View Full Version : -:||:- Meri Udaasi Ka Zerd MosaM -:||:-
-:||:- Meri Udaasi Ka Zerd MosaM -:||:-
http://img822.imageshack.us/img822/4977/meriudaasikazerdmosamco.jpg
Main k is sheher ka seemaab sifat shaa'ir hoon
Meri takhleeq meray fiker ki pehchaan bhi hai
Meray hurfon meray lafzon mein hai chehra mera
Mera fun ab mera mazhab mera emaan bhi hai
Meer-o-Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Meray yaaron k sirhaanay mera deewaan bhi hai
Mujh say roothay hein meray apnay qabeelay waalay
Meray seenay mein her ik teer-e-sitam toota hai
Lafz-o-maani k taqaazon say ulhaj ker akser
Meray haathon mera mujrooh qalam toota hai
Karb-e-naa'qadri-e-yaaraan k bhanwar mein ghir ker
Baar-haa dil ki terhan shoq ka dam toota hai
Mutmainn hoon k mujhay yaad rakhay gi duniya !
Jab bhi is sheher ki taareekh-e-wafa likhay gi !
Meray ghar k dar-o-deewaar mujhay sochein gay
Wus'at-e-dasht mujhay aabla paa likhay gi
Mera maatam isi chup chaap fizaa mein hoga
Mera noha inhi galiyon ki hawa likhay gi !
-:||:- Sir-e-rasm-e-daaR Rakhi Gaeen Kai Talkhiyaan Meray Saamnay -:||:-
Sir-e-rasm-e-daar rakhi gaeen kai talkhiyaan meray saamnay
Kabhi zindagi ka khiraaj to kabhi siskiyaan meray saamnay
Kaheen dam-ba-dam theen mohabbatein, kaheen aitaybaar-e-wafa na tha
Kaheen jaan-kani k nuzool pay khuleen mutthiyaan meray saamnay
Jisay khoob-tarr ki talaash thi jo nigaah-e-aaina saaz tha
Wohi khud samait k rakh gaya sab hi kirchiyaan meray saamnay
Ye bhi ik ajeeb tha haadsa teray zabt-e-ghum k rajaal per
Meri aankh say hi chalak paray teray terjumaan meray saamnay
Kabhi ouj-e-naql-e-jamaal say sir-e-farsh gunj-e-safer mein aa
Kabhi paish koh-e-giraan to ker sir-e-imtayhaan meray saamnay
Jo kaha k raamish-e-jaan-fazaa pas-e-merg yaad karo gay kya
to shikasta haal mazaar ki perheen takhtiyaan meray saamnay.
-:||:- Zameen-o-aasmaaN Hai Or Main Hoon -:||:-
Zameen-o-aasmaan hai or main hoon
Koi wehm-o-gumaan hai or main hoon
Ghumon ka bojh had say berh raha hai
Wafa ka imtayhaan hai or main hoon
Bhanwar mein doob jaaye ga safeena
Shikasta baad-baan hai or main hoon
Mujhay aankhon ki tughyaani ka darr hai
Ye behr-e-bay-karaan hai or main hoon
Meri himmat shikasta ho na jaaye
Mukhaalif ik jahaan hai or main hoon
Main aisay band kamray mein hoon ShihaaB
Jahaan aah-o-fughaan hai or main hoon.
-:||:- Kis Liye Tu Nay Uchaaleen A Samander Kashtiyaan-:||:-
Kis liye tu nay uchaaleen a samander kashtiyaan
Laad ker kab laa rahi theen laal-o-gohar kashtiyaan
Aashnaa-e-mouj-e-deriya yun to main bhi hoon mager
Jaanti hein paaniyon ko mujh say behter kashtiyaan
Aik saylaab-e-balaa aanay ki taiyaari mein hai
A ameer-e-sheher tu pohancha day ghar ghar kashtiyaan
Saahilon ki rait say aagay nahi bertha kabhi
Hai azal say mahi-geeron ka muqaddar kashtiyaan
Apnay baazoo per hi tum rakhna bharosa a ShihaaB
Dastaras say jaanay kab ho jaayein baahir kashtiyaan.
