View Full Version : Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
raismehboob
08-02-2011, 02:17 AM
Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
Her Pal Mein Rahoon Tumse Khafa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga...
Parhte Ho Jo tum Mujhe Namazoon Ki Tarha...
Ho Jaon Agar Tumse Qaza Tu Tumhe Kaisa Lage Ga....
Tum Pyar Mein Khud Ko Mitane Per Ho Raazi...
Ban Jaye Pyar Saza Tu Kaisa Lage Ga...
Khud Se Bhi Ziada Yakeen Ho Tume Kisi Per....
Wo Shaks hi Agar De Daga Tu kaisa Lage Ga....
raismehboob
08-02-2011, 02:19 AM
Aik achay Dost ki misaal aik achi khushboo ki tarha hai..
Jab bhi tum usko yaad karo gay to tumhein us ki mehak Aaye gi…
Hazrat Ali (A.S)
raismehboob
08-02-2011, 02:19 AM
Wafaa K Waday Wo Sare Bhola Gaya Chup Chap
Wo Mere Dil Ki Dewarein Hila Gaya Chup Chap
Gham-E-Hiyat K Tapte Hove Biyabaan Mein
Hame Wo Chorr K Tanha Chala Gaya Chup Chap
Na Jane Kon Sa Wo Bad-Naseeb Lamha Tha
Jo Gham Ki Aag Mein Mujh Ko Jala Gaya Chup Chap
raismehboob
08-02-2011, 02:20 AM
Woh mere pass hai kya pass bulaaon us ko
Dil mein rehta hai kahan dhoondne jaaon us ko
Aaj phir pehli mulakaat se agaaz karon
Aaj phir duor se hi dekh ke aaon us ko
Chalna chahe to rakhe pauon mere seene par
Baithna chahe to aankhon pe baithaaon us ko
Mujhe maloom hai us ne juda hona hai
Lekan ik baar to seene se lagaaon us ko
raismehboob
08-02-2011, 02:21 AM
Yeh zara zara si baat par tarha tarha ke azaab kyun
Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai
Mujhe laghzishon peh harr ghari koi tok-ta hai baar baar
Jisey kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai
Main dhoondta hoon woh khizaan jisey gulshanon se pyaar ho
Jisey kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai
Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo
Jahan hirann ko sher se darr na ho mujhe uss jagah ki talaash hai
Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai
Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai
Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey
Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai
Pareevash
08-02-2011, 02:25 AM
achi poetry hai
raismehboob
08-02-2011, 02:26 AM
Qurb Ke Na Wafa Ke Hote Hain
Sare Jhaghre ANA Ke Hote Hain
Wo Humare Hain Is Tarha Se FAIZ
Jaise Bande KHUDA Ke Hote Hain
Baat Niyaat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Sare DUA Ke Hote Hain
Bhool Jate Hain Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata Ke Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahein Lagte
Un Se RISHTE Bala Ke Hote Hain.
raismehboob
08-02-2011, 02:29 AM
Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho
Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho
Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho
Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho
Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho
Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho
Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho
raismehboob
08-02-2011, 02:32 AM
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…"
raismehboob
08-02-2011, 02:32 AM
Hum mohabbat ke talabgaar hue
Kaisey dhokey main giraftaar hue
Ahl-e-dil waqt ke rahber the kabhi
Ab magar waqt ki raftaar hue
...
Dil me jo baat bhi aayi keh di
Umr bhar hum na smajh-daar hue
Hum koi Yusuf-e-Kanaan na the
Yunhi ruswa sar-e-bazaar hue
Dard ki jins-e-giraaN leta kaun
Ik faqat hum hi khridaar hue
Zindagi maut ke pardey me rahi
Khwaab dar khwaab hi bedaar hai
raismehboob
08-02-2011, 02:34 AM
mohabatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumaar karna
jo meray hisay main aai hain woh azyatain bhi shumaar karna
jalaay rakhoon gi subha tak tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt toot jay to baarishain bhi shumaar karna
jo harf lohay wafa pay likhay huy hain un ko bhi daykh lena
jo raigan ho gain woh saari ibaaratain bhi shumaar karna
yeh sardiyon ka udaas mausam kay dharkanain barf ho gai hain
jab in ki yahbastagi parakhana tamaazatain bhi shumaar karna
tum apni majbooriyon kay qisay zarur likhna wazahat say
jo meri aankhon main jal bujhi hain woh khawahishain bhi shumaar karna
raismehboob
08-02-2011, 02:34 AM
jo Taluk torta hoon to mukamal tor deta hoon
jise me chordeta hoon mukamal chordeta hoon
muhabat ho ke nafrat ho, bhara rehta hoon shidat se
jidhar se aye ye darya, udhar hi mor deta hoon
yakein rakhta nahi hoon mein kisi kache taluk par
jo dhaga tootne wala ho us ko tordeta hoon
mere dekhe howe sapne kahein lehrein na lejaein
gharondey reet ke bana kar mein khod he toor deta houn
adeem ab tak wahi bachpan, wahi takhreebkari hey
kafas ko tor deta hoon, parindey chor deta hoon
raismehboob
08-02-2011, 02:35 AM
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko
Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko
Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko
Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko
Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko
Abewsha
08-02-2011, 03:49 AM
wow....
raismehboob
02-11-2014, 04:43 AM
Hr fard yahan pr taajir hy
Hr waqt tijaarat hoti hy
Tm ap he apne daam kaho
Chup k nhi sar_e_aam kaho
Kya lo ge apni yari ka?
Kya lo ge tm dildaari ka?
Gham_khwar bno ge kitney me?
Tm pyar kro ge kitney me?
Sb jazbay mre naam kro
Hm naam tm apna daam kaho?
Pr daam chukaaney ki khatir
Hm apna daftar kholen to
Hm apni jaib tatolain to
Bs pyar mily ga thora sa
Izhaar mily ga thora sa
Ye sikkay yahan kb chaltey hain
Kya udhar mily ga thora sa?
Ye dunya be_etbari ki
Ye arz hy hr beyopari ki
Chal chor tamanna jazbon ki
hum khali hath he aye thy
chal khali hath he chalty hain .
Hr fard yahan pr taajir hy
Hr waqt tijaarat hoti hy.
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.