View Full Version : Bazm -e- EID (Poetries for Eid )
M A H i
08-25-2011, 04:16 PM
:salam:
Bazm-e-Eid
Here- is EID Poetry Collection
waiting to have ur nice Sharings
:thankyou:
http://i61.tinypic.com/iliwrk.jpg
Shaam
08-25-2011, 04:20 PM
nice Mahi
chalo kuch acha mayaari mila tou zaroor share kareinge hmmm : )
M A H i
08-25-2011, 04:20 PM
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Hasrat Hai Tumhari Deed Karein
Tum Aao to ham bhi Eid karein
Kuch Dair to Dil ko Chain Miley
Kuch roz to maan ka Phool Khiley
Kehtey hain ke Eid ki Aamad hai
Ham log bhi Kuch taaeid karein
Tum Aao to Ham bhi Eid karein
Tum se yeh Aik Guzaarish hai
yeh Apney Dil ki Khaaish hai
Ik Baar milo , Ik Baar Milo
Har Baar yahi Taakeed karein
Tum Aao to ham bhi Eid Karein
Mana ke Ham Deewaney hain
Sab Baatoo'n Se Anjaaney hain
Jab Apney hi Baigaaney hain
Kya Ghairoo'n Se Umeed karein
Tum Aao to ham bhi eid karein
Tum aao to Ham bhi Eid karein
hmmmm hamesha ki tarha kuch bht acha :)
v nyc thread
good thread Mahi i will share as soon as i find something
Shaam
08-25-2011, 06:03 PM
chalo yah arzoo bhi hogai poori : )
http://koolpoetry.com/gallery/eidurdu/eid-poetry-5.jpg
Shaam
08-25-2011, 06:04 PM
http://koolpoetry.com/gallery/eidurdu/eid-ashar-4.jpg
Shaam
08-25-2011, 06:07 PM
one left phir share karooga samhal ke rakhi hai
M A H i
08-26-2011, 05:08 PM
chalo yah arzoo bhi hogai poori : )
loll AYAZ k responce ki ? :rose5wd:
M A H i
08-26-2011, 05:14 PM
Abb dheak k udaas nazaron ko kiya milay
Har tarf khushiyan banti-ti phirti hai shaam-e-Eid
:rainbow:
koi kerta he nahi zabt ki taakeed ab k baras
hum he ghaafil the, ke aayi nahi Eid ab k baras
M A H i
08-26-2011, 05:18 PM
Iss Eid par
phir sath hain mere
Pardes,
Tanhai
aur bas Teri Yaadein !!!
nyc 1
her shakhs apne chaand se tha mehw e guftago
mai chaand choondhta raha aur Eid ho ga'ee
M A H i
08-26-2011, 05:22 PM
Khat mein likha tha Eid kab hogi
humko taareekh likh k bhejwaaien
chonke jhagra tha iss liye hum ne
likha dia APP jaab Aajaaein
:flower4u:
M A H i
08-26-2011, 05:23 PM
nice DiE
thora correction ker liein second line
Eid ke chaand ki maanind hua ha ab to
hey wo shakhs jo her roz mila kerta tha
M A H i
08-26-2011, 05:26 PM
Kia lutf-e-'Eid' hai jo agar tum se duur hoon
Guzarega Roz-e-'Eid' tasavvur mein Aap ke
Shezadi Raniya
08-26-2011, 05:28 PM
hum bhe soon bhejein gy apni poetry... :D
M A H i
08-26-2011, 05:33 PM
Gham hii Gham hain terii ummeed mein kia rakkha hai
'Eid' ayaa kare ab 'Eid' mein kya rakkha hai]
Taskeer kar raha hon zamane ki gardishen
gham ko sikha raha hon, munajaat Eid ki
Zafina
08-26-2011, 05:52 PM
Eid eid kertay hu eid bhi ajay ge
pehly rozay puray kero aqal tekany ajy ge :$
M A H i
08-26-2011, 05:53 PM
charaag dil ke jalaao k Eid ka din hai
taraane jhuum ke gaao k Eid kaa din hai
Ghamo'n ko dil se bhulaao ki Eid kaa din hai
Khushii se bazm sajaao k Eid kaa din hai
huzuur us kii karo ab salaamti ki duaa
sir-e-namaaz jhukaao k Eid kaa din hai
sabhii muraad ho puri har ek sawaali ki
duaa ko haath uthaao k Eid kaa din hai
M A H i
08-26-2011, 05:54 PM
NYC ONE Zafina : )
Welcome here
M A H i
08-27-2011, 03:17 PM
Kuch mussarat mazeed ho jaye
Iss bahanay say EID ho jaye
Eid milnay jo app aa jain
Hamari Eid bhi eid ho jaye
M A H i
08-27-2011, 03:19 PM
Dastuur hai duniya kaa
magar ye to bataao
Ham kis se milen
kis se kahe.n 'Eid' Mubaarak
M A H i
08-27-2011, 03:23 PM
Main ne chaahaa tujhe 'Eid' pe kuchh pesh karoun
Jis mein ehasaas ke sab rang hun roushan roushan
Jis mein aankhon ke taraashe hue motii laakhon
Jis mein shaamil ho mere qalb kii dhadakan dhadakan
M A H i
08-27-2011, 03:25 PM
Hilaal-e-Eid jo dekho to rok lo aansoo
Jo ho sake to Muhabbat ka ahtaram kero !
sunooo alfaaz kam hain or tamanna'en ziada
mubarik hon meri janib se tumhen Eid ki khushyan
RoOZ SoOChTa HouN
08-27-2011, 07:41 PM
dar thaa ho jaein na woh mujh sai khafaa EID kai din
mai raqeebun se bhee jhuk jhuk kai millaa EID kai din
RoOZ SoOChTa HouN
08-27-2011, 07:43 PM
tujh ko dheeroun EID MUBARAK too hai mairee doost
yaad rahain gai din jo mai nai tairee sath bitaee
M A H i
08-28-2011, 12:38 PM
A sitaara-e-shab-e-zindagi
Wohi shaam kuhar si shaam phir
Teray naam ho to ghazal kahein
Wohi shaam jis ki ragon mein thay
Teri khuwaab aankhon k ratjagay
Wohi subha dhoop ki laadli
Teray aarizon pay khilay to phir
Rug-e-jaan say nazm kasheed ho
Wohi saa'aton ka juloos ho
Wohi rung ho, wohi roshni
Wohi khushboo'on ka hujoom ho
Wohi aik pall teri deed ka
Jo milay to ashk damak utthein
Jo bujhay hein daagh chamak utthein
Wohi aik pall teri deed ka
Jo milay to derd ki oat mein
Sab hi qehqahay say chalak parein
Sir-e-loh-e-shaam-e-firaaq phir
Ghum-e-ishq mouj-e-naveed ho
A sitaara-e-shab-e-zindagi
Idher aa k jashan ho motaber
Nazer aa k dhang say EID ho.
