PDA

View Full Version : 'Gunnah' Ka Source Mut Banain!


!~*SOoLi
08-04-2011, 02:55 PM
:bismillah:

:salam: ..

Umeed Hay Sab Khariyat Say Hongay.. Main Aj Baitha Soch Raha Tha K Aksar Log Gunaho'n Say Mukammal Parhaiz To Kar Laitay Hain, Magar Kuch Cheezain Aisi Hoti Hain Jo Unki Soch Main Nahi Ati, Wo Anjanay Main "Gunnah Ka Source" Ban Rahay Hotay Hain.. Main Kuch Examples Say Apko Samjhata Hoon..

1. Cell Phone Par Caller Tone Aur Ring Tone Songs Ki Lagana, Apkay Na Chahtay Howay Bhi Doosro K Kano'n Main Wo Song Paray Ga, Aur Phir Ajkal To Hain Bhi Ramadan, Sara Din Insan Jab Rozay Ki Halat Mein Hota Hay To Wo Ibadat Ki Halat Main Hota Hay, To Ibadat Kay Dauran Songs Sun'na Bhi Bura Hay..

2. Hum Koi Aisi Baat Karjatay Hain, Jis Say Doosray Ki Niyat Main Futoor Ajaye, Misaal Daita Hoon, Jaisay Kisi Rozay Daar Kay Samnay Bol Daina "Yaar Mera Thanda Pani Peenay Ko Dil Chah Raha Hay" Ya Bol Daina, Bohat Sakhti Hay Roza Lag Raha Hay, Kion Kay Roza To Ibadat Ka Naam Hay Aur Sabar Ka Imtehan, Isi Liye Nashukri Aur Baysabri Walay Ilfaz Anjanay Main Jab Hum Boltay Hain To Wo Rozay Ki Sahet Par Asar Andaz Hotay Hain.

3. Larkio Ka Bazar Main Jana To Baypurdgi Kay Sath, .. Misal Daita Hoon.. Koi Shaq Nahi Wo Khud To Ibadat Ki Halat Main Hoti Hain Magar Jab Wo Baypurdgi Say Markets Main Jati Hain To Bohat Say Rozaydaro'n Ko Apni Taraf Attract Karti Hain, "Lust".. Rozay Ki Halat Main Unhain Iska Bhi Khayal Rakhna Chahiye

4. Kisi Ki Backbite Karna, .. Ye Bohat Ahem Masla Hay Jisay Main Halaal Kaam Samjh Kar Kartay Hain, Problem Hum Main Ye Hay K Ab Humain Is Qadar Is Gunnah Ki Habbit Hochuki Hay K Humain Isay Kartay Howay Bura Mehsoos Nahi Hota, .. Hum Khud To Gunnah Kar Hi Rahay Hotay Hain Magar Jo Humari Batain Sun Raha Hota Hay, In Intentions Say Kay Ye Aur Sunayega Aur Uskay Hath Musalman Bhai Ya Bahen Ki Koi Kamzori Lagjayegi.. Wo Bhi Gunehgar Horaha Hota Hay

5. Main Forum Par Ye Post Kar Raha Hoon Yaha Ka Bhi Aik Ahem Masla Disscus Karta Chalo'n, Bayshuq Hum Sab Musalman Hain Aur Different Classes & School of Thoughts Say Belong Kartay Hain, Magar Ibadat Aur Relegion Sab Ka Aik Hay, The One & Only Islam.. Koi Shaq Nahi Yaha Sab Hi Roza Rakhtay Hongay Aur Sab Hi Shukranay K Sath Saher O Aftar Kartay Hongay Aur Namaz Qayem Kartay Hongay Magar Aik Anjanay Main Jo Musalsal Hum Ghalti Kartay Ja Rahay Hain, Wo Ye Hay K Humain Wo Avtars Aur Signatures Change Karnay Ki Zaroorat Hay, Jisay Koi Doosra Daikhay To Wo Bhi "Gunehgaar" Ho.. Main Keh Chuka Hoon K Ye Roza Aisi Ibadat Hay Jo Subho Fajjar Say Lay Kar Maghrib Tak Musalsal Ibadat Hoti Hay.. To Ibadat Ki Halat Main Is Tarha Ki Cheezo'n Say Mukamal Parhaiz Karain, Khud Bhi Source Mat Banain Aur Doosro Ko Bhi Gunnah Karnay Say Bachaye..