-:||:- Phir Kon Sunay Ga Bhala Kohraam Hamaara -:||:-
Phir kon sunay ga bhala kohraam hamaara
Gar us tak kabhi pohancha nahi payghaam hamaara
Paataal mein phaink aayein gi ik roz hawaayein
Sookhay huway patton pay na likh naam hamaara
Her waqt usay yaad kiya kertay hein hum log
Muddat say yehi aik hai bas kaam hamaara
Wo jis ka badan baagh k phoolon say bana tha
Kis sheher mein rehta hai ab gulfaam hamaara
Phir toot k aa jaati hein kuch taiz hawaayein
Jalta hai diya jab bhi sir-e-shaam hamaara
Hum khaak nasheenon ko falak say nahi nisbat
Dharti pay hua kerta hai bisraam hamaara
Ab dil k dharaknay say bhi darr lagta hai ShihaaB
Jaanay wo kahaan lay gaya aaraam hamaara.
-:||:- Na Apni Zaat, Na Auqaat Ki Tasweer Kheenchay Ga -:||:-
Na apni zaat na auqaat ki tasweer kheenchay ga
Faqeer-e-rah-guzer haalaat ki tasweer kheenchay ga
Wo sooraj hai to kaisay jaan sakta hai meri shab ko
Ujaala kis terhan say raat ki tasweer kheenchay ga
Nazer aayein gay tum ko an-ginat manzer mohabbat k
Ghazal mein shair-go jazbaat ki tasweer kheenchay ga
Mujhay maaloom hai mujh say khafa honay waala shakhs
Akaylay mein kisi bersaar ki tasweer kheenchay ga
Wo aaye ga, nahi aaye ga shaayad, raat bhar ShihaaB
Hamaara dil shak-o-shubhaat ki tasweer kheenchay ga.
-:||:- Raat Ki Chaadar Pay Jaisay Teergi Bikhri Hui -:||:-
Raat ki chaadar pay jaisay teergi bikhri hui
Hasraton ki saij per hai zindagi bikhri hui
Chaand k mukhray say aanchal jab hawa sarka gai
Raat bhar phir chaar-soo thi chaandni bikhri hui
Teri baatein or yaadein raat bhar likhta raha
Subha-dam thi kaaghazon pay shaairi bikhri hui
Beher ki moujon mein phir honay lageen sirgoshiyaan
Meray honton per jo dekhi tishnagi bikhri hui
Aks tera aainay mein jhilmilaaya is terhan
Roshni si her taraf hai husn ki bikhri hui
Kon tha jis nay bikhayra in ko bay-derdi k saath
Kon tha jo chun raha tha her kali bikhri hui
Teray haathon mein raha to zindagi mehfooz thi
Ab kahaan lay jaaye ShihaaB zindagi bikhri hui.
Mf Great Power
08-24-2011, 03:22 PM
waooo so nice
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
08-24-2011, 03:37 PM
ap realy prisner of love hy brother
but nice...........
lash hie yar owais buhat unda keep it up bro
-:||:- Zindagi K Liye Kab Koi Nishaan Chorti Hai -:||:-
Zindagi k liye kab koi nishaan chorti hai
Jaan jab jism say payraahan-e-jaan chorti hai
Jab bhi hota hai yaqeen apnay akaylay pann ka
Aik aahat teray honay ka gumaan chorti hai
Raat k zakham chamaktay hein sitaaron ki terhan
Tu jo qadmon k talay kaah-kashaan chorti hai
Jis ko lagtay hein usi shakhs k dil say poocho
Teer jo tunz k bay-baak zabaan chorti hai
Ye haqeeqat hai ye afwaah nahi hai ShihaaB
Jitni kam aag ho utna hi dhuwaan chorti hai.
Abewsha
08-25-2011, 04:05 AM
v nice bohat khoob...
AFghani_Laila
08-25-2011, 02:40 PM
Beautifullll ...