:bu:
Welcome here . . .
M A H i
08-28-2011, 12:42 PM
Nice sharing ROoz
Welcome here
Yeh Bhi Accha Hoowa EID Abb Ki Bhi Tanha Guzar Gi
Hum Gale Milkar Bohat Rote Agar Aap Aa Jaate ! ! !
Shaam
08-28-2011, 12:53 PM
kia baat hai : )
Masha Allah sab hi Posts bohat achi hein
Thankx For Shairing Guyz
M A H i
08-28-2011, 02:53 PM
Un ke abro-e-khameeda ki tarah teekha hai
Apni aankhon meiN bari dair chubha Eid ka Chaand
Zaberdast Intaykhaab Hai Masha Allah]
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-28-2011, 03:13 PM
bOhat KhOOB Mahi .. :) Achi Thread Ha ..:D
Par Mene Jo Share kRNI Thi Wo Owais Ne OoPr Kar Di :D
Owais Bhai Acha NH Kia .. lOlzZ .. Nyws Kch Na Kuch To Share Kr k He Jaen Gay Hum B .. :)
Wo Jo Gai RutoOn Men Hum Se Bichar Gay ..
Unhi kO Dhund K LaOoO , K Eid Ka DIN Hai .. :)
Main delete ker dayta hoon bhai
Aap ker leejiye jo aap ko post kerna hai
And welcome here
M A H i
08-28-2011, 03:18 PM
nahi koi delete nhi keryga kuch
aap late kiu aye simsim ab kuch naya laien
neway Welcome here
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-28-2011, 03:19 PM
hA hA hA .. Aray Nai Bhai .. Ap Ne kaR Di Kafi Hai .. :)
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-28-2011, 03:20 PM
Je Theek Mahi .. :$
Naya He Laen Gy Hum Kuch Agr Hua Pass To .. :P
Eid Pe Eidi Kam He Milti HA , So Shayri B Pass Nh Itni Eid Ki :(
Sim Sim bro aap share ker saktay hein jo aap share kerna chaahtay hein
Main nay apni posts hata di hein
So aap share keejiye mujhay acha lagay ga
M A H i
08-28-2011, 03:28 PM
touba hai!
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-28-2011, 03:33 PM
Yarrrrrr ... :( Yeh To Theek Nh Kia Ap Ne .. :(
M A H i
08-28-2011, 03:38 PM
Aaj ke din saaf ho jata hai dil aghyaar ka
Aao mil lo Eid ye moqa nahi takraar ka
Shaam
08-28-2011, 04:25 PM
adhorei tishta sawaalo ke sath
kuch apne kuch auro ke hawalo ke sath
jo socha tha wo tou mil saka nahi
bin mangi chand muraado ke sath
guzarjata hai guzar jaye ga
bekal sa kuch uljha sa
ek aur Eid ka din
(Shaam)
Shaam
08-29-2011, 05:59 PM
http://www.entertainmentpk.com/wp-content/uploads/2010/06/Power-of-Life-and-Love-300x225.jpg
Mei ne chaha tujhey eid pe kuch paish karoo
jis me ahsaas ke sab rang ho roshan roshan
jis me hon akhon ke tarashey huway moti lakhon
jis me shamil ho merei qalb ki dharkan dharkan
M A H i
08-29-2011, 07:22 PM
http://i58.tinypic.com/10zw8kx.jpg
M A H i
08-29-2011, 07:34 PM
Hamesha ki tahan iss baras bhi
Bheja hai usne khoubsorat lafzoun
Dilkash rango'n
Saja howa EID ka card mujhe
Aur yeh tohfa paaker
Sirf mein tumse itna
pochna chahti hoon k
''Koi jazba bhi hai
shamil is mein
Ya sirf Reet
nibha rahe ho? ''
M A H i
08-29-2011, 07:50 PM
http://i59.tinypic.com/etaz3a.jpg
A dost tujh ko hon mubaarak hazaar eid
Tujh bin manaaye kaisay ghareeb-ul-dayaar eid
M A H i
08-29-2011, 07:52 PM
Tamanna aarzou umeed khuwahish dil mein uthy tou
Samjh jata hoon k phir shaherr mein EID aayi hai
Hum nahi manaayein gay eid agerchay aai hai
Aap gerchay aa jaatay phir to eid bhi aati
M A H i
08-29-2011, 07:55 PM
Nice one
Ghero mein hai jo shaad use 'Eid' mubaarak
Ham jis ko nahin yaad use 'Eid' mubaarak
Apna tou kissi tour guzar jayega yeh dinn
Tum jis se milo aaj usko 'Eid' mubaarak
sisakti aarzo sath do tum bhi fizaa'on ka
khiza'on ki goud mai gulshan khilao Eid ka din hai
A hum-nasheen bahisht ba-daaman hai shaam-e-eid
Aa hum bhi dil k daagh jalaayein ba-naam-e-eid
M A H i
08-29-2011, 07:59 PM
Mujhko teri na tujh ko meri khabar jayegi
Eid abb k bhi daby paoun guzar jayegi
M A H i
08-29-2011, 08:03 PM
Iss EID Per
Wo Mere Saath nahi
Magar Wo
Uski Yadain
Us Ki Batain
Sab Mujhe Yaad Hain
Us ne Mujhe
Yaad Kia Hoga
Phir Mere Khialon Mein Khooye Huey
Tasawar Ke
Kisi Lamhe Mein
Dheeray Se Kaha Hoga
~~~EiD MuBaRaK~~~!
