DiE
08-26-2011, 01:05 AM
Aisay na thy ham ehl e dil itnay kahan kharab thy
ham bhi kisi ki aas thy ham bhi kisi ka khwab thy
ab jo huway hain khair se rand e khalq e sheher ham
chehra e shab ka noor thy sheesha e fun ka aab thy
dil pay kisi k naqsh thy surat e harf e arzu
uski kitab e zeest main laa'iq e intesab thy
aisi thi wo rafaqatain, jesay ham apnay ap mai
rang e shuwae mhr thy raiz e aftaab thy
wadoon ka aik sheher tha jis se guzar rahy thy ham
ankhain khuli to door tak har su wohi sarab thy
dil sa charagh kya bujha ankhain dhuwan dhuwan ho'in
kehny ko apnay aas pas kitny hi aftaab thy