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-25-2011, 09:46 PM
bOhat KhoOb Owais .. Parhne Se Ta'luq Rakhti Ha Yeh Poetry .. :)
-:||:- Aansoo'on Ki Roshni Mein Muskuraana Chaahiye -:||:-
Aansoo'on ki roshni mein muskuraana chaahiye
Chashm-e-num ko ye hunar-mandi bhi aana chaahiye
Phool per shabnum ka manzer jab kabhi yaad aa gaya
Hum wahaan roye jahaan per muskuraana chaahiye
Doosron k ghum yahaan aa ker qayaamat ho gaye
Is derr-e-ehsaas say ab lout jaana chaahiye
Baa-khaber rakhna kisi ko ehtiyaat-e-jurm say
Dushmanon k saamnay to aana jaana chaahiye
Jab hansein to yun hansein hum, saari duniya hans paray
Or ager royein to daaman bheeg jaana chaahiye
Hum say kuch bay-daad zehnon ko rujhaanay k liye
Ho koi lehja mager wo shaairaana chaahiye
Doosron ki chaara-saazi doosron ka baar-e-ghum
Khud say milnay k liye hi ik zamaana chaahiye.
-:||:- Chotay Chotay Khuwaabon K -:||:-
Chotay chotay khuwaabon k
Ann-ginat janaazay hein
Haath mein uthaa ker hum
Is terhan say chaltay hein
Jaisay koi jawaan apnay
Pehlay pehlay betay ki
Bay-gunaah maiyatt ko
Khud uthaa k chalta hai.
buhaat unda owais zaberdat likhtay ho (y) . likan akhri wali sad hei bari .
Poetry ho or sad na ho ye kaisay ho sakta hai bhala ?
Phir bhi pasand kernay k liye bay-had shukriya :)
Usy tha jana chala gya wo
Mujhe Q itna rula gya wo
Bohat weerani thi us k DiL me
Najany Q muskura gya wo
Meri udasi ka haal sun kr
Jo gham thy us k chupa gya wo
Main kab thi Udas itni Yaaro
Jo Udas rehna sikha gya wo
M A H i
08-26-2011, 11:54 PM
http://img17.imageshack.us/img17/230/2danb0k.gif (http://imageshack.us/photo/my-images/17/2danb0k.gif/)
-:||:- Kisi Terhan To Mohabbat Ka Karobaar Chalay -:||:-
Kisi nazer k meray dil pay aisay waar chalay
K jaisay dil pay koi taigh-e-aabdaar chalay
Karo na baat mager dekh lo nazer bhar k
Kisi terhan to mohabbat ka karobaar chalay
Hamaaray sajdon ko thokar pay jab liya us nay
Jabeen pay zakham liye ho k dil-fugaar chalay
Bharay jahaan mein kaheen bhi unhein khushi na mili
Jo ghum ka ban k dar-e-yaar say mazaar chalay
Chalay to aisay chalay sheher-e-naa-muraad say hum
K sir jhukaaye huway jaisay gunahgaar chalay
Nigaahein raah mein her ik ki jam gaeen hum per
Derr-e-habeeb say ho k jab ashk-baar chalay
Anaa ki laash thi ShihaaB apnay shaanon per
Galay mein daal k jab zillaton ka haar chalay.
-:||:- Sitaaray Baanta Hai Wo -:||:-
Sitaaray baant'ta hai wo ziyaa taqseem kerta hai
Suna hai habs k mosam mein hawa taqseem kerta hai
Usi ki apni bayti ki hathayli khushk rehti hai
Jo boorha dhoop mein akser hina taqseem kerta hai
Koi rokay usay jaa ker saraasar hai ye pagal pan
Jo behron k mohallay mein sada taqseem kerta hai
Usi say maang tu ShihaaB baaqi chor day sab ko
Jo patthar mein bhi keeray ko ghiza taqseem kerta hai.
