View Full Version : Shayari Pasand kerne walon se EK SAWAAL
M A H i
09-18-2011, 10:36 PM
:salam:
Kia SHAYARI Achi Lagne ky Liye Pyaar Hona Zaroori Hai ?
Ya SHAYARI Ka Apna Mizaaj Hai ?
http://img3.imageshack.us/img3/3415/21287417.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/3/21287417.jpg/)
How Do U Think?
Plz Comment's...
:rose5:
walikumasalam
mery khayal se shairy ka liye pyar hona zarori nahi kio ka shairy ka apna aik alag andaz ha,apna mazag ha..
wesy aik baat kahoon mugey shairy ka koi khas shooq nahi sirf posting ki khud tak ha,,kio ka mugey shairiy ki itni samg nahi ha,,,
Shaam
09-18-2011, 10:46 PM
ummmm
zabardast sawal hai waisey
well shairi ke lia pyar nahi
DIL ka hona zaroori hai
koi dard kisi bhi waja sei ho
ahsaas kisi ka bhi ho
fikr
soch
khayal ki bulandi chahey wo ek insan sei wabasta ho
ya chahey ek qome sei
ya us sei barh kar
zoq e agahi ata karti hai
han pyar actually sensitive jazbo ko jagata hai is lia yah sab acha lagta hai
M A H i
09-18-2011, 10:47 PM
walikumasalam
mery khayal se shairy ka liye pyar hona zarori nahi kio ka shairy ka apna aik alag andaz ha,apna mazag ha..
wesy aik baat kahoon mugey shairy ka koi khas shooq nahi sirf posting ki khud tak ha,,kio ka mugey shairiy ki itni samg nahi ha,,,
hmmm
Thanks for replying ROSE
wese Shair achy select kerti hain app posting k liye
thanks mahi siso bus yahi kosish kerti hoon zaroor ka jo bhi post keroon sab ko acha lagay
M A H i
09-18-2011, 10:56 PM
ummmm
zabardast sawal hai waisey
well shairi ke lia pyar nahi
DIL ka hona zaroori hai
koi dard kisi bhi waja sei ho
ahsaas kisi ka bhi ho
fikr
soch
khayal ki bulandi chahey wo ek insan sei wabasta ho
ya chahey ek qome sei
ya us sei barh kar
zoq e agahi ata karti hai
han pyar actually sensitive jazbo ko jagata hai is lia yah sab acha lagta hai
hmmm
Khoob kaha
Thanks for reply Shaam
Shaam
09-18-2011, 10:59 PM
pleasure is all mine
~wish munda~
09-18-2011, 11:07 PM
shayad shairy her koi samajh leta hai
lekin app beti k hall sirf dil janta hai
shairy samajhnay k lyee zaroori hai ya nai pata nai
but shairy kernay k ishq lyee zaroori hai
yeh zaroori nai k ishq sirf lerki say hi ho
Ishq ho yeh zaroori hai
lolzz kuch zayada hi bol dia :p
Shaam
09-18-2011, 11:15 PM
mamoo tum ne amibath ki wo film hai na sharabi ke dialogue boldia
waisey aaj kal mujh jaisey shayir bhi hain
jin ke shairo ki quality dekh kar ishq ki quality ka andaza lagana muhskil nahi
M A H i
09-18-2011, 11:16 PM
shayad shairy her koi samajh leta hai
lekin app beti k hall sirf dil janta hai
shairy samajhnay k lyee zaroori hai ya nai pata nai
but shairy kernay k ishq lyee zaroori hai
yeh zaroori nai k ishq sirf lerki say hi ho
Ishq ho yeh zaroori hai
lolzz kuch zayada hi bol dia :p
hmmm
shayari her koi samjh leta hai....?
aap-beti ager shero mein dhal di jaaye tou.....?
baqi khoob kaha.
Thanks for reply Wish munda
Shaam
09-18-2011, 11:18 PM
mei doo is ka jawab Mahi ?
M A H i
09-18-2011, 11:20 PM
mei doo is ka jawab Mahi ?
sure...
Shaam
09-18-2011, 11:22 PM
shukria
muhabbat karnei sei shairi samjhne ka talluq nahi
baad loge bohat badzoq aur bohat achey ashiq hotey hain
yeh tou tabiyat ki latafat per hai sirf
aur rahi baat shairi ki aur aap beeti ke dhalney ki tou
izhaar her koi karta hai
koi directly koi indirectly
samjh lekin ajati hai
so ger kisi koi alfaazo sei khail sakta hai tou
wo izhaar apne dil me maujood ka jazbaat ka yaqeenan nazr ya nazm sei karei ga
again zoqe pe depend karta hai
M A H i
09-18-2011, 11:26 PM
:icon11:
Shaam
09-18-2011, 11:27 PM
: )..................
