ROSE
10-03-2011, 11:50 AM
usay khud say bitcharh janay ka dukh hai
khayalo'n mai bikhar janay ka dukh hai
wo dil jo khaahisho'n ka aashya'n tha
usii ghar k ujharh janay ka dukh hai
nahee'n dunya ka gham, lekin khud apni
nigaho'n say utar janay ka dukh hai
sawalo'n mai ulajh kar reh gaya hai
jawabo'n k bigharh janay ka dukh hai
kabhi saucha na tha jiss raastay ko
usee raah say guzar janay ka dukh hai
dawaa to be-asar thi muddato'n say
duayain be-asar janay ka dukh hai
dukho'n ki aandhiya'n Allah o Akber
tamannao'n k mar janay ka dukh hai
naseebo'n ka likha tha phir bhala kyu'n
usay jaa'n say guzar janay ka dukh hai
kaha'n tha khauf RAJI andhiyo'n ka
magar ab khud say darr janay ka dukh hai
khayalo'n mai bikhar janay ka dukh hai
wo dil jo khaahisho'n ka aashya'n tha
usii ghar k ujharh janay ka dukh hai
nahee'n dunya ka gham, lekin khud apni
nigaho'n say utar janay ka dukh hai
sawalo'n mai ulajh kar reh gaya hai
jawabo'n k bigharh janay ka dukh hai
kabhi saucha na tha jiss raastay ko
usee raah say guzar janay ka dukh hai
dawaa to be-asar thi muddato'n say
duayain be-asar janay ka dukh hai
dukho'n ki aandhiya'n Allah o Akber
tamannao'n k mar janay ka dukh hai
naseebo'n ka likha tha phir bhala kyu'n
usay jaa'n say guzar janay ka dukh hai
kaha'n tha khauf RAJI andhiyo'n ka
magar ab khud say darr janay ka dukh hai