PDA

View Full Version : -:||:- Mera Noha Inhi Galiyon Ki Hawa Likhay Gi -:||:-


Owi
09-03-2011, 05:50 PM
-:||:- Mera Noha Inhi Galiyon Ki Hawa Likhay Gi -:||:-


Main k is sheher ka seemaab sifat shaa'ir hoon
Meri takhleeq meray fiker ki pehchaan bhi hai

Meray hurfon meray lafzon mein hai chehra mera
Mera fun ab mera mazhab mera emaan bhi hai

Meer-o-Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Meray yaaron k sirhaanay mera deewaan bhi hai


Mujh say poocho k shikast-e-dil-o-jaan say pehlay
Meray ehsaas pay guzri hai qayaamat kya kya ?

Saaya-e-daar-o-shab-e-ghum ki sakhawat say alag ?
Main nay sochi qad-o-gaysoo ki alaamat kya kya ?

Meray tootay huway khuwaabon k kharaabon say paray
Meray bikhray huway jazbay thay salaamat kya kya ?


Tunz-e-aghiyaar say ehbaab k ikhlaas talak
Main nay her naymat-e-uzmaa ka libaada pehna

dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi day gi
Main nay her zakham qabaa say bhi ziyaada pehna

Meri aankhon mein kharaashein theen dhanak ki laykin
Meri tasweer nay malboos to saada pehna



Mujh pay kerki hein kamaanein meray ghum-khuwaaron ki
Meray ashkon ka tamaasha sir-e-baazaar hua

Meray aangan mein hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajha-e-azaab-e-der-o-deewaar hua

Ishq mein izzat-e-sadaat bhula ker akser
MEER saahib ki terhan main bhi gunahgaar hua


Apni ujri hui aankhon say shuaayein lay ker
Main nay bujhti hui sochon ko jawaani di hai

Apni ghazlon k sukhan taab sitaaray chun ker
Sung-rayzon ko bhi aashufta bayaani di hai

Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraan say mohabbat ker k
Main nay her mour ko ik taaza kahaani di hai


Mujh say roothay hein meray apnay qabeelay waalay
Meray seenay mein her ik teer-e-sitam toota hai

Lafz-o-maani k taqaazon say ulhaj ker akser
Meray haathon mera mujrooh qalam toota hai

Karb-e-naa'qadri-e-yaaraan k bhanwar mein ghir ker
Baar-haa dil ki terhan shoq ka dam toota hai


Main k is sheher ka seemaad sifat shaair hoon
Main nay is sheher ki chaahat say sharf paaya hai

Meray aadaa ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Meray ehbaab ki nafrat mera sirmaaya hai

Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Meray sehra ki tamaazat mera sirmaaya hai


Mutmainn hoon k mujhay yaad rakhay gi duniya !
Jab bhi is sheher ki taareekh-e-wafa likhay gi !

Meray ghar k dar-o-deewaar mujhay sochein gay
Wus'at-e-dasht mujhay aabla paa likhay gi

Mera maatam isi chup chaap fizaa mein hoga
Mera noha inhi galiyon ki hawa likhay gi !

SHAYAN
09-05-2011, 01:27 AM
V Nice

Owi
09-09-2011, 09:00 PM
Thankx

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
09-11-2011, 04:09 PM
Wahh .. Great Poetry Bro .. :)
bOhat KhoOb :)

Owi
09-11-2011, 05:00 PM
Thankx Bro

Hamid
09-11-2011, 05:06 PM
Zabardasttttttt

Owi
09-11-2011, 07:42 PM
Shukriya

life
09-11-2011, 08:47 PM
nice sharing

Owi
09-12-2011, 07:05 PM
Thankx

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.