PDA

View Full Version : Toota hua dil


life2
02-05-2009, 09:06 PM
Aslam o alikum...


TOOTA HUA DIL

dil bhi ajeeb cheez hay , kabhi apnay piyaron kay hathon toot-ta hay , kabhi apnay dushmanon kay hathon , kabhi halaat aur asbaab kay hathon , to kabhi taqdeer kay hathon , aur kabhi kabhaar to khud apnay hathon apna dil toot jata hay .

aisa lagta hay , dil toot-tnay kay liyay hi banaia gaia hay , aur ye bhi ajeeb karishma hay ke hazaar baar tootnay kay bawajude saans ki raftaar chalti rehti hay, toot ker bhi ye kambakht dharkata rehta hay . mager dharkan ruknay pe aey to juray huay dilon ki bhi ruk jati hay .

science nay itni taraqqi kar li mager tootay huay dilon ka marham aaj tak eejaad na kar paey , haan kuch logon ka khiyal hay ke koey waqt nasha istemaal karnay say tootay huay dil shaid jur jaein laikn ye amal bhi bay kaar sabit hua , balkeh ye mazeed tootay huay dilon ki kirchiyaan karta hay . cigerette kay kuch kush lay lainay say ya , neend ki chand golyan kha lainay say tootay huay dil kay azeem dard ka mudawa nahi ho sakta .aur is ko jornay kay liyay baray say bara nasha ksi kaam ka nahi.

ghaur karnay ki ye baat hay ke zindigi main ye dil kitni hazaar baar toot-ta hay , kabhi sirf rakhna parta hay , kabhi is main baal aa jata hay , kabhi is ka dukh mayoosi main badal jata hay , kabhi madhoshi main aur kabhi bad hawasi main , laikin is ki istetaat daikhyay , ke kitnay hi dukh samota jata hay , piyasi sehra ki zameen ki tarha ke pani ka qatra milay to jazb karti jati hay , ye dil bhi jazb karta jata hay . ya phir jadoo kay us sheeshay ki tarha jo her baar tootnay pe khud ba khud hi pehlay jaisa ho jata hay .

kuch dukh aisay hotay hain ke jin say tootnay wala dil phir kabhi pehlay jaisa nahi hota , balkeh waqt kay saath pehlay say bhi behter ho jata hay , haan laikin humain anay wala waqt kab nazer ata hay .is liyay hum aansoo bahatay rehtay hain.

jab insaan toota hua dil liyay zinda hota hay to wo khud ko kamzore mehsoos karta hay , bay bas , laachaar, baymaar , bay kaar , mayoosi kay aik jungle main bay jaan sa. halanke ager wo zara sa ghaur karay to is waqt , haan theek isi waqt wo intehaey mazboot bhi hota hay , kaisay ?

aisay ke , main nay aik jagah parha tha ke dil kay teen batini hissay hotay hain , aik main nafs-e- ammara yanee zaati lazatoon ka daira hota hay , doosray main shaitaan ki tawast say , dunyawi khahishon ka daira hota hay , aur teesray aur sab say zaroori hissay main rab -e- kareem ki zaat hoti hay . dil jab dunya kay hathon ya khud kay hathon toot-ta hay to , aik hi hissa apnay urooj pe baaqi reh jata hay aur wo hay wo hissa jis main rab-e- kareem ka daira hota hay ,laikin shaitaan " mayoosi" ki been baja kay humain apnay us hissay say bay niyaaz kara daita hay .halanke ager aik baar sirf aik baar us lamhay ka tasawur kijyay jab dil kisi qisam ki zaati aur dunyawi khahish say paak ho aur us main sirf muhabbat-e- ilhaya ho....subhanallah , kia haseen lamhay hoon gay wo , hamray liyay kitnay qeemti aur khoobsoorat. khiyaal rahay ye wohi lamhay hotay hain jab ye dil-e- nadaa toota hota hay.

to dil hazaar baar is liyay toot-ta hay ke hazaar baar rab ki zaat ko mehsoos karnay ka mauqa milay , jisay hum ronay dhonay main ganwa daitay hain, taana tashna main ganwa daitay hain, aur ziada ter na shukri kay bay kaar ansoon main baha daitay hain.

to tootay huay dilon walay azeem logo ....
aansoo main khud ko gum na karo , kisi sochon main ghaltan na ho , aik aisay lamhay ko zaia na karo , jo tumhain tumharay rab say raz-o- niyaaz ki baat karnay ka mauqa day, Wo tumharay dil main takht sajaey baitha hay , us ki qurbat kay ye lamhay mehsoos karo , apnay tootay huay dil ki chalti huey saanso main us ki muhabbat ki khushboo ko mehsoos karo gay to wo aik lamha her dukh muskaan ban jaey ga ,,, dil pe koey rakhna koey chot baaqi nahi rahay gi .

aur ye kaisay ho sakta hay ke jis dil main rab-e- azeem ka daira ho wo kabhi " tootay" ye kaisay ho sakta hay , apni zaat kay dhokon say nikal aao , ye mumkin nahi ke jahan aik aisi taqat barajaamaan ho ke jis kay haath main her kuch hay , wo jagah kamzore ho , toot jaey???

ye her giz her giz nahi ho sakta.bas ye dil ka tootna sirf hamari kamzori-e- eeman hay us pe bharosay ki kami hay aur kuch bhi nahi.

Hani
02-06-2009, 12:54 AM
nice

FAJAAN
07-13-2009, 07:47 PM
nyce

Hamzaking
10-21-2009, 09:10 PM
nice:)

Abewsha
08-19-2011, 09:05 AM
nice sharing...!!

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.