View Full Version : Sawal : Usool ya Insaan
Shaam
09-28-2011, 03:26 PM
Dear All
Assalam Alaikum
Mujhey kisi ne kaha ke mei bohat mushkil batein karta hooo
aur jawab deina aur muhskil hojata hai.....
per me kia karoo
kuch logo ki hoti hai zindagi mushkil
hmm mushkil faisley
waqt, loge sab kuch milta hai aur guzarna parta hai..
Filhaal ek aur mushkil sawal jis ka jawab merei pass hai lekin me bus janna chahta hoo ke aap loge kia sochtey hain.
aur wo uljhan wo sawal yah hai ke
her shaks ki zindagi ke kuch usool hotey hain kudh ke banaye huway.....kia hamarei lia wo usool hi imp hona chaiye hamehsa ya koi insaan jo is qabil ho ke us ke lia un usoolo ko tabdeel kia jasakta hai ?
i mean usooloo pe chalna hi sahi hai ya unko itna flexible rakhna chaiye ke wo kisi ek insaan ko hurt na karsakein.............
s_sableo
09-28-2011, 03:37 PM
Thnx for sharing such a nyc thread
And dear ap kuch muchkil sawal ni kartey hyn ap zindagi ki haqeeqat bayan kartey hyn
Or haqeeqat jo hoti hy wo hur kisi k samjhney mei mushkil sey ee ati hy
Rahi apkey sawal ki baat merey khayal sey
Zindagi mei usool zarur honey chahiye magar
Han agar koi insan is qabil hy to zarur uskey liye
usool tabdeel kiye janey chahiye...
flexibility zarur honi chahiye warna
Apko pata hy jis cheez mei akarr hoti hy usko murda kaha jata hy....
Mf Great Power
09-28-2011, 03:43 PM
Theek Kaha
gr8 sharing
Zafina
09-28-2011, 04:06 PM
Usoolon me itny flexibility huni chaye k kisi insan ka dil na duky.
Shaam
09-28-2011, 04:15 PM
Thnx for sharing such a nyc thread
And dear ap kuch muchkil sawal ni kartey hyn ap zindagi ki haqeeqat bayan kartey hyn
Or haqeeqat jo hoti hy wo hur kisi k samjhney mei mushkil sey ee ati hy
Rahi apkey sawal ki baat merey khayal sey
Zindagi mei usool zarur honey chahiye magar
Han agar koi insan is qabil hy to zarur uskey liye
usool tabdeel kiye janey chahiye...
flexibility zarur honi chahiye warna
Apko pata hy jis cheez mei akarr hoti hy usko murda kaha jata hy....
hmm thanks for ur views bro. hmm
sahi....
Shaam
09-28-2011, 04:15 PM
Usoolon me itny flexibility huni chaye k kisi insan ka dil na duky.
hmm thanks zafi...
dukhey ga ... hum sab ko khush nahi rakh saktey yah tou tay hai
lekin emm talking ALWAYS ?
Zafina
09-28-2011, 04:26 PM
Haan Jee tu phir Sirf ALLAH ku khush kerain...Insano Ku Allah hi khush ker sakta hay hum nahi.
Shaam
09-28-2011, 04:31 PM
ummmmmmm acha chalo yah bhi ek point of view hai.
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
09-28-2011, 04:49 PM
bro. good kuch kuch asa mere sath bhi hy bt hume on asoolo ko follow keran chiye jo hume hamare islaam ny hume batey hy osoolo ko bhi follow kerna chiye bt galt harkato ya galt way ko apna asool nhi bana chiye bro....
Shaam
09-28-2011, 05:01 PM

kuch ikhtilaaf hai baad me bataoonga beherhaal soch achi hai : )
Miss Habib
09-28-2011, 05:26 PM
hhmm zabardst questin shaam
mera to khayal hai insaan k apne asool hone hi nahi
kyon hum jo khud assol bunate hai un se koi na koi insaan zaroo hurt hota hai
kyon hum kuch bhi kar le, kisi had tk hr insaan khudgharz hota hai, isliye hum jo asool apni zindagi k liye banate hai wo zaroor kisi na kisi ko kabhi na kabhi takleef dete hai
Allah ne hamari zindagi k liye asool banaye hai, unhein hi follow karna chahiye, jab us zaat ne jo hum se 70 maon jitna pyar karta hai, hamare liye khud hi asool bana diye to humein kia zaroorat pari hai, apne liye kud asool banane ki, bus koshish karni chahiye k us k banaye hue asoolon per chale, us k banaye hue asoolon se koi hurt nhi hota, apne to apne ghair bhi nahi hote
CaReLeSs
09-28-2011, 09:24 PM
Kuch jaghain aisi b hooti hain jahan asoolon ke khilaaf jana parta hai relation k liay laiken tab jab jaizzz hoo too..
