ROSE
10-03-2011, 11:42 AM
Poochhte ho to suno kaise basar hoti hai
raat Khairaat ki sadqe kii sahar hotii hai
Saans bhare ko to jeena nahi kahte yaa rab
dil hi dukhtaa hai na ab aastii tar hotii hai
Jaise jaagii huii aankhon main chubhen kaanch ke Khuwaab
raat is tarah dewano ki basar hoti hai
Gham hi dushman hai mera Gham hi ko dil Dhoondhta hai
aik lamhe ki judaa’ii bhi agar hoti hai
aik markaz kii talaash aik bhatakati Khushboo
kabhii manzil kabhi tamheed-e-safar hoti hai