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
09-18-2011, 11:28 PM
Hmmm .. Shayri Ka Apna Mizaaj B hAi .. Par Yeh Musammam Haqeeqat hAi K Shayri Tab He Meaning Rakhti hAi Or Dil Ko Lagti hAi Jub DIL Pe Wo Beet HO Or Wo Alfaz Tab He DIL K Dar-O-Deewar Se Takrate Hen Or Asa Krte Hen Jub Un Jesa Jazba Andar Kahin MojOoD Ho .. Well Shayri Smjhne K Liye Us Ko Mehsoos Krne K LIYe Andar Utaarne K LIye Muhabbat Jesa Jazba Bht ZuroOri hAi .. Warna Insan Be Hiss hOTA Hai Or Shayri To Kia Us K Age Insaan Marr B Raha hOn Use To Us Ki b Samjh Nh Ati Phir .. :) Jis Ne Muhabbat K Jazbe kO MehsOos hE Nahi Kia Wo B Koi Insan hAi Bhla .. Or SAB Se Aham Bat .. Muhabbat .... ZuRoOri Nahi K Larki kO Larke Se HO , Larke kO Larki Se , Or Is Muhbbat Ki hE Bat hO , Dunia Men Or B Bht Se Gham hEN Ahsaasat Hen jO Insaan Ki HissOn kO Ujaagar Krte Hen , Jese Be Rozgaari hAi Gar K Halaat Etc .. Gham-e-Dauran etc ...
Aur B Dukh Hen Zamane Men Muhabbat K Siwa
Raahten Or B Hen WASAL Ki Raahat K Siwa ... :)
Miss Habib
09-19-2011, 11:09 AM
mera khayal he shairi samjhne k liye mohabbat hona zaroori nahi, bohat se mohabbat karne wale aise hain, jin k sar k ooper se shairi guzar jati hai,ye to apne apne zoq ki baat he
M A H i
09-19-2011, 01:03 PM

NICE STARTED....
thanks for reply SIm SIm
shair ka jawaab
Na Wasta tha kisi Shair say
Na Shayarri say thi main Ashna
Teri Yaad nay, Tere Dard nay
Mujhay Shair kehna Sikha dia> !
M A H i
09-19-2011, 01:05 PM
mera khayal he shairi samjhne k liye mohabbat hona zaroori nahi, bohat se mohabbat karne wale aise hain, jin k sar k ooper se shairi guzar jati hai,ye to apne apne zoq ki baat he
bikul sahi....iesa bhi hota hai....kabhi kabhi!
thanks for reply Miss hijaab
Shaam
09-19-2011, 01:07 PM
Hmmm .. Shayri Ka Apna Mizaaj B hAi .. Par Yeh Musammam Haqeeqat hAi K Shayri Tab He Meaning Rakhti hAi Or Dil Ko Lagti hAi Jub DIL Pe Wo Beet HO Or Wo Alfaz Tab He DIL K Dar-O-Deewar Se Takrate Hen Or Asa Krte Hen Jub Un Jesa Jazba Andar Kahin MojOoD Ho .. Well Shayri Smjhne K Liye Us Ko Mehsoos Krne K LIYe Andar Utaarne K LIye Muhabbat Jesa Jazba Bht ZuroOri hAi .. Warna Insan Be Hiss hOTA Hai Or Shayri To Kia Us K Age Insaan Marr B Raha hOn Use To Us Ki b Samjh Nh Ati Phir .. :) Jis Ne Muhabbat K Jazbe kO MehsOos hE Nahi Kia Wo B Koi Insan hAi Bhla .. Or SAB Se Aham Bat .. Muhabbat .... ZuRoOri Nahi K Larki kO Larke Se HO , Larke kO Larki Se , Or Is Muhbbat Ki hE Bat hO , Dunia Men Or B Bht Se Gham hEN Ahsaasat Hen jO Insaan Ki HissOn kO Ujaagar Krte Hen , Jese Be Rozgaari hAi Gar K Halaat Etc .. Gham-e-Dauran etc ...
