ROSE
10-06-2011, 04:47 PM
Guzernay hi na di woh raat main nay
Ghari pe rakh dia tha haath main nay
Zara si reh gayee hai umer baki
Nibhaya hai kisi ka sath main nay
Main us ki zaat mein gum ho gaya hun
Mita daali hai apni zaat main nay
Yeh kaisi aag dil mein ki firozaan
Jala ker rakh diye jazbaat main nay
Bohat roya hun magr us say pehlay
Kabhi daikhi na thi bersaat main nay
Falak kashkool le ker aa gaya tha
Sitaray ker diye Khairaat main nay
Bari mushkil say hath aye thay
Kahan rakhay hain wo lamhaat main nay
Ghari pe rakh dia tha haath main nay
Zara si reh gayee hai umer baki
Nibhaya hai kisi ka sath main nay
Main us ki zaat mein gum ho gaya hun
Mita daali hai apni zaat main nay
Yeh kaisi aag dil mein ki firozaan
Jala ker rakh diye jazbaat main nay
Bohat roya hun magr us say pehlay
Kabhi daikhi na thi bersaat main nay
Falak kashkool le ker aa gaya tha
Sitaray ker diye Khairaat main nay
Bari mushkil say hath aye thay
Kahan rakhay hain wo lamhaat main nay