Wasalam, Salman Gillanii

iqra
08-04-2011, 03:40 PM
Bohat achi sharing sooli bhai...Allah pak apko isi Jaza dy...kiu k achi bat kehna b sadqa e jaria hai or wo achi bat jis sy hmary amaal behtr ho jaen...Allah pak hum sb ko naik amal krny ki tofeeq ataa frmaey...Ameen:)

Abewsha
08-04-2011, 03:41 PM
bohat nice sharing hai...thnkx

Mf Great Power
08-04-2011, 03:41 PM
jazakallah

ROSE
08-04-2011, 04:29 PM
walikumasalam
JAZAKALLAH BOHOOT ACHI SHAIIRNG HA
ALLAH PAK HUM SAB KO NAIK KAAM PER AMMAL KERNY HI HIDYAT DAY AMEEEEN

Zafina
08-04-2011, 05:00 PM
101% correct baat hay...... JazakaALLAH

CaReLeSs
08-04-2011, 05:15 PM
JazakALLAH
Sooli Bro Buhut umda tarikay say aap nay points ko discuss kia
Buhut Khoob...

AYAZ
08-04-2011, 06:20 PM
bilkul sahi baat hai 100% change karlena chaiye avatar and signature

Haadi
08-04-2011, 06:24 PM
sooli bhai its awesome sharing ... some times we dun even figure what we doin ... Allah hamain hidayet day Ameen

!~*AdOrAbLe*~!
08-04-2011, 07:48 PM
Aslamulaikum
Bohut Acha Thread Hai Got To Know Jo Pehle Kuch Batein Nahi Maloom Thi JAZAKALLAH for That :)

But To My Point Of View Avatar Aur Signature's Aik Just Appearance Hai Jiska Matlib Har Giz Yeh Nahi Ke Us Main Ghalat Harkaat Payi Jati Hai Etc Etc And Ager Yeh Dekha Jaye Ke Avatar Aur Signature's Ko Dekhne Main GUNAH Dosroon Ko Bhi Hota Hai Tu Phir INDIAN,ENGLISH Songs Har Koi Share Kar Raha Hai Yahan And I'm Sure Har Koi Dekhta Bhi Hoga On The Youtube Etc Sites Even Jo Member's In Avatar Aur Signature's Ko Na Pasand Karhe Hain Woh Bhi Aisi Song Video Sharing Karhe Hain Ab Hum Kahein Ke Sara Kuch Stop Kiya Jaye Tu Bohut Si Things Ko Deal Karna Hoga Yahan Ab Hamari MF Ki Fashion Gallery Main Har Type Ke Fashion Dresses Share Hote Hain Iska Matlib Yeh Tu Nahi Ke Hum Aik Nagitive Way Main Lein In Appearance's Ko And I Think Humhein Achai Burai Mutabke ISLAM Rules Har Kisi Ko Batani Chaye Thats A Good Thing But Sab Apne Aap Ki Luk After Karein Aik Acha MusliMaan Banney Ki Koshih Karein Aur Sabke Liye DUA Farmayein ALLAH TA'ALLAH UN Sabko Bhi Hadayat Ata FARMAYEIN Ameen

Ager Maine Kuch Ghalat Kaha Ho Ya Kisi Ko Acha Na Laga Ho Mera Reply Tu Plz DarGazar Karein God Bless U :)

!~*SOoLi
08-04-2011, 11:44 PM
Walaikumsalam Adorable, Ameen Sum Ameen! :)
Nahi Mujhay Bura Kio'n Lagay Ga, Balkay Bohat Khushi Huwi Kay Aapnay Humain Apnay Point of View Say Introduce Karwaya..
Main Ye Nahi Kehta Kay Main, Ayaz, Zafina Ya anyother member of this Forum Bohat Naik Hain Aur Seedhay Saadhay Log Hain no one is Perfect Har Insan Kahi Na Kahi Jaakar Kamzor Nikal Ata Hay.. Aur Agar Hum Kisi Ki Burai Dhoondnay Niklain To "Badnam" Karnay Walay 100 Miltay Hain Aur Buraiyaa'n Bhi "100" Milti Hain.. Uski Waja? Uski Waja Ye Hay K Hum Kisi Main "Burai" Hi Dhoondna Chahtay Hain, we are not interested in his or her Positive side and can never get Impressed by his or her Personality.. Itna Hi Kaho'nga Kay Its Our Approach, Wo Negative Bhi Hosakti Hay Poistive Bhi.. Aur Doosri Bohat Hi Interesting Baat Batata Hoon Apko, Agar Main Khud Ko Change Karnay K Liye Pehlay Doosray Kay Change Honay Ka intezar Karonga To Shayad Kabhi Bhi Humaray Muwashray Main Major Change Na Aye.. Allah Sab Kay Gunnah Muaf Farmaye, Gunehgar To Bohat Hain Yaha Par, Koshish Karain Kisi Ko Theek Karnay Ki, Naa Kay Usay Daikh Kar Ap Khud Motivate Hojaye'n Kay Wo Itna Bara Gunnah Kar Raha Hay, Mere Ye Chota Say Gunnah Ki To Khair Hay.. hmmmm, In The End.. "Grave" Main Har Banda Akela Hi Hota Hay.. Waha'n To Na Main Keh Sakonga K Falana Admi Bura Tha Ya Falana Bura.. Usay Bhi Lao.. Aur Na Ap..