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
09-01-2011, 04:05 PM
bOhat KhOoOB .. :)
RoOZ SoOChTa HouN
09-01-2011, 06:31 PM
bahat khub .... khoosh rahoO
-:||:- Kaan Khol Ker Sun Lo -:||:-
Baad-e-bay-qaraari ka
Rukh bhi mour sakta hoon
Khud ko tor sakta hoon
Tum ko chor sakta hoon
Hijrati siyaah chaadar
Kya main ourh sakta hoon
Kaan khoul ker sun lo
Mujh say ye nahi hoga.
jamal khan
02-06-2012, 09:14 PM
nice sharing
M A H i
02-14-2012, 12:14 PM
Her waqt usay yaad kiya kertay hein hum log
Muddat say yehi aik hai bas kaam hamaara
Mujhay maaloom hai mujh say khafa honay waala shakhs
Akaylay mein kisi bersaar ki tasweer kheenchay ga
Wo aaye ga, nahi aaye ga shaayad, raat bhar ShihaaB
Hamaara dil shak-o-shubhaat ki tasweer kheenchay ga.
Kon tha jis nay bikhayra in ko bay-derdi k saath
Kon tha jo chun raha tha her kali bikhri hui
Teray haathon mein raha to zindagi mehfooz thi
Ab kahaan lay jaaye ShihaaB zindagi bikhri hui.
Jab hansein to yun hansein hum, saari duniya hans paray
Or ager royein to daaman bheeg jaana chaahiye
Hum say kuch bay-daad zehnon ko rujhaanay k liye
Ho koi lehja mager wo shaairaana chaahiye
Doosron ki chaara-saazi doosron ka baar-e-ghum
Khud say milnay k liye hi ik zamaana chaahiye.
:good:
Beautiful poetry Owi!
Keep Continue!
-:||:- Meri Udaasi Ka Zerd Mosam -:||:-
Meri udaasi ka zerd mosam
Ager kisi din
Meri bujhi aankh k kinaaray
Bhigo bhigo ker
Anaa k paataal ki kisi tehh mein
Aik pall ko theher gaya to
Mujhay yaqeen hai
K toot’tay dil mein khuwaahishon ka
Koi chanaaka
Mera badan bhi na sun sakay ga !
-:||:- Main Tunha Tha -:||:-
Main tunha tha
Mager kal shab
Meri aawaargi --- achi lagi mujh ko
Meray humraah thak ker saans layti
Ik nadi --- achi lagi mujh ko
Nadi ki mouj mein chup chaap
Ghulti chaandni --- achi lagi mujh ko
Udaasi ourhti shaakhon say lamhon ki terhan
Jhartay huway pattay
Shagoofon ki bujhi khushboo
--- hawa ki chaal, aawaarah
Fazaa ka baanch-pan --- pehnay huway malboos-e-bay-khuwaabi
Gali koochon mein qehet-e-shor-e-dil-daaraan
Sitaaron ki qaba mein --- teergi k bay-sabab taankay
Khalaa sunsaan ---
Jaisay maqtalon mein naachtay --- bay-ant sannaatay ki
--- lou jhaankay !
Berhana pair, jaisay eestaadah pattharon ka halqa-e-maatam !!
Main tunha tha
Mager kal shab
Firaaq-e-yaar ki rutt say galay milti khizaan ki saadgi
Achi --- bohat achi lagi mujh ko !
-:||:- Aaj Ki Shaam -:||:-
Aaj ki shaam --- meray dil mein chiraaghaan hai bohat
Shorish-e-derd pass-e-chaak-e-giraybaan hai bohat
Yaad-e-yaaraan say munawwarr hein dar-o-baam-e-hayat
Fiker-e-aaraaish-e-dil-daar darakhshaan hai bohat
Runjish-e-dil-zadgaan had say berhi jaati hai
Bakhshish-e-gerdish-e-douraan bhi farozaan hai bohat
----------------------------------------------------------------------
Aaj ki shaam samaytay huway gum-gashta naqoosh
Zeenah zeenah meray seenay mein uter aai hai
Mosam-e-habs hai aisa k mayassar ab to
Shorish-e-halqa-e-ehbaab na tunhaai hai
Khud mein simtoon to bikhernay ki khalish dasti hai
Khud say baahir bhi na shohrat hai na ruswaai hai
----------------------------------------------------------------------
Kerwatein derd badalta hai pass-e-lamha-e-shoq
Aahatein daaman-e-aaghaaz mein anjaam ki hein
Meray chehray pay dehektay hein rukh-e-deher k rung
Meray maathay pay kharaashein ghum-e-aiyaam ki hein
Meray honton pay duaaon ki lakeerein roshan
Meray seenay mein sab hi saa’atein ilhaam ki hein
Meri dukhti hui aankhon mein mager aaj ki shaam
Jitni shammein bhi farozaan hein, teray naam ki hein !