Shaam
09-28-2011, 09:34 PM

hmmm sahi
Shaam
09-28-2011, 09:35 PM
Kuch jaghain aisi b hooti hain jahan asoolon ke khilaaf jana parta hai relation k liay laiken tab jab jaizzz hoo too..
hmmm sahi
Aslam
09-28-2011, 11:03 PM
mujhe bi log aise kehte hain ke mai buht mushkil batain karta hun.........:D
Ajj thora jaldi mai hon.......aap ke sawal ka jawab zaroor dounga.........aur mera bi aik sawal hay jo thora mushkil hay aur religious issue hay.......apko woh batana parega.......wo main yahan jab jald hi post karunga app jawab dena....
~Pr!nCe$s UrOoJ~
09-28-2011, 11:36 PM
nice...!!!
QUEEN OF HEARTS ...
09-28-2011, 11:58 PM
meray point ov view se insaan important hotay hain usool neehi ..
i think insaan ke feelings ko bhi mad-e-nazar rakhna chaiye . kyon ke kisi ko hurt karna yeh bhi sahi nahi .
happy123
09-29-2011, 09:55 AM
hmmm nice question
usolun pe zaror chalna chaeye lekin asa bhi nahi hona chaeye k hmarey usol kisi insan usk jazbat se barh kar hun ,jien se koi hurt ho un usolun ko badl dena chaeye kyun k ye usol hmarey apne bnye huye hen or shaed es se kisi ko koi nuqsan nahi hoga lekin agr en asolun ki wja se koi hurt hota hai to ye achi bat nahi or es se Allah ki makhloq ko takleef ho gi to hamen wo asol faeda nahi den ge or na wo kisi ko takleef dey kar hmarey liye faedamand ho saktey hen
iss liye asul kisi k jazbat or esasat se barh kar nahi honey chaeye balkey yun kehen k asa koi insan ata hai to asol khud he bdlne lagte hen
AFghani_Laila
09-29-2011, 10:42 AM
Usoolon me itny flexibility huni chaye k kisi insan ka dil na duky.
Im Agree WIth Zafina Kyon KE Hamesha HAmhe Usool Itne Nahi Rakhne Chahye KE Insaan KO Dukh De Sake Aur INSAAN Ko Dukh Dena Bhi aLLAH Naraz Hote Hain Par Jaiz Tareqe PE Najaiz Tareeqe PE Nahi :)
humaa
09-29-2011, 10:53 AM
hmm nice... i think aap ko apne asool pe chalna chahye.. but asool aise hone chahye jis se doosra hurt na ho..
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
09-29-2011, 02:20 PM
kuch ikhtilaaf hai baad me bataoonga beherhaal soch achi hai : )
ok bro. jha tuk thinking or asol ki baat ajati hy to hme apni thiks or asool ko bhot acha bana chiye take haamre asool ko jo dhekhe vo osy apnany ka khawish munt jase achi soch acha work isi thurha acha asool achi life
Shaam
09-29-2011, 03:11 PM
hmm nice... i think aap ko apne asool pe chalna chahye.. but asool aise hone chahye jis se doosra hurt na ho..
hmm sahi
Shaam
09-29-2011, 03:11 PM
ok bro. jha tuk thinking or asol ki baat ajati hy to hme apni thiks or asool ko bhot acha bana chiye take haamre asool ko jo dhekhe vo osy apnany ka khawish munt jase achi soch acha work isi thurha acha asool achi life
hmmmmmm
sahi....
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
09-29-2011, 03:13 PM
hmmmmmm
sahi....
bt act upon it
and see this magic
Shaam
09-29-2011, 03:15 PM
mujhe bi log aise kehte hain ke mai buht mushkil batain karta hun.........:D
Ajj thora jaldi mai hon.......aap ke sawal ka jawab zaroor dounga.........aur mera bi aik sawal hay jo thora mushkil hay aur religious issue hay.......apko woh batana parega.......wo main yahan jab jald hi post karunga app jawab dena....
zaroor intizar rahey ga...
meray point ov view se insaan important hotay hain usool neehi ..
sahi.......short and to the point.
i think insaan ke feelings ko bhi mad-e-nazar rakhna chaiye . kyon ke kisi ko hurt karna yeh bhi sahi nahi .
hmm sahi...
