ROSE
09-08-2011, 12:30 PM
chahat ka rung tha na vafa ki lakeer thi
qatil k haath mein to hina ki lakeer thi
khush hon k vaqt e qtal mera rung surkh tha
merey labon pe harf e dua ki lakeer thi
main kaarvaan ki rah samajhta raha jisey
sehra ki rait par voh hava ki lakeer thi
suraj ko jis ne shab k andheron mein gum kia
moj e shafaq na thi voh qaza ki lakeer thi
guzra hai shab ko dasht se shayad woh parda daar
har naqsh e pa k saath ridaa ki lakeer thi
kal uska khat mila k saheefa vafa ka tha
Mohsin har aik sitar haya ki lakeer thi