ROSE
08-12-2011, 04:29 PM
Suno!....Naraz ho ham se!
suno....
Naraz ho ham se?
Mager ham wo haiN ke jin ko manana bhi nahi ata
Kisi ne aaj tak ham se Muhabbet ju nahi ki he
Muhabbet kis terah hoti he?
Hamare shehr ke atraaf maiN tu,
Sakht pehhra tha KhizaoN ka,
Aur iss shehr-e-preshaN ki faseelaiN,
Zerd belloN se Ladi theeN,
Aur un maiN na Khushboo thi,Na koi phool tum jesa
Mehk uthey hamare deedah-o-dill jis ki qurbet se,
ham aise shehr ki sunsaan galiouyN maiN
Kisi sokhe huwe werraN patte ki terah se they
Ke jab zaalim hawa ham per qadem rakhti
Tu us ke paoN ke neeche hamara dum nikal jata,
Mager pett jherr ka woh MOUSAM,
Suna he tal chuka ab tu,
Meger jo Haar hona thi,
So, woh tu ho chuki ham ko,
Suno!
Harey huwe logoN se tu rotha nahi kertey