! HEER
10-09-2011, 09:17 PM
Is ke nazdeek gham tark-e-wafa kuch bhi nahi
Mutmayeen aesa hai ke wo jasey huwa kuch bhi nahi
Ab to hathon sey lakeerein bhi miti jati hain
Us ko kho kar to mare pass raha kuch bhi nahi
Chaar(4)din reh gey meley main magar ab ke bhi
Us ne aaney ke liye khat main likha kuch bhi nahi
Kal bichardna hai to phir ehad-e-wafa soch ke band
Abhi aagaz-e-Muhabbat hai ' geya kuch bhi nahi
Main to us ke waste chup hon ke tamasha na baney
Tu samjata hai ke mujey tuj se gila kuch bhi nahi
Ey"Shumaar"ankhein isi tarhan bichaye rakhna
Janey kis waqat wo aa jaye pata kuch bhi nahi