Aur B Dukh Hen Zamane Men Muhabbat K Siwa
Raahten Or B Hen WASAL Ki Raahat K Siwa ... :)
sim tumharei shair ke jawab me ek shair
muhabbat nahi akhir zindagi ka yah bhi haqiqat hai lekin
meri zaat me tere siwa kuch nahi yeh meri majboori hai
Shaairi tamaam uloom ki terseel ka mo’assar or aasaan zeriya hai
Shaairi k liye piyaar ka hona zaroori nahi hai
Shaairi ka apna mizaaj hai kiun k shaairi ka maqsad sirf itna hai k insaan maafi-al-zameer
Ko munzoom kalaam mein paish karay balaaghat ko paish-e-nazer rakhtay huway
Is baat per ghour kernay say jawaab samhaj mein aa jaaye ga
Baakhi aasaan alfaazon mein logon k liye is terhan keh sakta hoon k
Shaairi k acha lagnay k liye piyaar ka hona zaroori nahi
Ho to acha hai na ho to koi harj bhi nahi
Bilkul aisay hi ager main aap say sawaal karoon k
1: Kya kisi khoobsoorat emaarat ko pasand kernay k liye us emaarat say piyaar hona zaroori hai ?
2: Kya kisi novel k acha lagnay k liye us novel say piyaar hona zaroori hai ?
Yaqeenan aap ka jawaab hoga ”NAHI”
To phir shaairi k liye kiun ? ? ?
Zara is shair ko dekhiye
Kahaan Pay Dafan Karoon Main Sukhan Ki Taigh-e-hunaR
Ghazal Kahoon to Zamaanay Ki Jaan Jaati Hai
Bataaiye kya is shair k acha lagnay k liye pehlay piyaar kerna paray ga ?
Yaqeenan nahi
Agerchay dekha jaaye to poori duniya ki ab tak ki likhi gai shaairi mein 90 feesad kalaam ka ta’alluq majaazi mohabbat say nahi hai balkay daanishwaraana, falsafiyaana or saainsi mazaameen say hai
Baaqi 10 feesad mein say bhi koi 4 ya 5 feesad hi hoga jis ka ta’alluq majaazi mohabbat say hai.
Shaairi yaa tajurba yaa mushaahida yaani aap-beeti yaa jagg-beeti k liye piyaar hona zaroori nahi
Shaairi k liye piyaar ka hona yaa na hona shart nahi hai
Jazbaat k manzoom or izhaar ka naam shaairi hai
Or jazbaat kisi qisim k bhi ho saktay hein
Or in ka mu’arrikh koi bhi ho sakta hai
Tajurbah bhi, tajziyah bhi, mushaahidah bhi or mutaaliah bhi
Baaqi sab mafroozay hein
Dekhiye shaairi ki iqsaam mazaahiyah, tunziyah, turbiyah, almiyah, tanqeedi, mazahamati, inqaylaabi, qoumi, mazhabi, maqsadi or waghairah waghairah hein
In sab iqsaam k mukhtalif qisim k muharrikaat hein
Sirf ishqiya shaairi hai jis k liye piyaar honay ki shart kisi had tak lagaai jaa sakti hai.
M A H i
09-20-2011, 09:11 PM

aray aray aap se sirf apki raaye pochi gai hai yeh kisne khe dia k shayari pasand kerne k liye ishq shart hai?
khair.....achi misaalien dien.....kaafi aasaaniyan kerdi'en
Thanks for reply Owi
aur sitaraare lagane ka bhi shukriya.
Jannat
09-21-2011, 11:16 AM
I Think ke payar hona zaroori ha unko samjhne ke liyay ... and dukh bhari shayari ke liyay dil ka toota hona sahi derd unko hota ha ... na samajh ko bhi baad ma hi samajh ati ha
M A H i
09-21-2011, 12:57 PM
I Think ke payar hona zaroori ha unko samjhne ke liyay ... and dukh bhari shayari ke liyay dil ka toota hona sahi derd unko hota ha ... na samajh ko bhi baad ma hi samajh ati ha
:good:
chalo kissi ny tu MOHABBAT ko dosh dia.....
Thanks for reply Anam.