Ye eid teray sheher mein bhi aai hogi
Baray hi naaz say tu nay bhi manaai hogi
Wo narm narm kalaaiyon mein chooriyon ki khanak
Haseen haathon pay mehendi bhi lagaai hogi
Eid ka chaand bhala kiun dekhein gay ehal-e-nazer
Sab nay tum pay hi nazer apni tikaai hogi
Saj sanwar k jo tum niklay to phir chaand nay
Dekh ker tum ko arsh pay khud eid manaai hogi
Main to us roz manaaoon ga eid a dost
Khatam jis roz teri meri judaai hogi.
M A H i
08-29-2011, 08:10 PM
very Nice
Kitni palkon say fizaao'n mein sitaare tooty
Kitne afsaano'n ka unwaa'n bana
Eid ka Chand
Bas aik pall mein hi to main nay tumhein dekha or phir
Umer bhar meri nigaahon mein na jacha eid ka chaand
DreamGirl
08-30-2011, 12:52 AM
Eid Ka chand dekha to
Meri Tanha Hatalioun Per
Aanso Se Ek Dua Nikli
Ke
Ay KHUDA……
Agle baras Meri Zindagi Mein
Ya to Ye Tanha Eidain Baqi Na Rahain
Ya Phir
Zindagi K Ye Sisaktey Lamhe
Saath Chor Jayen…..!
Zafina
08-30-2011, 01:14 AM
Nazar ka chain, dil ka saroor huty hain
kuch log is duniya me zaror huty hain
sada chamkta rahy un ki eid ka tehwar
qareeb reh ker bhi ju hum sai dour huty hain
Shaam
08-30-2011, 03:52 PM
اسے کہنا کہ چاہت کا بھرم نہ ٹوٹنے دینا
تم پل دوپل کے لیے ہی آجاؤ سنا ہے کہ عید آئی ہے
Zafina
08-30-2011, 06:33 PM
اپنی تقدیر کہاں بھول گیا عید کا چاند
ان کے ابروئے خمیدہ کی طرح تیکھا ہے
اپنی آنکھوں میں بڑی دیر چبھا عید کا چاند
جانے کیوں آپ کے رخسار مہک اٹھتے ہیں
جب کبھی کان میں چپکے سے کہا عید کا چاند
دور ویران بسیرے میں دیا ہو جیسے
غم کی دیوار سے دیکھا تو لگا عید کا چاند
لے کے حالات کے صحراؤں میں آجاتا ہے
آج بھی خلد کی رنگین فضا عید کا چاند
تلخیاں برھ گئیں جب زیست کے پیمانے میں
گھول کر درد کے ماروں نے پیا عید کا چاند
چشم تو وسعتِ افلاک میں کھوئی ساغر
دل نے اک اور جگہ ڈھونڈ لیا عید کا چاند
ساغر صدیقی
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-30-2011, 10:47 PM
' Aey Chand '
Jub Wo Teri Taraf Dekhen
To Unhain Kuch Yaad Dilaana
Mudhar Se Kuch Geet Sunana
Aur Kehna ...!
Tumhain Koi Yaad kRTA hAi
Teri AarzOo , Teri Umeed Krta hAi
KoI Aaj B
Tumhain Dekh Kar EID Krta hAi .. !
M A H i
08-30-2011, 10:48 PM
wow!
very nice addition
http://i62.tinypic.com/k9w1hj.jpg
beautiful shairing sim sim
-:||:- Teray Baghair -:||:-
Aaj phir dil ki zameen pay derd ki baarish hui
Dekha guzishta shab hilal-e-eid ko teray baghair
Eid k din bhi kisi say galay main naa mila
Main manaata hi nahi eid ko teray baghair
RoOZ SoOChTa HouN
08-31-2011, 11:17 AM
Mai aghaar khamoosh houn aaj, tu haansta too nahee
mujh sai bichaar kai kisse aur se millaaa tu bhi nahee
khanak khanak se muskhurahaat sai EID MUBARAK kehnay walay
maan lai kai mujh sai ziyada khoodh ko jaanta tu bhi nahee
Khushiyon ki ye shaam aur yadon ka ye samaa
Apni palkon py hrgiz sitary na laen gay....
Rakhna sambhal kay chnd khushiyan mery liye
Mai laut aaon ga to EID manaen gy....
M A H i
09-02-2011, 03:02 PM
Eid ka din aur itna mukhtasir
Din ginay jatay thay iss din kay liyeh
RoOZ SoOChTa HouN
09-03-2011, 02:27 AM
reh gaya apney galay mai daal kar baanhain ghareeeb
EID kai din jis ko ghurbaat mai wataan yaad aagaya
M A H i
10-28-2011, 05:37 PM
Khushio’n Ki Is Ghari Me Gar Teri Deed Hoti
Kitni Haseen-0-dil’kash Phr Apni Eid Hoti
Baham Nazar Ka Milna Kaif-e-kamal Hota
Nazuk C Larzish-e-lab Harf-e-naveed Hoti
Ji Bhar K Dekhta Main Ru-e-jameel Tera
Bazm-e-wisal-yaraa’n Sa’ad-o-saeed Hoti
Ujli Rafaqato’n Ka Phr Ek Chaman Sa Khilta
Pal Bhar Ko Zindgi Phr Gham Se Ba’eed Hoti …
M A H i
10-28-2011, 05:39 PM
Eid Ka Chand Falak Pe Nazar Aaya Jis Dam
Meri Palkon Pe Sitaray Thay Teri Yaadon K.
M A H i
10-28-2011, 05:42 PM
Aayee hai Eid Roz-e-Musarrat liye hoye
Bethey hain Teri Deed ki Hasrat liye hoye
s_sableo
10-28-2011, 09:57 PM
chalo yah arzoo bhi hogai poori : )
http://koolpoetry.com/gallery/eidurdu/eid-poetry-5.jpg
aahhhh this one is awsum shaam bhayi bht khoob jee aik dam durust :) :)
M A H i
10-29-2011, 09:42 PM
aahhhh this one is awsum shaam bhayi bht khoob jee aik dam durust :) :)
S-sabelo ?
