T@nHA.D!L
10-06-2011, 01:35 PM
Yeh Jo Sarguzishta Se Phire Hain Kitaabon Wale
In Se Mat Mil Ke Inhein Rog Hain Khwaabon Wale
Ab Mah-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali
Aa Chukay Ab to Shab-o-Roz Azaabon Wale
...
Ab to Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zubaan Bolte Hain
Ab Kahan Log Muhabbat Ke Nisaabon Wale
Jo Dil Par Hee Kabi Naqb Zani Karte Thay
Ab Gharoon Tak Chalay Aaye Woh Naqaabon Wale
Zinda Rehne Ki Tamanna Ho To Ho Jate Hain
Faakhtaaon Ke Kirdaar Bhi okaabon Wale
Na Mere Zakhm Khile Na Tera Rang-e-Hina
Ab ke Mosam Hee Nahi Aaye Gulaabon Wale
Yuun To Lagta Hai Ke Kismat Ka Sikandar Hai "Faraz"
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Khraabon Wale