Zafina
09-23-2011, 04:39 PM
Meray Khayal me tu Shairy sirf ishqiya hi nahi huti, Shairy kisi bhi type ki hu sakti hay, aur har aik ka apna taste huta hay.wassy shairy insan k mizaj per buhat asar andaz huti hay.. I think ishqiya shairy samjny k liye ishq ka huna zarori hay kio k ju dish kabhi khaye nahi us ki recipe perh ker tu taste ka pata nahi chal sakta na :D
M A H i
09-26-2011, 06:15 PM

ishqiya shairy samjny k liye ishq ka huna zarori hay kio k ju dish kabhi khaye nahi us ki recipe perh ker tu taste ka pata nahi chal sakta na
Kia example di Zafina
:thumb:
Thanks for comments Zafina
»-(¯`v´¯)-» єαѕнєℓ »-(¯`v´¯)-»
12-09-2011, 08:33 PM
Ofcorse not...
pyaar hona zaroori nhi...
shayeri srif pyaar per nhi hoti, balky pyaar ki talash dosti aur bht se topics per....
poetry ka apna mizaaaj hai .... i Blv that
Abewsha
12-09-2011, 09:39 PM
shairi ka pyaar se koi b lena dena nahi
wo apni jaga hai aur shairi usi ko samj ati hai
wo is ko achi se samjhe aur feel kare
pyaar ek alag cheez hai
par dono shiri aur pyaar bohat khoobsurat ekhsas hai..
CaReLeSs
12-09-2011, 11:09 PM
Hmmm Shairi k liay basic cheez dard hai chahat hai....
ab ye to insaan par depend karta hai k wo kis cheez k liay Shairi karta ya parhta hai,...
*NRB*
12-10-2011, 09:27 AM
I dont Think so k Shairi k liy Piyar ka hona zaroori he...
Shayri to her topic py ki gai he Mazhab ho , mulk ho , jang ho , aman ho , nafrt ya mohbat ho...
to in sb ko smjhny k liy sb cheezon ka hona zaroori ni , shayri khiyalat ko paish krny ka andaz he , aur maza is my he k humain Shaiyri ki smjh aaiy.....
aaj kal ki shayri to bs qafiya radeef ko milany ka naam he , real poetry parhni he to Ghalib ,Iqbal aur un k hum asar logon ki parhi jaiy.. jo unko smjh gea wo bakion ko b smjh jaiy ga.
S@N@ KH@N
12-10-2011, 01:39 PM
Wa alaikum salam
i think ,SHAYARI Achi Lagne ky Liye Pyaar Hona Zaroori nahi,but SHAYARI samajhna zarori hy,jinko samajh ajaye unhain to achi lagay gi but jinko nahi aye gi samajh unahain achi nahi lagay gi .
PRINCE SHAAN
12-10-2011, 01:55 PM
walikumasalam
mery khayal se shairy ka liye pyar hona zarori nahi kio ka shairy ka apna aik alag andaz ha,apna mazag ha..
wesy aik baat kahoon mugey shairy ka koi khas shooq nahi sirf posting ki khud tak ha,,kio ka mugey shairiy ki itni samg nahi ha,,,
Aapko jub shayeri ki samajh nahi to izhaar e khiyaal ka bhi koi haq nahi shayeri ko samajhne k liye dil main mohabbat ka hona zaroori hai mohabbat k liye mohabbat k juzbe ko samajhna zaroori hai aur juzbe ko samajhne k liye ehsaas ka hona zaroori hai ager aap main yeh sab khubyan hain to aap shayeri ko achi tarah samajh sakti hain.

geee theek ha ma nahi keroon ge ab izhar is topic ma thanks alotttttttttttt:;scare:
Shairy k Liye mohabbat Hona zaruri nhi hai , Lekin Shidat Zaruri hai us ko samjhne k liye .
Razii
12-10-2011, 05:49 PM
Shairi apni internal feelings k izhaar ka naam hai. .bohat se log mukhtalif tariqon se apni feelings share karte hain. .koi tasveeron se karta hai to musawwir ban jata hai, koi suron se karta hai to musician ban jata hai. .jo alfaaz se karta hai wo poet ban jata hai. .
aur feelings k izhaar k ye sub andaaz natural hotay hain. .Allah pak ki taraf se hotay hain. .haan apni mehnat se inhain tarasha jata hai. .khoobsruat banaya jata hai. .
jahan tak ishq ki baat hai to is dunia main koi shakhs esa hai he nhen jisay ishq na ho kisi se :) kisi ko Allah pak ki makhlooq se hai, kisi ko nature se hai. .kisi ko rangon se hai to kisi ko ek achay sur se. .aur kisi ko Allah pak se. .
hmm...mera khyaal hai shairi k liye muhabbat ka hona zruri nhi...
blky muhabbat shairi mai ak mauzoo hai...
agr apko lafzon ko pirona ata hai to ap bohat khobsorat lafzon ki mala bna skty hain
lekin shairi main dard aur ehsaas jbhi paida hota hai jb koi dard dil mai ho ya koi ehsaas ho
chahy wo ehsaas judaei ka hai ya milaap ka...
hmara rujhaan hamy btata hai k hmy kis trf jana hai
agr IshQ ALLAH sy hai to sofiyana shairi,agr muhabbt insaan sy hai to ishqiya shairi
aur agr muhabbat insaniyat ya Qaum sy hai to inqlaabi ya islahi shairi
shairi ka apna hi mizaaj hai bs dil ka hasaas hona zruri hai...
