Log in

View Full Version : golden words


ROSE
09-23-2011, 01:24 PM
agar insaan ki aqal uski apni zindagi ko khushgawaar na bana sakay
tu usay zaum-e-aagahi se tauba karni chahiye.

agar insaan ko apnay haal-o-halaat durust karnay ka shaoor na ho
tu usay danishwar keh laanay se tauba karni chahiye

agar insaan apnay aap ko ghum paraishaani gareebi gareeb alwatni ya maut se
na bacha sakay tu usay khud apnay khud honay kay bayaan se tauba karni chahiye.

agar insaan ko apnay khata kaar ya gunahgaar honay ka ehsaas ho jaaye tu usay
jaan lena chahiye kay tauba ka waqt aagaya hai apnay gunah ka ehsaas hi tauba ki ibtidaa hai.

agar gunah ka koi gawah na ho tu tauba tanhayi main honi chahiye
aur agar gunah poori qaum kay samnay sarzad hua tu tauba bhi
apni poori qaum kay saamnay karni chahiye

happy123
09-23-2011, 01:30 PM
great sharing

CaReLeSs
09-23-2011, 07:35 PM
Really Nice..

ROSE
09-24-2011, 11:28 AM
Thanks

*NRB*
12-23-2011, 05:39 PM
Behtareen sharing.. waki sochny wali bat he , insan to khud ko aql e kul hi smjhny lg gea he

nidamika
12-24-2011, 10:29 AM
so nice sharing dear fantastic like this..

ROSE
12-24-2011, 04:33 PM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.