Khoob roya mai lipat kar gham e tanha'e se
koi bhi aakay galey se na laga EiD k din
Mery angan mai dabey paon na'ey roog liye
saal kai saal koi EiD chali aati hai
M A H i
11-02-2011, 08:59 PM
:good:
Wah Wah
very nice DiE
M A H i
11-02-2011, 09:03 PM
Aankh num ker gya bichray huwy logon ka khayal,
'Dard-e-dil' dy k humain doob gya Eid ka chaand
EID KI PESHGI MUBARAK BAAD !!
(NAZAM)
In tarraqtay naheef kaandho'on per
apney kumbey ka bojh dhota hon
or jab dil ka bojh barhta hai
biwi, bachon say chup k rota hon
zabt e gham ki nahin koi me'aad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Bujhti aankhain, sota howa chehra
yehi anjaam e sakht koshi hai
jorta hon raqam kafan k liye
yehi asl e safaid poshi hai
her tag o do ki hai yehi bunyaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Seetiaan baj rahi hain kan'on mai
siskion or thandi aahon say
EiD ka chand kia nazar aa'ey
dab dabaati hoi nigahon say
arz be nutq, be sada irshaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Keh rahi hai zabaan e hal mairi
mai nai ki hai tarraqi e ma'koos
roz chupta hon qarz khahon sai
kaise banwaon khush numa malboos
har zaroorat hai baanjh, be ejaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Thak gaya hai maira rafugar bhi
yun udharta hai chaak sil sil kar
kehtey hain EiD hans k milte hain
main agar ro para galey mil kar
mujh ko is rasm sai rakkho aazaad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Ek patthar hai mere seeney mai
ya dil e na'saboor rakhta hon
Kashu: EiD per khush libaas bachon sai
apney bachon ko door rakhta hon
aap hi said aap hi sayyad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
EiD k din kahin nikaltey nahi
mai, mairi ahliya, mairi aulaad
is liye doston ki khidmat mai
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Khush rahain sab ba qadar e iste'daad
EiD ki peshgi Mubarak Baad !
Haadi
11-03-2011, 01:18 AM
With petals of roses,
Palm full of holy water,
Light of sunshine,
Fragrance of Flowers
&
Grass with the dew
I wish a very
HAPPY EID 2 YOU
~ Sanam Khan ~
11-03-2011, 10:37 PM
wOw .. Beautifull Poetry!
Keeptup M A H i =D
M A H i
11-04-2011, 01:19 PM
Nice DIE & HAADI
THNX SANAM
Mujhko teri na tujh ko meri khabar jayegi
Eid abb k bhi daby paoun guzar jayegi
http://i43.tinypic.com/a1pyip.jpg
http://i44.tinypic.com/2mo3zw5.jpg
M A H i
11-09-2011, 12:13 PM
Teri deed jis ko naseeb hai wo naseeb qabil e deed hai
LYKIN
Tujhe sochna meri chand raat or tuje dekhna meri Eid hai
M A H i
11-09-2011, 12:14 PM
Tujhse bichhre to ab hosh nahin
Kab chand hua kab Eid huyi….
M A H i
11-09-2011, 12:16 PM
Itne Majboor The Eid Ke Roz Taqdeer Se Hum
Ro Pade Milke Gale Apki Tasweer Se Hum
M A H i
11-09-2011, 12:17 PM
Bin dekhay ya rab ye Eid na guzray,
Kar paida koi aisa sabab, Eid na guzray,
Duniya ko dikhaya ha ik chand jo tu nay,
Mujh ko bhi dikha day k ye Eid na guzray!
M A H i
11-09-2011, 12:19 PM
Jo kho gaya hum se andheri raaton mein
Usi ko dhoond ke lao ke Eid aayi hai . . .
Shaam
11-09-2011, 12:21 PM
Wohi Howa na,Nahi Aaye Ab Ki Baar Bhi Tum,
TumhaIn Kaha Bhi Tha,Es Baar EiD Karni Hai
M A H i
11-09-2011, 12:23 PM
Eid Hai Ajj Aur Tum Pass Nahi Ho
Sab Kuch Hai Pass Par Tum Pass Nahi Ho
Mana Tu li Hai Eid Hum Ne Yahan Pe
Na Aaya Woh Maza Jo Tum Pass Nahi Ho
Shaam
11-09-2011, 12:23 PM
Hum b wohi,
Hijr-E-Yaran b wohi
Dil-e- be'taab b wohi
Suna hai
Kocha-E-Yaran mein Eid hai Kuch Din baad.
M A H i
11-09-2011, 12:24 PM
very nice Shaam
M A H i
11-09-2011, 12:26 PM
Us meherban ki nazar -e- inayat ka Shukria
Tohfa diya hum ko Eid pe firaaaq ka...
Shaam
11-09-2011, 01:16 PM
Kitni palkon se fizaaon mein sitarey tootey
Kitne afsanon ka unwaan bana eid ka chaand..
s_sableo
11-09-2011, 09:33 PM
S-sabelo ?
MAine sham bhayi ney jo Card share kiya usko quote kya hy apko ni dikhaw :O??
s_sableo
11-09-2011, 10:16 PM
Bht zabrdast Poetry sabki
M A H i
11-10-2011, 04:24 PM
Na hath milay Na galay milay Na muyasar tumhari deed hui
Ab tum he batao aye Humdam yeh Qayamat thi k EID hui
M A H i
11-10-2011, 04:29 PM
MAine sham bhayi ney jo Card share kiya usko quote kya hy apko ni dikhaw :O??
ab dikha
s_sableo
11-10-2011, 08:31 PM
Na hath milay Na galay milay Na muyasar tumhari deed hui
Ab tum he batao aye Humdam yeh Qayamat thi k EID hui
Oyee hoyee yeh tozabrdast hogaya bht khoob
s_sableo
11-10-2011, 08:37 PM
ab dikha
Lol Abhi dekhaww :) ok good :)
M A H i
08-08-2012, 06:35 AM
Kitnay Tarsay Howe Hain Khushiyon Ko
Wo Jo Eid'on Ki Baat Karty Hain : )
Zoni Naveed
08-08-2012, 06:51 AM
poetries :( wo kia hoti hain
Zafina
08-09-2012, 06:12 PM
Wo Jinhay Dost keh ker Galay Lagao
Unhy kahin sai bulao kay Eid aye hay.
http://img715.imageshack.us/img715/8877/chaand1.jpg
Zafina
08-18-2012, 10:10 PM
Chaand Raat Poetry....
