ROSE
09-24-2011, 05:34 PM
BaJuz Hava Koi na Janay Silsilay Teray
Main Ajnabi hOn KerOn Kis se Tazkiray Teray
Yah Kaisa Faraib Ka MaOusam hay aay Nigar-e-Chaman
Hava Main Rang Na KhushbOo Main Zaiqay Teray
Kahan se LaaOn Tera aks apni AankhOn Main
yah lOg Dekhnay Aaye hain Aainay Teray
Gull'On Ko Zakham, SitarOn kO apnay ashk KahOn
SunaOn Khud Ko Teray baad Tabsiray Teray
Yah Derd Kam tuo nahi Kay Tu Humain na Mila
Yah aur baat hay Kay Hum bhi na hO sakay Teray
JudayiOn Ka Tasawur rulaa gia Mujh KoO....!!
Charagh Shaam se Pahlay hi Bujh gaye Teray
Hazar Neend JalaOn Teray baad Mager........!
Main Khuwab Main bhi Na DekhOn wOh rat-Jagy Teray
Hawaen MOusam-e-Gull Ki hain Loriyan Jaisay
Bikher gaye hOn HawaOn Main Qahqay Teray
Kisay Khabr K Humain aab bhi Yaad hay Mohsin
Woh Kerwaten Shab-e-Ghum Ki Woh hOsaly Teray