Miss Habib
10-02-2011, 11:08 PM
Hum jugnu thay, hum titli thay
Hum rang birange panchi thay
Kuch mah-o-sal ki jannat mein
"MAA" hum dono bhi sanjhay thay
Main chota sa ik bacha tha
Teri ungli thaam k chalta tha
Tu door nazar se hoti thi
Main ansu ansu rota tha
Ik khawabon ka roshan basta
Tu roz mujhe pehnati thi
Jab darta tha main raton ko
Tu apne saath sulati thi
"MAA" tune kitne barson tak
Is phool ko seencha hathon se
Jeevan k gehre bhaidon ko
Main samjha teri bton say
Main tere hath k takiye per
Ab bhi raat ko sota hoon
"MAA" main chota sa ik bacha
Teri yaad mein
Ab bhi rota hoon
Hum rang birange panchi thay
Kuch mah-o-sal ki jannat mein
"MAA" hum dono bhi sanjhay thay
Main chota sa ik bacha tha
Teri ungli thaam k chalta tha
Tu door nazar se hoti thi
Main ansu ansu rota tha
Ik khawabon ka roshan basta
Tu roz mujhe pehnati thi
Jab darta tha main raton ko
Tu apne saath sulati thi
"MAA" tune kitne barson tak
Is phool ko seencha hathon se
Jeevan k gehre bhaidon ko
Main samjha teri bton say
Main tere hath k takiye per
Ab bhi raat ko sota hoon
"MAA" main chota sa ik bacha
Teri yaad mein
Ab bhi rota hoon