ROSE
10-03-2011, 11:49 AM
Pehle tou dil wafa se agay nikal gaya
Phir dil is intiha se agay nikal gaya
Awaz de k us ko bulaaon main kis tarah
Woh tou had e sada se bhi agay nikal gaya
Nikli hay rooh noor ki raftaar se bhi taiz
Pal main koi khala se agay nikal gaya
Kyoun der bader uraaye phiray khaak ko hawa
Ab tou badan fana se bhi agay nikal gaya
Ik teer tha kamaan e takkhayul mein dair se
Nikla tou woh khuda se bhi agay nikal gaya
saansain adeem akhri lamhe mein dhondhna
Main koocha e hawa se bhi agay nikal gaya
Tu le ker aa gaya hay dawa kis liye adeem
Beemar tou dawa se bhi agay nikal gaya