ROSE
09-11-2011, 12:18 PM
Nigah-e-yaar kay pardon main hay pinhaan adaa kaisi
Sitam kaisa, karam kaisa, jafaa kaisi, wafaa kaisi
Ye jo toofan samandar hain, ye sab hasti kay manzir hain
Agar qismat main jalna ho, dawaa kaisi, duaa kaisi
Sunay ga kon ab mujh say, tairay behroop kay qissay?
Mujhay bhi maar kay kar day, karam ki intehaa kaisi
Agar dil haar hi baithay mairay hamdam mohabbat main
Fanaa kaisi, baqaa kaisi, jazaa kaisi, sazaa kaisi
Bahot muddat hum apnay muqaabil say nahi haaray
Bula lay hum bhi dekhain gay, kay hay shaam-e-qazaa kaisi?