PDA

View Full Version : -- araish e khayal b ho dilkusha b ho --


Hussain
02-04-2009, 05:26 PM
araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho

wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho

ye kya k roz ek sa gam ek si ummid

is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho

ye kya k ek taur se guzre tamam umr

ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho

Tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism

itne hujum main koi chehra naya bhi ho

diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon

ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho

juz dil koi makan nahi dahar main jahan

rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho

har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka

lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho

har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut

lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho

fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada

ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho

baitha hai ek shakhs mere pas der se

koi bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho

bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm k liye

taus bolta ho to jangal hara bhi ho....

~Pr!nCe$s UrOoJ~
02-04-2009, 05:28 PM
v nice

Hussain
02-04-2009, 05:45 PM
TY

~Pr!nCe$s UrOoJ~
02-04-2009, 05:46 PM
its my pleasure

Hussain
02-04-2009, 05:47 PM
NP

safa
02-05-2009, 03:53 PM
Bohat khoob

Hussain
02-06-2009, 08:24 PM
ty

*~ siNn3r ~*
04-20-2009, 08:50 AM
nice

CHEEMO
04-20-2009, 10:39 AM
nice

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.