-:||:- Rehnay Do -:||:-
Kisay maaloom ?
Kon is raaz ki
Kayfiyat say aashna hai ?
Ye meray chaaron taraf kiun ik sukoot-e-bay-sada hai ?
Main kahoon kis say ?
Meri ujri hui aankhon k khaali rozanon say
Us taraf kya hai ?
Khalaa hai yaa sitaaray phaankti andhi hawa hai ?
Jaanta hai --- kon ?
Kis per khul saka hai ?
Jism k khaali khander mein
Kon ab tak bass raha hai ?
Tum mujhay dekho,
Main apnay aap say derta hoon shab ko
Jab andhayra bolta hai,
Dil ka sannaata
Puraani daastaanon say atay bhaidon ki girhein kholta hai !!
Jab lahoo ki aag mein latt-patt kiwaaron say
Ulhajti hein meri cheenkhein
Koi suntan nahi mujh ko !
Bikhertay toot’tay khuwaabon mein jab taqseem hota hoon
Koi chunta nahi mujh ko !!
To aisa hai k tum apni mehekti neend say khailo
“ NA DUKH JHAILO”
Meri tunhaai k asraar matt pooch
Kaheen aisa na ho tum bhi
Khud apnay ko ganwaa betho
Meri khuwaahish or apnay dermiyaan
Bhaidon bhari deewaar --- rehnay do,
Mujhay kuch din
Meri ujri hui aankhon k khaali rozanon say us taraf
Taareek lamhon k bhanwar mein bas yun hi
Baydaar rehnay do,
Mujhay sadiyon puraani daastaanon ki terhan
Andhi hawa k saath
Pur-asraar rehnay do !
-:||:- Andhayra Sirf Mera Hai -:||:-
Main tunhaai pehanta hoon
Udaasi k ujaar aangan mein chunta hoon
Kathan mehroomiyon k zerd patton ko
Meri aankhon mein jag-raatay bharay hein aik muddat say
Meray honton pay chispaan hein chatakhti hichkiyaan
Chehray pay khulti khailti, dukhti kharaashein hein
Main apni zaat mein ujray huway gaaon ka mayla hoon
Meray yaaron ----- !
Meri sungat mein mat betho ---
Tumhein to khud sanwerna hai
Tumhaari khuwaahishon k baam-o-derr pay roshni k phool khilna hein
Tumhein likhna hai --- apni saans ki germi say
Neendon ka safer-naamah
Meri sungat mein mat betho ---
K main patthar ka mahjas hoon
K main mehroomiyon k sheher ka baasi
Meri qismat udaasi
Kam-libaasi, na-shanaasi hai !!!
Meri sungat mein mat betho ---
Mujhay milnay say katraao,
Khud apnay dil ko samjhaao,
Meray nazdeek mat aao,
Meray dil mein andhayra hai,
Andhayra sirf mera hai !
(‘“*JiĢäR*”’)
04-22-2012, 02:29 PM
nice......
-:||:- Is Dil Mein Sulga Aalaao Soz-e-talaB Ka Phir -:||:-
Is dil mein sulga aalaao soz-e-talab ka phir
Main tishna-lab or paish-e-nazer saraab phir
Teray wasl ka aik pall mataa-e-hayaat hai
Bad is k hijr ka kya hisaab-o-kitaab phir
Teri bay-rukhi ki fizaa jo sheher pay chaa gai
Meray sehan-e-dil mein kahaan khilein gay gulaab phir
Meray chaar-soo yun nafratein hein panap raheen
Kahaan perh sakoon ga mohabbat k main baab phir
Patt-jhar mein pattay hongay phir say der-ba-der
Khizaan-rutt mein tunha shajar hein khushk gulaab phir
Khud-aashnaai-o-aagahi hein jaan laywa kis qadar
Owi dobaarah ourh lay tu bay-khudi ka hijaab phir !
