Aslam
09-16-2011, 12:29 AM
Ab kaun se mausam se koii aas lagaye
ab kaun se mausam se koii aas lagaaye
barsaat men bhi yaad nahi jab un ko ham aaye
mittii ki mahak saans ki Khushbuu men utar kar
bhigay hue sabzay ki taraaii men bulaaye
dariya ki tarah mauj men aayii huii barkhaa
zardaaii huii rut ko haraa rang pilaaye
bundon ki ChhamaaChham se badan kaanp rahaa hai
aur mast havaa raqs ki lay tez kiye jaaye
shaakhen hain to woh raqs men, patte hain to woh ram men
paani ka nashah hai k, darakhton ko charhaa jaaye
har lahar ke paavon se lipatne lagay ghungharuu
baarish ki haseen taal peh paazeb jo Chhankaaye
anguur ki belon peh utar aaye sitaare
rukti huii baarish ne bhi kyaa rang dikhaaye
Parveen Shakir