M A H i
12-13-2011, 08:52 PM
hmmm
:thumb:
keep sharing ur veiws
:thanks:
Polar Bear
04-05-2012, 09:46 AM
Zaroori nhin jo shaire likhta hey, ya read kerta hey us ko mohabat hona zaroroi hey,ya hurt person.
Actually respect to un alfaz ki hey jo likhy gaye es andaz se keh un ki apni feelings hoon .
M A H i
04-06-2012, 06:02 PM
hmm...mera khyaal hai shairi k liye muhabbat ka hona zruri nhi...
blky muhabbat shairi mai ak mauzoo hai...
agr apko lafzon ko pirona ata hai to ap bohat khobsorat lafzon ki mala bna skty hain
lekin shairi main dard aur ehsaas jbhi paida hota hai jb koi dard dil mai ho ya koi ehsaas ho
chahy wo ehsaas judaei ka hai ya milaap ka...
hmara rujhaan hamy btata hai k hmy kis traf jana hai.
hmmm... : )
( aur interest usi taraf hota hai jo beet chuka ho ya beet raha hota hai dil per )
Thanks for reply iqra!
Zaroori nhin jo shaire likhta hey, ya read kerta hey us ko mohabat hona zaroroi hey,ya hurt person.
Actually respect to un alfaz ki hey jo likhy gaye es andaz se keh un ki apni feelings hoon .
I Agreed with your last line^
Thanks for reply S.Q!
!~*SOoLi
06-05-2012, 06:37 PM
Shayeri Aik Fun Hay Jis Ka Insan K Shao'oor aur Fahem Aur Khaas Kar Tabiyat (Nature) Say Barah-e-Raast Taluq Hay..
Kisi Kaam Ko Agar Dil Say Kiya Jaye To Us Main Nikhar Paida Hota Hay.. Isi Tarha Shayeri Kay Pas-e-manzar Koi Ehsas Ho To Nikhaar Paida Ho Jata Hay..
Warna "Ehsas" To Har Insan Kay Pass Hota Hay, Majzoob K Pass Bhi..
M A H i
06-06-2012, 02:58 PM
.
.
.
.Kisi Kaam Ko Agar Dil Say Kiya Jaye To Us Main Nikhar Paida Hota Hay.. Isi Tarha Shayeri Kay Pas-e-manzar Koi Ehsas Ho To Nikhaar Paida Ho Jata Hay..
hmmm.....
:khob:
(‘“*JiĢäR*”’)
07-25-2012, 01:01 PM
The creativity of human mind is awesome. Shayari is a very unique and ecstatic poetic language used to express feelings and desires in very less and heart touching words. It is basically expression of ones feelings and desire. For example Happiness, sadness, loneliness, ecstasy, freedom, attractiveness, romanticism, friendship, patriotism – anything can be expressed through this unique way of communication.
Someone has defined shayari in its own way as :
Ek baat… jo kehte kehte chuppa li jaye..
Ek yaad… jo seene se laga li jaye…
Jante ho shayri kuch u hi hoti hai dostoon..
Ke ik dil ki aawaz chand se lafjo main chuppa li jaye.
Jhukin nazaron say ikrar matt karna,
Nazarain uthakar inkar matt karna,
Raat bharr tadapte ho kissi ki yaadoan main,
Aur humse kehte ho kissi se pyar matt karna…
Zindagi gamoan bhari hai fir bhi jiye jaa rahe hain.
Jaam khaali hai fir bhi piye jaa rahe hain…….
Jaane kya kashish hai unki aankhon mein
Kay hum uss bewafaa se wafaa kiye jaa rahe hain…..
Yaaran dai ditte hanjuan nu pean da majja kujh horr hi hai,
Kissi diyan yaadan which jeon da majJa kuch horr hi hai,
Ki hoya jeyaar saada yaar beparwahh hai,
Ik beparwahh nu vi chahun da majja kujh horr hi hai..
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.