ROSE
08-06-2011, 02:43 PM
Gumsum hua awaz ka darya tha jo ik shakhs
Pathar b nhi, ab wo sitara tha jo ik shakhs
Shayed wo koi harf_e_wafa dhond rha tha
Chehron ko bry ghor se parhta tha jo ik shakhs
Sehra ki trha deir se pyasa tha wo shayed
Badal ki trha toot k brsa tha jo ik shakhs
Ay taiz hawa koi khabr us k janon ki!
Tanha sarf_e_shoq pe nikla tha jo ik shakhs
Ab akhri satron me khin naam he us ka
Ehbaab ki fehrist me phla tha jo ik shakhs
Hathon me chupaey huay phirta he kai zakhm
Sheeshy k khilono se bahelta tha jo ik shakhs
Mur mur k meri aankhen usay dekhna chahen
Kuch door mjhy chorny aya tha jo ik shakhs
Ab us ne bhi apna liay dunya k qareeny
Saey ki rafaqat se bhi darta tha jo ik shakhs
Har zehan me kuch naqsh_e_wafa chor gya he
Kheny ko bhary sher me tanha tha jo ik shakhs
Munkir he ab wohi meri pehchaan ka "MOHSIN"
Aksar mjy khat khoon se likhta tha jo ik SHAKHS