Nida-H
01-27-2009, 05:39 PM
Kho na day jald apni aab o taab
Aansoo'on mein para huwa ik khwab
Qasr mein oonghtay huway fanoos
Jheel mein doobta huwa mahtaab
Shaam pehloo mein aan bethi hai
Chehra e zindgi nahien shadaab
Chand utra hai shakh e larzan parr
Ay dill e mubtela! na ho be taab
Saaz ki tarah chherta hai mujhay
Raat bharr teri yaad ka mizraab
Ishq say kuchh gila nahein hamm ko
Kiss nay chakha nahien hai yeh talkhab
Manzar e zindgi hai kuchh aisay
Khwab mayoos, aarzoo be khwab
Aansoo'on mein para huwa ik khwab
Qasr mein oonghtay huway fanoos
Jheel mein doobta huwa mahtaab
Shaam pehloo mein aan bethi hai
Chehra e zindgi nahien shadaab
Chand utra hai shakh e larzan parr
Ay dill e mubtela! na ho be taab
Saaz ki tarah chherta hai mujhay
Raat bharr teri yaad ka mizraab
Ishq say kuchh gila nahein hamm ko
Kiss nay chakha nahien hai yeh talkhab
Manzar e zindgi hai kuchh aisay
Khwab mayoos, aarzoo be khwab