)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
08-14-2011, 10:36 AM
hay aaj august ki 14 tareek
aao sab " jashan " manain mille " aazadi " ka
kasay ham jashan manain aazadi ka ?
Zara sochoto dil main zara jhanko to sahi
baqol iqbal :
Kahin pay rang nasal hain kahin pay zatain hain
kea zamany main panapnay ki yahi batain hain
un aazdi kay matwalon ka
jaan dainay waly jeyalon ka
jo eman pay kat martay thay
un chand kay chahray walon ka
dharti ki azmat jin kay pash e nazar thi
un dil walon,rakhwalon ka
lahu abhi tak jama nahin hay
jo es say pahlay khon bahta tha
wo ehad musalsal
aaj bhi thama nahin hay
roz hi maqtal roz hi ghail
or kahin per bikhray lashay
koi yatim or koi bewah
kisi kay ghar ka saman lotay
kea ya ek azad watan k khawab ki tabeer
ho sakti hay ? Nahin nahin
zara socho to sahi
wahan pay gheron nay jo lota us ka sadma
koi nahin hay koi nahin
magar jo apna lotay hay to
es dil se mat pocho yaro
roh tak zakhmi ho jati hay
jab apnon kay haton per hi
apnon hi ka khon laga ho
kisi k haton kisi ki ismat
or ksi masoom ki hurmat
har taraf ek shor bapa hay
aaj wahan per kisi ko kuchla
aaj wahan do char maray hain
aaj wahan per bam dhamaka
wahan to bay shumar maray hain
kuch zakhmon ki tab na la kar
kush tibbi imdad na pa kar
aakhir kab tak ? Aakhir kab tak ?
Ya janon ka khel rahay ga
ya khon razry ya mara mari
har hi baras akhbar hamara
marhomon ki tadad hay chapay
har hi baras alfaz ki ginti barthi jay barthi jay
aakhir kab tak ?
Kash koi ya adaad bhi chapay
kitnay hi aaj bhokay soy
kinat hath hain bheek ko phalay
kitnay hathon main kasay aay
kitnay hi masoom bilaktay or taraptay bachay
man kay aanso pi kar soay hain
kitnay hi apnay bharam ki khatir
khud hi ko ab mar rahay hain
jewan ki bazi har rahay hain
bemari or muflasi nay kitnay ghar tareek keay hain
faqon say tang aa kar ek man nay
apnay jigar kay goshon ko
ghar main ek band kea
band kea or janain lay lean
phir khud ko bhi mar lea
aaj kisi nay bhook ki khatir
apnay sath un oron ki
apni ismat ko becha hay
tary gharat ko becha hay
kitnon kay man bap hain zinda
ghar hay na koi dar hay bachay un kay bay sahara
mohtaj gharon main pal rahay hain
un kay nanhay hath to dekho
un kay komal chahray dekho
har masoom kay chahray per bas ek tahreer ya hi raqam hay
mugh say mera bachpan chena taleem say mahroom kea
mugh say mera ghar dar chena mugh ko bhi mahroom kea
us aaghosh madar say bap ki shafqat bhi cheni hay
aakhir mera jurm hay kea mera koi kasoor bata do
har koi hi loot raha hay
koi maray watan ki dolat
koi maray chaman ki doalt
koi maray kohun ki dolat
ya kasi wahshat tapak rahi hay
es arz-a-pak kay har awan say
ye kasi dahshat jhalak rahi hay
es dharti kay har medan say
ek khof ki chadar lipti hay jany kab kea ho jay
jo subha nikla tha ghar say hansta
sham dhaly wo khon main nahay so jay
phir aay gi 6,or 11, or phir 23 bhi aa jay gi
or phir aay gi 14 tareeq phir ham sab kuch bhool kar
din to mana lain gay sab hi ham
en bahtay ristay zakhmon kay sang
lahrain gey har ja parcham
or cheraghan kar dalain gay
shayad ya ehsas na ho ga
kitnon ko tareek kea hay
kis kis say kea chena hay
kis kis ko mahroom kea hay
kuch anjany kuch jan bojh kar
ya ham kis ki tajdeed hain kartay
ya kon sa ahad nibhatay hain
kisi ko zindigi danay ka : Ya har ek ko metany ka
zara socho to sahi dil main zara jhanko to sahi
abb bhi kea " jashan " manin gay ham "aazadi" ka