sweety.mehreen
08-11-2011, 05:27 PM
Guzartey lamho mujhey bataao key zindagi ka asool kya hey!
tamaam cheezeN agar haqeeqat meiN aek hi heiN
to phool kiuN hey, babool kyaa hey!
Jo meri aaNkhoN key daaerey meiN, hazaar raNgoN meiN muntashir hey
har aek manzar, har aek aahat, har aek rastey ka hamsafar hey
kaheN samandar sa mahu'w-e-herat, kaheN hawaaoN sa bekhabar hey
kaheN bayaabaN misaal-e-khaali, meri hi khuwaahish ka aks-gar hey
to phir bataao siwaaey khuwaahish key merey haathoN meiN kya hunar hey
gharoN sey niklo to soch lena key beghari ka hasool kya hey
diloN ki taameer mat giraao key khuwaahishoN ka yehi to ghar hey
Tamaam haathoN meiN aa'eeney heiN to kon kis sey chupa huwa hey!
agar sada ka wajood kaanoN sey munsalik hey
to kon khushboo meiN bolta hey!
agar samandar ki had hey saahil
to kon aaNkhoN meiN phelta hey!
tamaam cheezeN agar yehi heiN
to kon cheezoN sey maawaraa hey!
kisey khabar hey badalti rutoN ney puraaney pattoN sey kya kaha hey
ye kon baadal sey jaa key poochey key itney mosam kahaN raha hey!
jo aaj dekha hey kal na ho ga
koi bhi lamha atal na ho ga
Meri nigaahoN key aa'eenoN meiN ajeeb manzar jhalak rahey heiN
kaheN ujaaloN pey teergi hey, kaheN andherey chamak rahey heiN
kaheN shagoofoN meiN roshni hey, kaheN darichey mehak rahey heiN
kaheN pey sadiyaaN ruki kharri heiN, kaheN zamaaney bhatak rahey heiN
safar hey kesa key merey paaoN baghair chalney key thak rahey heiN
Khaamosh perroN,
tumhaarey saaye meiN kitni nasloN ney dam liya hey
mujhey bataao key motaroN key dhuweN sey pehley jo gard urrti thi
us key pardey sey aaney waaley musaafiroN meiN kamaal kya tha
mujhey bataao key mujh sey pehley gaye huwoN ka jamaal kya tha
tumhaari aaNkheN to chaand sooraj ki ibtidaaoN sey aashna heiN
mujhey bataao key pehley sooraj ka haal kya tha!
tumhaarey shaanoN pey chaandni ki taveel zulfeN bikhar key mehkeN
to aasmaaN ko malaal kya tha!
tumhaarey qadmoN meiN sar jhukaatey udaas rastey ki bandagi meiN
sawaal kya tha!
hawaaeN pehli baar chaleeN to tumhaarey dil meiN khayaal kya tha!
tumhaari shaakhoN ney kin ghataaoN ki beqaraari sey nam liya hey!
Guzartey lamho,
mujhey bataao zameen kis ki talaash meiN hey!
sitaarey kya cheez dhoondtey heiN!
wo kya taahai'ur tha jis meiN ab tak pahaarr gumsum kharrey huwey heiN!
samandaroN ka jamaal kya hey key sard chashmeN tarrap rahey heiN!
badalti rutoN ka payaam kya hey key perr uljhan meiN parr gaye heiN!