Shaam
09-13-2011, 05:44 PM
Arsa edaraz sei hai band
Mujh pe hayaat hai tang
Na roshni ki khabr
Hai bus musalsal hijr
Na koi soorat apni
Na koi merhbaan hai sath
Ek dil e kharab mere pahloo me bhi
Darakhta b hai tarapta bhi hai
Mei pather nahi aur na hi chatan ho
Merei bahtey lahoo ke nishaan ko
Aye zindagi tu apne nasq e paa me dekh
Mera dosh kia mera kusoor kia
Yah aziyat mujhey musalsal hai kio
Mujhey tor kar tujhey milei ga kia
Aye zindagi mujhey yah tou bata
Mujhey rahein nahi milti
Teri banhein nahi milti
Mei nei pal pal ko apne parkha magr
Tujh ko phir koi shikayat agr
Mujhey itna tou keh ke kia qusoor hai
Meri hi zindagikio mujh sei door hai
Mei nei dekhey nahi abhi koi rang
Me ursakoo kash hawaon ke sang
Na aisa kar ke me yah chah bhi chordoo
Bus itni si hai jo iltijaa.. sun
Me jeena chahta hoo, mei jeena chahta hoo
Mujh pe hayaat hai tang
Na roshni ki khabr
Hai bus musalsal hijr
Na koi soorat apni
Na koi merhbaan hai sath
Ek dil e kharab mere pahloo me bhi
Darakhta b hai tarapta bhi hai
Mei pather nahi aur na hi chatan ho
Merei bahtey lahoo ke nishaan ko
Aye zindagi tu apne nasq e paa me dekh
Mera dosh kia mera kusoor kia
Yah aziyat mujhey musalsal hai kio
Mujhey tor kar tujhey milei ga kia
Aye zindagi mujhey yah tou bata
Mujhey rahein nahi milti
Teri banhein nahi milti
Mei nei pal pal ko apne parkha magr
Tujh ko phir koi shikayat agr
Mujhey itna tou keh ke kia qusoor hai
Meri hi zindagikio mujh sei door hai
Mei nei dekhey nahi abhi koi rang
Me ursakoo kash hawaon ke sang
Na aisa kar ke me yah chah bhi chordoo
Bus itni si hai jo iltijaa.. sun
Me jeena chahta hoo, mei jeena chahta hoo