Owi
09-03-2011, 05:57 PM
-:||:- Aansoo'on Ki Roshni Mein Muskuraana Chaahiye -:||:-
Aansoo'on ki roshni mein muskuraana chaahiye
Chashm-e-num ko ye hunar-mandi bhi aana chaahiye
Phool per shabnum ka manzer jab kabhi yaad aa gaya
Hum wahaan roye jahaan per muskuraana chaahiye
Doosron k ghum yahaan aa ker qayaamat ho gaye
Is derr-e-ehsaas say ab lout jaana chaahiye
Baa-khaber rakhna kisi ko ehtiyaat-e-jurm say
Dushmanon k saamnay to aana jaana chaahiye
Jab hansein to yun hansein hum, saari duniya hans paray
Or ager royein to daaman bheeg jaana chaahiye
Hum say kuch bay-daad zehnon ko rujhaanay k liye
Ho koi lehja mager wo shaairaana chaahiye
Doosron ki chaara-saazi doosron ka baar-e-ghum
Khud say milnay k liye hi ik zamaana chaahiye.