!~*SOoLi
08-04-2011, 11:54 PM
But To My Point Of View Avatar Aur Signature's Aik Just Appearance Hai Jiska Matlib Har Giz Yeh Nahi Ke Us Main Ghalat Harkaat Payi Jati Hai Etc Etc

Take a Look..

Allah Ta'ala says in Chapter 24 - Al Nur: "And tell the believing women to lower their gaze and guard their private parts from sin and not show of their adornment except only that which is apparent, and draw their headcovers over their necks and bosoms and not reveal their adornment except to their husbands, their fathers, their husbands' fathers, their sons, their husbands' sons, their brothers, or their brothers' sons, or their sisters' sons, or their women (i.e., their sisters in Islam), or their female slaves whom their right hands possess, or old male servants free of physical desires, or small children who have no sense of women's nakedness. And let them not stamp their feet so as to reveal what they hide of their adornment. And turn unto Allah altogether, O you Believers, in order that you may attain success.[An-Nur, 24:31]

Now you Judge by Yourself..

!~*AdOrAbLe*~!
08-05-2011, 09:01 AM
Take a Look..

Allah Ta'ala says in Chapter 24 - Al Nur: "And tell the believing women to lower their gaze and guard their private parts from sin and not show of their adornment except only that which is apparent, and draw their headcovers over their necks and bosoms and not reveal their adornment except to their husbands, their fathers, their husbands' fathers, their sons, their husbands' sons, their brothers, or their brothers' sons, or their sisters' sons, or their women (i.e., their sisters in Islam), or their female slaves whom their right hands possess, or old male servants free of physical desires, or small children who have no sense of women's nakedness. And let them not stamp their feet so as to reveal what they hide of their adornment. And turn unto Allah altogether, O you Believers, in order that you may attain success.[An-Nur, 24:31]

Now you Judge by Yourself..

jazakALLAH :)
Apke Uper Wale Coment And Is Par Bhi Main Itna Kehna Chahoogi Apka Point Of View Bhi Apni Jaga Bilkul Sahi Hai Aik Bat Hai Ke Insaan Ki Khush Kismatii Hoti Hai Ager Kisi Ke Sedhi Rah Dekhane Par Woh Us Par Amal Kar Le Aur Dosri Tarf Kisi Ke Samjane Ke Bawjoob Insaan Nahi Sambhalta Par kabhi Khud He Insaan Change Hone Lagta Hai Khud Se Sedhi Rah Par Lag Jata Hai I Think Aik Muslmaan Ka Jo Farz Hota Hai Dosre Muslmaan Ko Sedhi Rah Dekhna Phir Bas Intezaar Karein Kab Kaise Change Ati Hai Us Main ALLAH TA'ALLAH Apko Iski JAZA De (Ameen)Aur Dua Main Yad Rakhiye Sab Muslimaan Bhai Behnoo Ko ALLAH Seedhi Rah Par Lagaye Ameen :)

Kash
08-05-2011, 09:10 AM
Nice ...

!~*SOoLi
08-05-2011, 06:15 PM
Thankyou Adorable, and all members.. :)

Sami
08-09-2011, 05:49 AM
Sooli Bhai Boht Achi Sharing Hai .. !!
Lekin Insan K Dimagh K Uper Hai Ke Wo Avatar N Signature Ko Kis Trha Use Karta Hai .. !!

!~*SOoLi
08-11-2011, 12:26 PM
hmmm..

moiz
08-11-2011, 12:30 PM
Oh Allah please guide us
Nice post bro

Flyhajj
08-17-2011, 05:25 PM
Kindly pray for every muslim on Earth
"When my servants ask thee concerning Me, I am indeed close to them: I respond to the prayer of every suppliant when he calleth on Me; let them also, with a will, listen to My call and believe in Me: that they may walk in the right way" Quran, Surah Al-Baqarah 2:186

ali95
09-02-2011, 12:37 PM
Nice Sharing......

Aslam
09-04-2011, 08:45 PM
Mashallah Gillani sahab baat to bilkul sahi hay......

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.