hmmm nice question
usolun pe zaror chalna chaeye lekin asa bhi nahi hona chaeye k hmarey usol kisi insan usk jazbat se barh kar hun ,jien se koi hurt ho un usolun ko badl dena chaeye kyun k ye usol hmarey apne bnye huye hen or shaed es se kisi ko koi nuqsan nahi hoga lekin agr en asolun ki wja se koi hurt hota hai to ye achi bat nahi or es se Allah ki makhloq ko takleef ho gi to hamen wo asol faeda nahi den ge or na wo kisi ko takleef dey kar hmarey liye faedamand ho saktey hen
iss liye asul kisi k jazbat or esasat se barh kar nahi honey chaeye balkey yun kehen k asa koi insan ata hai to asol khud he bdlne lagte hen
hmmmm lekin koi hurt na ho yah khayal rakhtey huway hum ghalt kaam tou nahi karsaktey na ?
Im Agree WIth Zafina Kyon KE Hamesha HAmhe Usool Itne Nahi Rakhne Chahye KE Insaan KO Dukh De Sake Aur INSAAN Ko Dukh Dena Bhi aLLAH Naraz Hote Hain Par Jaiz Tareqe PE Najaiz Tareeqe PE Nahi :)
sahi.............
Aslam
09-29-2011, 05:57 PM
Hosakta hay main bilkul hi ghalat hon.....
Main insan aur asoool ko Tarazu mai rakhta hun.......
Agar koi insan jo mere liye buht important ho mai uske ke liye asoolon ki parwa nahi karunga
aur agar asoool ka wazan tarazuu mai insan se ziyada hay to mai to asool par tikaa rahunga........:)
ab mera sawal............
بسم الله الرحمن الرحيم
Surat An-Nisā' (The Women) - سورة النساء
http://c00022506.cdn1.cloudfiles.rackspacecloud.com/4_59.png
Sahih International
O you who have believed, obey Allah and obey the Messenger and those in authority among you. And if you disagree over anything, refer it to Allah and the Messenger, if you should believe in Allah and the Last Day. That is the best [way] and best in result.
Urdu
مومنو! خدا اور اس کے رسول کی فرمانبرداری کرو اور جو تم میں سے صاحب حکومت ہیں ان کی بھی اور اگر کسی بات میں تم میں اختلاف واقع ہو تو اگر خدا اور روز آخرت پر ایمان رکھتے ہو تو اس میں خدا اور اس کے رسول (کے حکم) کی طرف رجوع کرو یہ بہت اچھی بات ہے اور اس کا مآل بھی اچھا ہے
Sahih Bukhari
Volume 9 : Book 88 : Hadith 177 :
Narrated by Ibn 'Abbas:
The Prophet said, "Whoever notices something which he dislikes done by his ruler, then he should be patient,
for whoever becomes separate from the company of the Muslims even for a span and then dies, he will die as
those who died in the Pre-lslamic period of Ignorance (as rebellious sinners). (Fateh-Al-Bari page 112, Vol. 16)
In 1924 Ottoman Khilafaa't was abolished....thek hay
jisko ham Ameer al moumineen kahte ya Khalifa ya Imam kehte wo 1924 mai khatam hogaya
aur oper dii gayi Ayat aur hadeedh ke mutabiq Ameer ki bi attaa'at karo aur bina ameer ke aik musalman mar jata hay to wo jaahil ki maut marta hay.........
can we call Zardari as our Ameer / Ya Khalifaa
ya Saud family ko ameer keh sakte hain
Ya Ameer Jamiat e Islami ka ameer hamara bi ameer hay ?
agar nahi to kia 1924 ke baad sab jaahil hoe ham ?
app ke jawab ka intezar rahega :)
!~*SOoLi
09-30-2011, 05:15 AM
سوال ماشااللہ بہت سوچ اور فقر والا ہے، امید ہے آپکو کوئی بہتر جواب دے پائے جس سے ہم بھی استفادہ حاصل کر سکیں
!~*SOoLi
09-30-2011, 05:22 AM
جہاں تک عنوان ہے، اس میں شرعی اصول یا حکومتی قانون کی بات نہیں، خود کے بنائے ہوئے اصولوں کا تزکرہ ہے، تو جناب حقوق العباد کو مدنظر رکھتے ہوئے اگر میں خود کے بنائے ہوئے اصولوں میں ایسی ترمیم کرلوں جو کسی کی ذات کو دانستہ غیر دانستہ متاثر نا کرے تو یہ بہتر حل ہے،۔۔ وسلام سلمان گیلانی
Shaam
09-30-2011, 01:25 PM
Hosakta hay main bilkul hi ghalat hon.....