Chaand Raat Ko Tujhay Khud Chooriaan Pehnaoon Main
Jee Karta Hai Tujhay Khud Sanwaroon Sajaoon Main
Mehndi Ki Khushboo Ke Saath Teri Sansoon Main Utroon
Ho Aisa Ke Teri Haathelioon Main Khud Ko Bikhraoon Main
Har Khushi Ki Tarhaan Teri Zaat Main Rahoon Har Lamhay
Teray Mukhray Pe Kiran Si Ban Kar Muskaraoon Main
Jaisay Hawaa Aati Hai Jaisay Chandni Aati Hai Ghar Teray
Pataa Tujhay Naa Chalay Es Andaaz Se Kabhi Aaoon Main
Teray Dil Main Samaa Jaoon Ke Aisa Hi Ho Jaye
Kabhi Dharkan Ban Kar Teray Dil Ko Dharkaoon Main
Wo Jo Khanakti Hain Chamakti Hain Teri Naazuk Kalayioon Main
Ho Aisa Ke Khud Hi Wo Choorian Ban Jaaoon Main….!!!!
M A H i
08-22-2012, 01:41 PM
wow
wonderful sharing Owi, its really beautiful
T F S
nice one Zfina
T F S
keep sharing
Aadatein Hoo-ba-Hoo Hein Ik Jaisi
Wo Mera Yaar Ho K Eid Ka Chaand !
M A H i
08-22-2012, 03:37 PM
Kitni palkon say fizaao'n mein sitaare tooty
Kitne afsaano'n ka unwaa'n bana Eid ka Chand
Miss Habib
08-30-2012, 09:59 AM
Muyassar jin ko apno ki deed hoti hai
Jo such poocho to duniya mein unhi ki eid hoti hai
M A H i
09-01-2012, 06:31 PM
Alwida -e-Eid
Guzar Gayi Ye Eid Bhi
Gham-e-Zindagi Ki Tarha
Hota Jo Koi Apna To Ham Bhi
Khushyaan Manatey
saira111
09-01-2012, 06:43 PM
Dastoor hai dunya ka magra ye to batao
ham kis say milain kis say kahain "Eid Mubarak"
M A H i
09-02-2012, 07:44 PM
Nice1 Saira,
http://img692.imageshack.us/img692/8573/19818959.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/692/19818959.jpg/)
کیسی عید؟
نا میں نے چاند کو دیکھا
اور نا کوئی تہینات کا پھول کھڑکی سے اٹھایا
میرا ملبوس اب بھی ملگجا ہے
حنا سے ہاتھ خالی اور چوڑی سے کلائی
نا میرے پاس تھے تم اور
نا میرے شہر سے گزرے
میں کیا افشاں لگاتی
مانگ میں سندور بھرتی
رنگ اور خوشبو پہنتی
چاند کی جانب نظر کرتی
کے میری لذت دیدار تو تم ہو
.
.
.
میرا تہوار تو تم ہو !
( پروین شاکر )
Qasam tujh ko hilaal-e-EID usay bhi saath lay aana
Usay jab tak na dekhein gay hamaari EID na hogi !
M A H i
10-08-2012, 06:53 PM
Tehwar tu nam hai khushiyon ka
Lakin meri her Eid per
Mere dardon ka raqs hota hai
Mere aansu muskuraate hain
Meri khushiyan siskti rehte hain
mere arman dum torte hain
Meri aahen hunsti rehti hain
Mein hota hun aur tanhai
saath aansu,arman, aahen meri
Enhien kholon'u se
Eid ke roz behlta hun
M A H i
10-08-2012, 07:01 PM
Eid Ka chaand dekha to
Meri Tanha Hatalioun Per
Aanso Se Ek Dua Nikli
K,,,
AYE KHUDA!
Agle baras Meri Zindagi Mein
Ya to Ye Tanha Eidain Baqi Na Rahain
Ya Phir,,,
Zindagi K Ye Sisaktey Lamhe
Saath Chor Jayen…..
saira111
10-09-2012, 03:44 PM
Manay chaha tujhay EID pay kuch paish karon
jis main ahsas kay sab rang hon roshan roshan
jis main ankhon kay tarashay hoay moti lakhon
jis main shamil ho meray qalb ki dharkan dharkan
Hilaal-e-eiD ki shab
Teray sehan-e-chaman mein
Roz-e-eiD ki chaandni jagmagaaye
Meri dua hai k
Teray ghar k aangan mein
Sitaaron ki maala uter aaye
Musarrat k in lamhon mein
Khushiyaan teray gird jhilmilaayein
Bahaaron say tera daaman bhar jaaye !
M A H i
10-12-2012, 07:28 PM
Beautiful pray!
Hum ne tere liye rivaaj alag rakha hai
Tujh ko dunya se mere yaar alag rakha hai
Yaad karte hain tujhe Eid mana lete hain
Hum ne apne liye tehwaar alag rakha hai
M A H i
10-12-2012, 07:29 PM
Eid ka chand nazar aay ga jis dam mujhe ko
Main tery wasal ki aye dost dua mangon gi
Main jo barson se hon tanhai ky sehra mein mukeem
Ab tery ahad-e-rafaqat ki ghata mangon gi
Wah
Bohat Khoob Mahi
Wonderful Poetry ( Y )
M A H i
10-12-2012, 07:30 PM
Koun ek saal rasta deakhe
Rooz ab EID ki zarorat hai
Jis ghari EID ka chaand nazer aaya
Meray honton a dost tera naam aaya !
