ROSE
10-06-2011, 04:52 PM
Pathar he sahi, raah mein hayal tu rahoon ga
Kuch dair taira mud'e muqabal tu rahoon ga
Jab tuk tairi bakhshish ka bahram khul nahi jata
Aye mairay sakhee, mein taira sayaal tu rahoon ga
Iss wastay zinda hoon sar maqtal e yaraan
Wabasta e kam zarfi e qatal tu rahoon ga
aye taiz hawa maira dhowaan daikh kay jana
Bujh kar bhi nishaan e rah e manzil tu rahoon ga..!
Dushman he sahi naam tu lay ga maira tu bhi
Youn mein tairi awaaz mein shamil tu rahoon ga
Jab tum mein baghawat na karoon jabar o sitam say
Zindaan mein hoon paband e salasal tu rahoon ga
Mohsin Zad e ada say agar mar bhi gaya mein
Mayaar e tameez e haq o batil tu rahoon ga!