Main insan aur asoool ko Tarazu mai rakhta hun.......
Agar koi insan jo mere liye buht important ho mai uske ke liye asoolon ki parwa nahi karunga
aur agar asoool ka wazan tarazuu mai insan se ziyada hay to mai to asool par tikaa rahunga........:)
ab mera sawal............
بسم الله الرحمن الرحيم
Surat An-Nisā' (The Women) - سورة النساء
http://c00022506.cdn1.cloudfiles.rackspacecloud.com/4_59.png
Sahih International
O you who have believed, obey Allah and obey the Messenger and those in authority among you. And if you disagree over anything, refer it to Allah and the Messenger, if you should believe in Allah and the Last Day. That is the best [way] and best in result.
Urdu
مومنو! خدا اور اس کے رسول کی فرمانبرداری کرو اور جو تم میں سے صاحب حکومت ہیں ان کی بھی اور اگر کسی بات میں تم میں اختلاف واقع ہو تو اگر خدا اور روز آخرت پر ایمان رکھتے ہو تو اس میں خدا اور اس کے رسول (کے حکم) کی طرف رجوع کرو یہ بہت اچھی بات ہے اور اس کا مآل بھی اچھا ہے
Sahih Bukhari
Volume 9 : Book 88 : Hadith 177 :
Narrated by Ibn 'Abbas:
The Prophet said, "Whoever notices something which he dislikes done by his ruler, then he should be patient,
for whoever becomes separate from the company of the Muslims even for a span and then dies, he will die as
those who died in the Pre-lslamic period of Ignorance (as rebellious sinners). (Fateh-Al-Bari page 112, Vol. 16)
goood one me wazahat karooga per kuch aur logo ka intizar hai...
In 1924 Ottoman Khilafaa't was abolished....thek hay
jisko ham Ameer al moumineen kahte ya Khalifa ya Imam kehte wo 1922 mai khatam hogaya
aur oper dii gayi Ayat aur hadeedh ke mutabiq Ameer ki bi attaa'at karo aur bina ameer ke aik musalman mar jata hay to wo jaahil ki maut marta hay.........
can we call Zardari as our Ameer / Ya Khalifaa
ya Saud family ko ameer keh sakte hain
Ya Ameer Jamiat e Islami ka ameer hamara bi ameer hay ?
agar nahi to kia 1924 ke baad sab jaahil hoe ham ?
app ke jawab ka intezar rahega :)
سوال ماشااللہ بہت سوچ اور فقر والا ہے، امید ہے آپکو کوئی بہتر جواب دے پائے جس سے ہم بھی استفادہ حاصل کر سکیں
Sooli yeh FUQR ka lafz Fikr ki jagha use kia hai is ne kamaal kardia ....
Faqeer aadmi hoo mei Fuqr wali batein karney laga hoo tou matlab kuch hasil horaha hai : )
جہاں تک عنوان ہے، اس میں شرعی اصول یا حکومتی قانون کی بات نہیں، خود کے بنائے ہوئے اصولوں کا تزکرہ ہے، تو جناب حقوق العباد کو مدنظر رکھتے ہوئے اگر میں خود کے بنائے ہوئے اصولوں میں ایسی ترمیم کرلوں جو کسی کی ذات کو دانستہ غیر دانستہ متاثر نا کرے تو یہ بہتر حل ہے،۔۔ وسلام سلمان گیلانی
got my point i a lil hmmm lekin phir me sochta ke mera wo khayal akser logo ne sahi kia ke hum apni zindagi me shariyat ko rozana ki socho me dakhil karein... beherhaal.... shukria
Aslam
09-30-2011, 04:49 PM
Main ne aik jaga date 1924 ki bajaye 1922 likhi thi jo edit kardi .......
app ne wese mere sawal ka jawab nahi diya Shaam
umeed hay jald hi jawab denge app aur hamare maedood ilm o souch me izafa karega ....
Shaam
10-01-2011, 06:25 PM

apki baat ka is poost sei koi talluq nahi me pvt me jawab deidoonga is ka aur kuch izhar e khayal karooga kuch waqt baad ger zindagi rahi.
Aslam
10-02-2011, 03:49 PM
apki baat ka is poost sei koi talluq nahi me pvt me jawab deidoonga is ka aur kuch izhar e khayal karooga kuch waqt baad ger zindagi rahi.
Pvt mai aur bi sahi rahega wese Shukriya Shaam.........:)
Shaam
10-03-2011, 12:05 AM
Pvt mai aur bi sahi rahega wese Shukriya Shaam.........:)
han kio ke attat e ameer ek alag debate hai. : )
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.