DiE
08-26-2011, 01:15 AM
har qadam guraizan tha, har nazar main wehshat thi
maslihat parastoon ki rahbari qayamat thi
manzil e tamanna tak kon sath deta ha
gard e sae la hasil har safar ki kismat thi
aap hi bigarta ha, ap man bhi jata ha
is guraiz pehlu ki ye ajeeb adat thi
us ne hal pucha to, yad hi na ata tha
kis ko kis se shikwa ha, kis se kya shikayat thi
dasht main hawaoun ki be rukhi ne mara ha
sheher main zamany ki pooch gach se wehshat thi
yoon to din daharey hi log loot jaty hain
magar un nigahoon ki or hi syasat thi
hijar ka zamana bhi kya ghazab zamana tha
ankh main samandar tha, dheaan main wo surat thi