M A H i
10-13-2012, 01:28 PM
Main Janti hoon Meri Mohabbat Ujaar Dai'gi Tumhein bhi Aisay,
Keh Chaand Raaton main Ab kisi say Mila karo gay to Ro Paro Gay
M A H i
10-15-2012, 12:20 PM
Ay Kaash ! Keh Eid Bhi Apnay Liye Hoti
Mehandi Say Apna Naam Teray Haath Pay Likhtay
saira111
10-15-2012, 02:45 PM
Masoom Say Armaanon Ki Masoom C Duniya!
Jo Kar Gaya Barbad Osay Eid Mubbarak!
saira111
10-15-2012, 02:53 PM
har shaks apnay chand say tha mah we guftagu
main chand dhondti rahi , or Eid ho gai
M A H i
10-16-2012, 06:35 PM
Eid aai hai aj bhi har saal ki tarah
phir yun ke tarab ka koi silsila na ho
pichley baras yeh khauf tha tujhe kho na dain kahin
ab ke baras yeh dua hai ke tera samna na ho
M A H i
10-16-2012, 06:38 PM
Hai wohi aasman zameen wohi
Maah o anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se betha hoon aur soch raha hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thi raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahe aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san’naatta
Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee ai
Shaam
10-17-2012, 11:16 PM
waisey tou shayed meri baat logo ko garaan guzrei per hmmm
wo kahtey haina ke hmm
pata nahi kia kahtey hain
filhaal yahi kahna hai ke
Eid allah ka ek inaam hai hum per
shairi zaroor kijye is per
magr aisy shairi jis sei is inaam ki tazheek hoti hai
bahter hai na karein
shaeyd Allah ko na pasnd ajaye.
M A H i
10-19-2012, 01:41 PM
hmm Shayari k rang hain
jese b hain
filhaal hmm
Allah niyat deakhta hai
Aur Allah k bande .............. khair chorein!
M A H i
10-19-2012, 01:42 PM
http://imageshack.us/a/img88/7817/moon795672582.png (http://imageshack.us/photo/my-images/88/moon795672582.png/)
کتنی مشکل سے فلک پہ نظرآتا ہے
عید کے چاند نے بھی انداز تمہارا سیکھا
M A H i
10-19-2012, 01:45 PM
Tamanna ,Aarzu , Umeed , Khuwaahish , Dil Mein Uthe Tou
Samajh Jata Hoon Sheher Mein Phir EID Aai Hai
M A H i
10-19-2012, 01:49 PM
دیکھئے چاند رات آئی ہے
ساتھ خوشیاں ہزار لائی ہے
تم چلے آؤ ایک لمحے کو
ہم بھی منائیں عید آئی ہے
چند بھیا یا چند لمحوں کو
جیسے تم نے جھلک دکھائی ہے
ہم نے قسمت عجیب پائی ہے
عید کا دن ہے اور جدائی ہے
M A H i
10-19-2012, 01:55 PM
http://i58.tinypic.com/nb8yog.jpg
M A H i
10-19-2012, 01:59 PM
Usey kehna K tanha he koi Eid K din Bhi
Ye tanhaai mita jao suna he Eid Aai hai ?
M A H i
10-19-2012, 02:04 PM
Tujhe Eid Pe Koun Sa Tohfa Bhejo'n?
.
.
.
Dua Bhejo'n Ya Muhabbat Ka Khizanaa Bhejo'n?
Ya Apni Nakaam Khwahishoon Ka Rona Bhejo'n ?
Ya Teri Deed Ki Hasart Bhari Tamana Bhejo'n?
Ya Umer Daraazi Ki Dua Bhejo'n ?
Ya Shad-Mani Zindagi Ka Sandesa Bhejuo'n?
Ya Apni Be-Mool Chahat Ka Tohfa Bhejo'n?
Ya Beety Lamhon Ki Sada Bhejo'n?
.
.
.
Ya Tumhari Narsa'yoon Ka Shikwa Bhejo'n?
M A H i
10-19-2012, 02:07 PM
Phoolo'n ko jis tarha'n bhaware milty hain
Aao is Eid pe hum bhi kahein milty hain
Apni is chahat ko pyar bhari rafaqat ki lagan ko rang dyty hain
Dunya ki liye apni mohabau ko misaal krty hain
Rawani k liye jesy darya sumander mai khud ko pamaal kerty hain.
Phool jesy gulshan se wafa nibhane har baar nikalty hain
M A H i
10-19-2012, 02:18 PM
Dil Ki Her Khwahish Dil Mein Hi Dubani Hogi
Ab K Phir Tanha Hi Hamein Eid Manani Hogi
Us K Aangan Mein Hoon Gy Phir Naye Ahbaab
Meri Nagri Mein Phir Pehly Si veerani Hogi
Chorriyoon Ki Khanak Hatho'n Mein Khusbu-e-Hina
Us Ki Zulfoon Mein Wo Hi Shaam Suhani Hogi
Dil Ki Her Khwahish Dil Mein Hi Dubani Hogi
Ab K Phir Tanha Hi Hamein Eid Manani Hogi
M A H i
10-19-2012, 02:22 PM
PAIGHAAM
Ek Dil Teri Yaadon Se Hai Aabad Abhi Tak
.
.
.
Kehna K Hamein Eid-e-Guzishta Ki Tarha!
M A H i
10-19-2012, 02:27 PM
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
.
.
.
Tumhari yaad par qurban ker diya main nay
M A H i
10-19-2012, 02:28 PM
Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham hain aur hay hamaari Eid bhi
saira111
10-19-2012, 02:39 PM
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
.
.
.
Tumhari yaad par qurban ker diya main nay
Nice selections M A H i
saira111
10-19-2012, 02:40 PM
Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka
Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka....:)
Shaam
10-19-2012, 11:38 PM
hmm Shayari k rang hain
jese b hain
filhaal hmm
Allah niyat deakhta hai
Aur Allah k bande .............. khair chorein!
yarab wo na samjhe hain na samjhein ge meri baat
de aur dil de unko jo na de mujh ko zubaan aur.......
