ROSE
10-03-2011, 11:54 AM
Teri qurbatain bhi saraab hen, ye bhala hua jo mili nahi
Teri dooriyan bhi azaab hen meri dasht-e-jan se tali nahi
Kisi aag ne wo dhuaan dia, mujhay dekhnay bhi kahan dia
Wo musaafaton ka jahan dia kahin raasta hai kahin nahi
Mujhay zindagi wo diya lagay ke abhi bujhay jo hawa lagay
kabhi kya lagay kabhi kya lagay kisi zaaviye pay yaqeen nahi
Ke shikasta-pa main rukoon kahan, hai ye faaslon ka naya jahan
hai agar zameen nahi aasmaan ,hai jo aasmaan to zameen nahi
Pas-e-chashm-e-nam wo zaroor hai, mera dil jafaaon se choor hai
Meri manzilon ka qasoor hai tere raaston se mili nahi