M A H i
01-22-2009, 03:45 PM
Dilo Ko Chaid Ker Rak Dain Jo, Un Lafzo Se Khayif Hoon
Kisi Masoom Per Banti Hoyi Baato Se Khayif Hoon
Wo Jin Ki Aanch Se Dil K Kanwal Murjha K Reh Jayain
Mai Aisay Garm, Jhulsaye Huway Lehjo Se Khayif Hoon
Kisi Ko Zaat Se Meri Koyi Takleef Na Pahunchay
Muje Pyaray Hain Jo Mai Un Sabhi Rishto Se Khayif Hoon
Unhain Har Aik Se Har Pal, Gilay Shikway He Rehtay Hain
Anaa Ki Jaal Mai Jakrray Huway Logo Se Khayif Hoon
Kadoorat Dil Mai Hai To Phir Kisi Pal Waar Kar Dengay
Niqaab-e-Dosti Daalay Huway Chehro Se Khayif Hoon
Bikhar Jaye Koyi To Phir Samaitta Ja Nahi Sakta
Muje Jo Muntashir Kar Dain Un He Socho Se Khayif Hoon
Zamanay Bhar Mai Mere Dard Ki Tash-heer Kar Dengay
Mai GhamKhwaro Se, Humdardi Se, Humraazo Se Khayif Hoon
Jo Hasrat Mai Badal Ker Zindagi Ka Rog Ban Jayain
Mai Aisi Khwahisho Aisi Tamannawo Se Khayif Hoon
Ye Panjay Gaarr Dain Jis Jaa, Wahan Kuch Bi Nahi Rehta
Mai Apnay ChaarSoo Phaili Hoyi Rasmo Se Khayif Hoon
Ye Deemak Ki Tarah Se Aadmi Ko Chaatt Jatay Hain
Amaawas, Khauf, Darr Aur Andesho Se Khayif Hoon