Log in

View Full Version : QUOTE By Hazrat Abbu Bakar Siddique(RZ)


ROSE
09-23-2011, 01:49 PM
*sadqa faqeer kay samnay ajazee se paish kiya karo
kyun kay khush dili se sadqa dena qabooliyat ki nishaani hai.

*Gunah se tauba karna wajab hai magar gunah se bachna wajab tar hai.

*Gilay aur shikway se zubaan band rakho rahat naseeb hogi.

*us din se aansoo baha jo teri umar se kam ho gaya aur us main naiki na thi.

*Jo Allah Kay kamon main lag jata hia Allah uskay kaamon main lag jaata hai.

*Jis per nasihat asar na karay woh yeh janay kay mera dil Imaan se khaali hai.

*Tauba burhay ki khoob aur jawaan ki khoob tar hai.

*Gunah jawaan ka bhi bad hai magar burhay ka bad tar hai.

*Tu duniyan main rehnay kay samanon main laga hai aur duniyaa tujhay apnay se nikalnay main sargaram hia.

*Ilim peghambaron ki meeraas hai Aur maal kufaar Faroon,Qaroon ki.

*Momin kay liye itna ilim kaafi hai kay Allah Azojal se darta rahay.

*Musibat ki buniyaad insaan ki guftgoo hai.

*Shukar guzaar momin afiyat se qareeb tar hai.

*Agar koi naiki kisi waja se reh jaaye tu usko haasil karnay ki koshish karo aur agar usay paalo tu
agay barhnay ki koshish karo.

happy123
09-23-2011, 01:53 PM
really nice

M A H i
09-23-2011, 02:03 PM
*Momin kay liye itna ilim kaafi hai kay Allah Azojal se darta rahay.

nice qoutations ROSE
TFS

CaReLeSs
09-23-2011, 07:02 PM
Nice Sharing..

Sayeed7
09-23-2011, 07:43 PM
good share

ROSE
09-24-2011, 11:24 AM
Thanks

*NRB*
12-26-2011, 12:02 AM
Jazak Allah

ROSE
12-27-2011, 05:17 PM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.