Shaam
10-25-2012, 06:30 PM
عید آنے کو ہے
میں نے سوچا بہت
پھول بھیجوں کہ مہکار بھیجوں اُسے
چند کلیوں سے شبنم کے قطرے لئے
اُس کے رخسار پر آنسوؤں کی طرح
خوبصورت لگیں گے اُسے بھیج دوں
پھر یہ سوچا نہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
اُس کے عارض کہاں گُل کی پتّیاں کہاں
اُس کے آنسو کہاں شبنم کے قطرے کہاں
پھر یہ سوچا کہ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
کچھ چاند کی چاندنی اور ستاروں کی روشنی بھی ساتھ ہو
مانگ کر چھین کر جس طرح بھی ہو ممکن اُسے بھیج دوں
پھر یہ سوچا نہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
اُس کی آنکھیں کہاں چاند تارے کہاں
پھر یہ سوچا کہ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
تھوڑا سا نورِ سحر
میں سحر سے چُرا کر اُسے بھیج دوں
پھر یہ سوچا نہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
نور اُس کا کہاں نور صبح کا کہاں
پھر یہ سوچا کہ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
گھٹاؤں کو ہی بھیج دوں
اُس کے آنگن میں اُتر کر رقص کرتی رہیں
پھر یہ سوچا نہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
اُس کی زلفیں کہاں یہ گھٹائیں کہاں
پھر یہ سوچا کہ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
اِک مئے سے بھرا جام ہی بھیج دوں
پھر یہ سوچا نہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
سارے عالم کے ہیں جتنے بھی میکدے
اُس کی آنکھوں کی مستی ہی بانٹی گئی
ساغر و مئے کہاں اُس کی آنکھیں کہاں
اُس کے قابل مجھے کچھ بھی نہ لگا
چاند تارے ہوا اور نہ ہی گھٹا
میں اسی سوچ میں تھی پریشان بہت
کہ کسی نے دی اِک نِدا اس طرح
یاد کرکے اُسے جتنے آنسو گریں
سب کو یکجا کرو اور اُسے بھیج دو۔
Shaam
10-25-2012, 08:46 PM
تسخیر کر رہا ہوں زمانے کی گردشیں
غم کو سکھا رہا ہوں مناجات عید کی
گم سم ہے کائنات ستارے ہیں دم بخود
دل کو سنا رہا ہوں میں کافی فرید کی
M A H i
10-28-2012, 07:33 PM
Nice ^
Eid ke chand kahin aur ujaaley le ja,
Mera weeran baseraa hi mujhe acha hai..
M A H i
10-28-2012, 07:34 PM
Is Ke Aanay Se Howe Zakham Haray Kitnay “.....”
.
.
.
Eid Se Kehdo Mere Sheher Mein Aya Na Karay……….!
Jab chaahein hum EID manaa lein
Chaand hamaara apna hai !
M A H i
10-28-2012, 07:37 PM
^ :bu:
Ye Saal Bhi Teray Wastay Khushiyon Ka Nagar Ho
Kia Khoob Ho Har Rooz Teri EID Ager Ho
Har Raat Musarat Kay Naye Geet Sunaye
Lamhaat Kay Pai'ron Pay Shabnam Ka Samar Ho
M A H i
10-28-2012, 07:40 PM
Bohat ronaq hai bahir
Ghar mein udaasi chaahyi hai,
Karo koi taaza bahana Jaana,
Eid phir se aayi hai..
M A H i
10-28-2012, 07:43 PM
Bichre hoye ki yaad mein aankaein udaas hain,
Aye Subah-e-Eid, Ghar ko sajaaon to kis tarah?
Saahib-e-aqal hain aap ik masla to hall keejiye
Main nay rukh-e-yaar nahi dekha, kya meri EID hui ?
M A H i
10-28-2012, 07:45 PM
Is ki baaton main uski yaadon main
Kahin mera aks bhi to jhilmilata hoga
Laakh masroof rehta hoga apne ka'mon main
Woh Eid ka tehwaar to manata hoga
M A H i
10-28-2012, 07:46 PM
Very Nice Owi :good:
Akeli tu bhi hai, mera bhi door hai mehboob
Galey tou mil Eid ayi hai shab-e-hijran mein
M A H i
10-28-2012, 08:06 PM
Kaisay keh doon k main tanha hi raha Eid k din
Eid guzri hai meri ghar k dar-o-baam k saath
M A H i
10-28-2012, 08:12 PM
Khazaan main Mujhko Rulati hai Yaad Fasl-e-bahar
Khushi ho Eid ki kiu kar k Soghawar hoon Main?
rothney wale agar ijazat ho
EiD k rooz milney ajaon
M A H i
10-29-2012, 06:26 PM
Hum hain gulshan main,gulooon ki deed kiya...
Hum musafir hain humari Eid kiya...
M A H i
10-29-2012, 06:28 PM
Aur Din'o Ka HisaAb Rehnay Do,
Ye Bata'o Eid Pe Yaad Karo Gey….??
M A H i
10-29-2012, 06:30 PM
Ghamon Ny Cheen Li Hai Mujh Sy Meri Yadasht
Aaj Agar Eid thi To Phir ''Eid Mubarak…''
M A H i
10-29-2012, 06:30 PM
Chalo Acha Hua Eid Ab ke Bhi tanha Guzri,
Galay Mil ke Bohat Rote Jo Tum aa Jaate…
M A H i
10-29-2012, 06:32 PM
Hilaal- e-Eid mera bhi Pyaam leta ja
Kisi k waastay mera Salaam leta ja
M A H i
10-29-2012, 06:35 PM
Is qurbaani ki Eid pe kuch aur na sahi,
Hum apni hasratain hi qurbaan karte hain..
