour Main
Naye Rang Main Naye Tour Main
Apnon Ko Nigaltay Dakha Hai
Rishton Ko Badaltay Dakha Hai
Wo Rishtay Kya Jismanee Thay
Ikhlakee Thay Shaitanee Thay
Wo Rishtay Karobaree Thay
Rishton Say Sab Inkaree Thay
Kuch Rishton Main Gahrayee Thee
Wo Main Samajh Na Payee Thee
Kuch Rishtay Jur Kar Toot Gaye
Kitnon Kay Saath Choot Gaye
In Rishton Kay Bayopaar Main
Yun Apnon Kay Bazaar Main
Jo Khud Ko Baich Yun Aye Ho
Par Socha Bhi Kya Paye Ho
Yay Ristay Tere Saye Thay
Yay Allah Nay Banaye Thay
Par Rishton Ko Ahsaas Nahi
Murday Hain In Main Saans Nahi
Kyun Jaur Say In Ko Jora Jaye
Kyun Takaddus In Ka Tora Jaye
Jin Rishton Main Pyar Ki Garmi Nahi
Apnon Kay Dilon Main Narmee Nahi
Inkaar Mujhe Un Rishton Say Hai
Kyun Pyar Mujhe Un Rishton Say Hai
In Rishton Say Achi Akeli Hoon
Main Aaj Say Apni Saheli Hoon
Yun Khud Ko Sambhaltay Dakha Hai
Haan!!!!!!!!!
Rishton Ko Badaltay Dakha Hai

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:20 AM
==== Yaad... ====

Main Jab Bhi Tere Ghamoon Ko Bhulaane Lagta Hoon
To Aur Bhi Tere Nazdeek Aane Lagta Hoon

Ajeeb Roshni Ulfat Mujhe Sikhaati Hai
Kisi Andhere Main Jab Doob Jaane Lagta Hoon

Dukhoon Se Jab Bhi Meri Aah Uthne Lagti Hai
Sada Main Geet Tere Gungunaane Lagta Hoon

Watan Se Door Sahi Dil To Waheen Atka Hai
Diyar-E-Ghair Ko Jab Laut Jaane Lagta Hoon

Main Teri Yaad Main Dil Ghamzada Nahin Karta
Main Tere Naam Ki Shammein Jalaane Lagta Hoon

Meri Ghazal Ko Mili Hai Bohat Pazeerai
Mere Habib Main Tere Taraane Lagta Hoon

Nikaal Ke Main Dil Apna Rakhoon Hatheli Par
Teri Gali Se Main Jab Bhi Guzarne Lagta Hoon

Thake Hue Hoon Bohat Jism-O-Jaan To Ae "Fahad"
Tere Firaaq Main Aansoo Bahane Lagta Hoon

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:21 AM
====Kyaa Karun ====

Beqaraar Dil Ka Ye Main Madaawaa Kyaa Karuun
Paas Koii Gham Nahiin Ab Sahaaraa Kyaa Karuun

Khaar Banke Miltii Hai Zindagii Bhii Aaj-Kal
Phuul Saa Hai Dil Miraa Ay Khudaayaa Kyaa Karuun

Shor Ik Ajiib Saa Mire Dil Men Hai Abhii
Bhiid Men Utar Ke Ab Main Pukaaraa Kyaa Karuun

Chaand Meraa Chup Gayaa Hasraton Ke Abr Men
Chaudwiin Kii Raat Ka Main Nazaaraa Kyaa Karuun

Dil Men Mere Aag Hai, Aag Men Hai Zindagii
Ramz-E-Husn-E-Yaar Ka Main Sharaaraa Kyaa Karuun

Apne Dil Ki Maut Ka Gham Mujhe Hotaa Magar
Khuun-E-Dil Ka Roz-O-Shab Main Nazaaraa Kyaa Karuun

Raat Duub Hii Gayii Mauj-E-Chashm-E-Dard Men
Ay Fasurdagii Bataa Ab Thikaanaa Kyaa Karuun

Bahr-E-Tashnagii Men Hai Qadr-E-Josh-E-Hubaab Kyaa
Mauj Hai Mirii Qazaa Main Kinaaraa Kyaa Karuun

Dar Saraab-E-Dil Hii "Fahad" Mujhe Tuu Qaid Kar
Rang-O-Buu-O-Saaz Men Main Guzaaraa Kyaa Karuun

M@sTeR-MinD
10-11-2011, 03:21 AM
==== Hum Aur Tum ====

Bhool Jayen Ke Kya Tum Aur Kya Hum
Bus Yad Rakhen To Ye Naheen Ajnabi Hum

Rangon Se Sajee Dunya Ho Kaheen
Bus Rahen Hon Jis Me Hum Aur Tum

Mehaktee Hui Khushbu Kee Tarah Ho Ye Dunya
Dil Ke Armanon Ka Bus Ek Nagar Ho Abaad Jis Me Hum Aur Tum

Na Jis Mein Ho Sang Na Ho Marmar
Khawabon Ke Nageene Se Saja Hua Ghar Jis Me Hum Aur Tum

Aangan Mein Pyar Kee Kalyan Mehaktee Hon
Jhooti Mohabbaton Kee Jahan Parchai Na Ho Aur Jis Me Hum Aur Tum

Ghar Ho Aisa Jis Main Ho Mohabbat Ki Khushbu
Aur Jis Main Ho Sirf Hum Aur Tum

Miss Habib
10-13-2011, 08:56 AM
Shadow inni saar poetry aik saath
saari to parh ski, aik page hi parh saki, baqi k phir sahi
jo parha hai ussi pe comments de deti hoon

Abb To Sirf
Umeeden Hi Reh Gai Hain
Kyoun K Shayd Dua’Een...
Apna Asar Kho Bethi Hain
Dua'oon Ki Qabooliyat Se...
Mera Yaqeen Dagmagata Ja Raha Hai
Suna Tha
Dua To Qismat Badal Deti Hai
Kia Tou Meri Qismat Main Nahin
Ya
Kia Meri Dua Ab Tak Na Mukamil Hai??

this is so beautiful
thanks for sharing

ROSE
10-13-2011, 10:22 AM
very good shairing
keep posting

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.