M A H i
04-27-2012, 07:19 PM
Mujhay yaqeen hai
K toot’tay dil mein khuwaahishon ka
Koi chanaaka
Mera badan bhi na sun sakay ga !
Main tunha tha
Mager kal shab
Firaaq-e-yaar ki rutt say galay milti khizaan ki saadgi
Achi --- bohat achi lagi mujh ko !
Aaj ki shaam
Andhayra Sirf Mera Hai
Teray wasl ka aik pall mataa-e-hayaat hai
Bad is k hijr ka kya hisaab-o-kitaab phir
.
.
.
Teri bay-rukhi ki fizaa jo sheher pay chaa gai
Meray sehan-e-dil mein kahaan khilein gay gulaab phir
Beautiful poetry Owi
Keep Continue!
MAsooM LArKa
04-30-2012, 03:50 PM
OWii Boss superb collection bht nayab choice hai apka keep it up :)
-:||:- Meray Paas Ye Nazmein Kaisi -:||:-
Zaat, qabeelay, rasmein kaisi
Deen, qur'aan or qasmein kaisi
Meri qismat, meri dourein
Bass mein kya tha, bass mein kaisi
Sadiyaan beeteen dil ko ujray
Nazmein kaisi, bazmein kaisi
Sochta hoon k dil toota tha
Wehshat hai rugg rugg mein kaisi
Tum hi jab k paas nahi ho
Meray paas ye nazmein kaisi !
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
10-12-2012, 04:46 PM
Tere Jaam-e-May Ki Nazar , Meri PaarSaI Ho :)
Umda CollectiOn Janab Bht KhoObSurAT Intekhab :)
-:||:- WajhA -:||:-
Main Patther nahi hoon
Mera yaqeen karo
Bas tumhein dil say utaarnay ki koshish mein
Saari duniya meray dil say uter gai hai !
-:||:- UdaasI -:||:-
Kuch na kehna chup chup rehna
Ye bhi aik udaasi hai
Hans k saaray sadmay sehna
Ye bhi aik udaasi hai
Bethay bethay kho jaana yun hi door khayaalon mein
Chaltay chaltay hanstay rehna ye bhi aik udaasi hai
Maar k kankar lehrein ginna, beth k jheel kinaaray per
Kuch logon ka hai ye kehna
Ye bhi aik udaasi hai !
-:||:- Yaad Ki Gathri -:||:-
Mujhay sajaawat ka huner nahi aata
Main is fun say yakser naa-blad hoon werna
Kamray mein pari
Tumhaari yaad ki gathri
Roz-o-shab,
Baar-haa khulnay or band honay ki azeeyat say
Kab ki nijaat paa chuki hoti !
-:||:- YaaD -:||:-
Tumhaari yaad k nishtar
Khayaal ki kamaan say
Is terhan nikaltay hein
Jaisay
Dil say emaan
Nikalta jaa raha ho !
-:||:- AjnabI -:||:-
Uffhhh, ye derd
Ki lehrein,
Teray nerm
Honton per
Ajnabi si lagti
Hain !
Miss Habib
10-17-2012, 12:46 PM
Maine aj hi ye thread dekha
bohat maza aya app ki collection parh kar
specially ye sab
thanks for beautiful sharing with us
Chotay chotay khuwaabon k
Sitaaray Baanta Hai Wo
Meri udasi ka zard mausam
Aaj Ki Shaam
Andhera sirf mera hai
Teri bay-rukhi ki fizaa jo sheher pay chaa gai
Meray sehan-e-dil mein kahaan khilein gay gulaab phir
Wajha
Udaasi
M A H i
10-20-2012, 10:28 PM
...خوبصورت...
Thankx Miss Habib
Thank You Mahi
-:||:- Aakhri Shab -:||:-
Wo yaad aaya kuch is terhan say
K yaad aaye puraanay manzer
Khunak hawaayein
Wo sookhay pattay
Or ..........
November ki wo aakhri shab !
Miss Habib
12-05-2012, 11:29 AM
bohat khoob
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.