Shaam
10-29-2012, 06:56 PM
ﺩﻝ ﮐﮯ __ﺧﺎﻧﮧ ﮐﻌﺒﮧ ﮐﮯ ﮔﺮﺩ
ﺗﯿﺮﺍ ﻃﻮﺍﻑ______ﺟﺎﺭﯼ ﮨﮯ
ﺗﯿﺮﺍ ﺣﺞ ________ﻣﻘﺒﻮﻝ ﮨﻮﺍ
ﺗﻮ ﻣﺠﮫ ﻣﯿﮟ ____ﻣﺤﺼﻮﺭ ﮨﻮﺍ
ﺍﺏ ﺍﮔﻼ ﺭﮐﻦ ﺑﮭﯽ___ ﮨﻮ ﺟﺎﮰ
ﻣﯿﺮﮮ ﺟﺴﻢ ﺳﮯ ﺭﻭح ﺑﯿﮕﺎﻧﯽ ﮐﺮ
ﺍﺏ ﺁ ﻣﯿﺮﯼ ______ ﻗﺮﺑﺎﻧﯽ ﮐﺮ
beyond_vision
10-30-2012, 06:33 AM
روزِعید مجھ میں سکت نہیں کہ مناؤں تجھ کو
میرے حوصلے کی فصیلوں میں دراڑیں ہیں ابھی
تن فگار منتظر ہیں مسیحائی کے
عدو کے تیر سینے میں ترازو ہیں ابھی
روز عید تجھے خوش آمدید کہوں تو کیسے۔ ۔؟
!روز عید میرے دکھ لا دوا ہیں ابھی۔۔۔۔۔۔۔
M A H i
11-05-2012, 12:12 PM
Very Nice Shaam & beyond_vision
Thank you for sharing
Keep up the good work.
-:||:- Eid Per Likhay Gaye Ash'aar -:||:-
Ye shaala-maar mein ik berg-e-zard kehta tha
Gaya wo mosam-e-gull jis ka raaz-daar hoon main
Na paayemaal karein mujh ko zaairaan-e-chaman
In hi ki shaakh-e-nashayman ki yaad-gaar hoon main
Zara say pattay nay bay-taab ker diya dil ko
Chaman mein aa k saraapa ghum-e-bahaar hoon main
Khizaan mein mujh ko rulaati hai yaad-e-fasl-e-bahaar
Khushi ho EID ki kiun-ker k soug-waar hoon main
Ujaar ho gaye ehad kohan k maykhaanay
Guzishtah baadah-paraston ki yaad-gaar hoon main
Payaam-e-aish-o-musarrat hamein sunaata hai
Hilaal-e-EID hamaari hansi uraata hai !
-:||:- Allaama Iqbal -:||:-
M A H i
11-09-2012, 01:12 PM
Very Nice Owi
Thanks for sharing
Chaand Raaton Ka Dhab Nahi Maloom
Koi Aaye Ga Kab , Nahi Maloom
Hum Tu Wo Hain Keh Jin Ko Khud Apni
Wehshaton Ka Sabab Nahi Maloom
Shaam
11-09-2012, 08:15 PM
میں ہوں تیرا خیال ہے اور چاند رات ہے
دل درد سے نڈھال ہے اور چاند رات ہے
آنکھوں میں چبھ گئیں تیری یادوں کی کرچیاں
کاندھوں پہ غم کی شال ہے اور چاند رات ہے
دل توڑ کے خاموش نظاروں کو کیا ملا
شبنم کا یہ سوال ہے اور چاند رات ہے
پھر تتلیاں سی اڑنے لگیں دشت خواب میں
پھر خواہشِ-وصال ہے اور چاند رات ہے
کمپس کی نہر پر ہے تیرا ہاتھ ہاتھ میں
موسم بھی لازوال ہے اور چاند رات ہے
ہر اک کلی نے اوڑھ لیا ماتمی لباس
ہر پھول پر ملال ہے اور چاند رات ہے
میری تو پور پور میں خوشبو سی بس گئی
اس پر تیرا خیال ہے اور چاند رات ہے
ہلکا سا پڑ رہا ہے وصی وحشتوں کا رنگ
ہر چیز پہ زوال ہے اور چاند رات ہے...............!!
M A H i
11-27-2012, 01:54 PM
Nice poetry Shaam
Thank you for sharing
M A H i
08-07-2013, 10:56 PM
http://img14.imageshack.us/img14/3092/mt53.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/14/mt53.jpg/)
M A H i
08-07-2013, 11:00 PM
Aur Dino Ka Hisab Rehnay Do,
.
.
.
Ye Batao ''Eid'' Pe Yaad Karo Gey….??
M A H i
08-07-2013, 11:01 PM
Bohat ronaq hai bahir,
Ghar mein udaasi chaayi hai,
Karo koi taaza bahana Jaana!
Eid phir se aayi hai..
M A H i
08-07-2013, 11:14 PM
http://i61.tinypic.com/144a5xw.jpg
M A H i
08-07-2013, 11:26 PM
غم کے ماروں کے لیئے درد کا سامان بنا
شام کی گود میں وہ شعلہ نما عید کا چاند
M A H i
08-07-2013, 11:36 PM
عید کے چاند کی مانند ہو گیا ہے شاید
وہ دوست جو ہر روز ملا کرتا تھا
M A H i
08-07-2013, 11:41 PM
ہوئی عید سب نے پہنے طرب و خوشی کے جامے
نہ ہوا کہ ہم بھی بدلیں، یہ لباس سوگواراں
Cute Anam
08-09-2013, 02:56 AM
:bu: ..
Mery angan mai dabey paon na'ey roog liye
saal kai saal koi EiD chali aati hai
M A H i
08-16-2013, 12:46 PM
http://i61.tinypic.com/wjz3ub.jpg
M A H i
10-11-2013, 07:50 PM
Qasid...!!!
Diyar-e-Yaar Se Laaye ho Kuch Khabar..??
Eid To Guzarne Ko Hai.! Aur Woh Aaye Nahi…??? :sad1:
M A H i
10-11-2014, 02:09 PM
http://i60.tinypic.com/33uwcj5.jpg
Chalay Aao Wafa Ki Ek Nayi Tajdeed Kerte Hain
TUM Chaand Ban Jao Hum Phir Se EID Kerte Hain
M A H i
10-11-2014, 02:54 PM
http://i58.tinypic.com/2gt4shh.jpg
sana khan
10-11-2014, 06:10 PM
http://www.MeraForum.Com/imagehosting/1103854392c42513f2.jpg (http://www.MeraForum.Com/vbimghost.php?do=displayimg&imgid=155)
M A H i
09-10-2016, 08:53 AM
Nice...
Keep posting
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.