ROSE
09-14-2011, 06:47 PM
kuch khushi k saye mai or kuch ghamon k sath sath
zindagi kat he gayi hai uljhanon k sath sath
aj tak iski thakan say dukh raha hai ye badan
ek safar mainay kiya tha khwahishon k sath sath
kis tarha khaya hai dhoka kya bataoun main tumhen?
doston k mashwaray thay sazishon k sath sath
is dafa sawan main teri yaad k badal rahay
is dafa mai khoob roya barishon k sath sath
shehr main kuch log meray chahnay walay b hain
phool b lag rahay hain pathron k sath sath