PDA

View Full Version : kamzoor ishq


ROSE
09-26-2011, 07:14 PM
Moulaana Roomi aik din khareed-o-farokht kay silsalay mein bazaar tashreef lay gay . Aik dukaan par jaa kar ruk gay . Kiya dekhtay hain kay aik aurat sodha-salf lay rahy hai . Sodha khareedanay kay baad is aurat nay raqam adaa kerna chaahy to dukaan daar nay kaha .

" Ishq mein hisaab kitaab kahan chooro paisay aur jaao . "

Asal mein yeah dono aashiq aur mashooq thay . Molaana Roomi yeah sunn kar ghash khaa kar ghir paray . Dhukaan daar sakht gabraa gaya . Is doraan wo aurat wahan say chaly gaey . Khaasy dair baad moulaana roomi ko khosh aaya to dukaan daar nay poocha .

" Moulaana sahab ! Aap kiyun be-hosh ho gay thay ?"
Moulaana roomi nay jawaab diya.

" Mein is baat par be-hosh howa kay tum donu mein ishq itna kavi aur mazboot hai kay aapis mein koi hisaab kitaab nahi jab kay ALLAH kay saath mera ishq itna kamzor hai kay mein tasbeeh ghin ghin kar daanay ghiraata hun "

~Pr!nCe$s UrOoJ~
09-26-2011, 07:26 PM
zabardast sis

ROSE
09-26-2011, 07:45 PM
thankssssss

CaReLeSs
09-27-2011, 12:39 AM
V NIce...

ROSE
09-27-2011, 03:36 PM
thankssssssssssssssss

Shaam
09-29-2011, 03:22 PM
han lekin yaha nuqta muhabbat ka hai .... tasbeeh gin kar parhna is something diff....
usoloon pe kainaat qayim hain ... zabto ki parwa karn parti hai...

beherhaal yah ek behes talab baat hai lekin point yaha sab sei acha yah ke Muhabbat behisaaab karo aur us me tasbeeh nahi her hukum per bina sochey amal karna hi bina hisaab itab muhabbat hai.

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.